Saaray Dard Nazar Aayein Ge Ghar Se Baahir Jis Din Mein Nikloon Ga Pas-e-Manzar Se Baahir Laakh Samaitay Rakhun Per Jaanay Anjaanay Ho Jaatay Hain Paaon Mere Chaadar Se Baahir Kub Se Hain Ankhiaan Tere Darshan Ki Pyaasi Darsh Dikha De Aa Bhi Ja Pathar Se Baahir Phele Jis Ki Aankh Nishaanay Per Thi Mere Ab Wo Chirya Bhi Hai Had-e-Nazar Se Baahir Aaj Bhi Mein Khul Kar Sach Bol Nahi Sakta Hun Ab Bhi Nahi Hun Os Ke Hisaar-e-Shar Se Baahir Jisko Mein Ne Sadi Ka Roop Dia Tha Azar Ab Wo Lamha Bhi Hai Mere Asar Se Baahi

Your Comment Comment Head Icon

Login