Wo bujhey gharon ka chiragh tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho usey le gai hai kahan hawa? yeh kabhi kisi ko khabar na ho Kai log jaan se jayein gey merey qatiloon ki talash main Merey qatl main mera haath tha? yeh kabhi kisi ko khabar na ho Wo tamaam duniya ke wastey jo muhabaton ki misaal tha Wohi apney ghar mein tha bewafa yeh kabhi kisi ko khabar na ho Kaheen masjidon main shahadatain kaheen mundiron main adaalutain Yahan kon kerta hai faisla yeh kabhi kisi ko khabar na ho Merey pass jitni hai roshni yehi hai chiragh ki zindagi Mein kahan jala mein kahan bujha yeh kabhi kisi ko khabar na ho Mujhe jaan kar koi ajnabi wo dikhla rahey hain gali gali Isi sheher mein kabhi mera ghar bhi tha yeh kabhi kisi ko khabar na ho Wo samajh ke dhoop ka dewta mujhe aaj poojney aaye hain ? Main charagh hoon teri shaam ka yeh kabhi kisi ko khabar na ho..

Your Comment Comment Head Icon

Login