Ya Rab, gham-e-hijraan mein itna to kiya hota, Jo hath jigar per hai, woh dast-e-dua hota, Ik ishq ka gham aafat aur is pe yeh dil aafat, Yeh gham na diya hota ya dil na diya hota, Nakaam-e-tamanna dil, is soch mein rehta hai, Yooon hota to kya hota, yoon hota to kya hota, Umeed to bandh jati, taskeen to ho jati, Vaada na wafaa kartey, vaada to kiya hota, Ghairon se kaha tum ne, ghairon se suna tum ne, Kuch hum se kaha hota, kuch hum se suna hota.. Chiragh Hassan Hasrat

Your Comment Comment Head Icon

Login