Mohabbat ki hadhon se door jana chahta hia dil Kisi andher nagri mein thikana chahta hai dil Dharkne se kabhi baghi, kabhi be-dharak dharka hai Dharakne se mukarnay ka bahana chahta hai dil Tera milna bhi junoon ka sunehri daur tha lekin Zara is se bhi pehle ka zamana chahta hai dil Yeh kesa ishq hai chand aansuyon, aahon ke badle Meri har saans pe hi haq jatana chahta hai dil Bhale Rustam mujhe ko zamana be-wafa kahe Per ab ronay per tere, muskurana chahta hai dil (Nagri:Town)(Mukarnay:Skip)(Daur:Time)(Aahon:Sigh)

Your Comment Comment Head Icon

Login