Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei

Your Comment Comment Head Icon

Login