Muhabbat mein muhabbat hi hamesha shart hoti hai Magar kehtay hein kuch zimni si shart’ein bhi zarori hein Koi wada karo to dil ki dharti per likho is ko Jigar sey roshnai lo Qalam jazb’on ka thamo aur dharkan sey gawahi lo Ye jan jaye magar wadey pey koi anch na aaye Muhabbat key safar mein pehli serhi per Hamesha sey, khasara pehlay sey taiyar milta hai Aur ungli tham ker chalta hai, jab tak saans baki hai Muhabbat kernay waley mur ker dekha hi nahi kertay Muhabbat kernay waley agar thak bhi jain to nahi ruktey Bhaley sey per’on key chaley, dehakti rait sulghaye Sawa nezay pey soraj an utrey aur jhulsaye Key in key bal-muqabil to dehakta toor hota hai Muhabbat to bohat anmol hoti hai magar is mein Wafa mashrut hoti hai

Your Comment Comment Head Icon

Login