Agr Mil Sakay To Wafa Chahye, *”* Humen Kuch Na Tere Siwa Chahye, *”* Buht Be Sakun Hain Hum Tere Bin, *”* Hamen Zindagi Ki Dua Chahiye, …*”* Kahin B Chala Jaon Palat Aaonga Me, *”* Mujhe Bus Teri Ek Sada Chahiye, *”* Ho Takmeel Jis Se Meri Zaat Ki, *”* Baharon Ki Aisi Hawa Chahiye, *”* Mujhe Tere Dil Me Ay Jan E Wafa Agr Mil Sake To Jagha Chahye, *”* Kahan Tak Bhala Me Nibhaun Wafa, *”* Kabi To Mujhe B Sila Chahiye, *”* Samadar Hai Meri Zindagi , *”* Kinara Mujhe mery Ay KHUDA Chahiye’

Kon Kehta Hai Woh Mere Bagher Tanha Hoga, Woh Ik Chiragh Hai Kahin Aur Jalta Hoga. Yeh To Hum Hain Ek Saakin Si Jheel, Woh To ?Bikhra? Huwa Ik Dariya Hoga. Woh To Rehta Hai Mohabbaton Ke Des Main, Usay Kiya Khaber Koi Us Ko Sochta Hoga. Woh Mere Dard Se Be-Khaber Nahin Tha Magar, Usay ?Dukh? Baantney Ka Na Saleeqa Hoga. Itna Naadan Nahin Ke Samjh Bhi Na Sakey Hamko, Usi Ka ?Tazkara? Meri Har Ghazal Main Huwa Hoga. Banaya Gaya Tha Hamein Khulus Ki Miti Se, Hamein Khaber Na Thi Woh Bad Gumaan Hoga. Main Ne Usay Chaha To Chaata Hi Gaya, Meri Shiddton Se Ghabra Ker Woh Chal Diya Hoga

Bus yunhi rasmi rasmi sa Ik be-mafhoom ta’aruf tha Us ne mera number mang liya Phir ik din telifone kiya Phir fone kiya.. Phir fone kiya.. Ik roz thi barish zoro’n per Baadal garjay, Bijli chamki Phir boondai’n barsi khirki per Tab uska telifone aya Be-saakhta meine us se kaha Barsaat mein tanhai ki saza Kyun deti ho? Kyun karti ho tum fone mujhy? Kuch lamho’n tak wo chup si rahi Phir kehnay lagi: Jo aap ka dheema lehja hai Mujhy be-hadd acha lagta hai Awaaz jo ap k honto’n se Tashna kaano’n tak aati hai MUJHY “USKI” YAAD DILATI HAI…!

Bunjaray kabhi rishton ki tijarat nahi kertay Hum log dikhaway ki mohabbet nahi kertay Milna hai to ajeet lay maidan mai hum ko Hum appnay Kabeelay se beghawat nahi kertay Kisi se koi nata hum jorra nahi kertay Mila lain hath to umer bhar chorra nahi kertay Ager faisala ker lain kahin se kouch kernay ka To phir wapis maharon ko kabhi morra nahi kertay Humain maloom hai akhir mai jeet appni hi hony hai So hum waqti shikaston per ye dil thorra nahi kertay Ankhoun mein sitarey hein na shabnum na jugno.. Is terhan tu dushman ko bhi rukhsat nai kertay Maghroor humain kahti hai to kahti rehay duniya Hum murr ke kissi shaks ko dekha nahi kertay.

suno qismet se larrny ki kabhi koshish nahi kerty muqader jab mukhalif ho …duain be-aser jain sabhi manzar bikher jain to esy main baghawat ki kabhi koshish nahi kerty kisi key sath chalny ki kisi ke dil main basny ki kabhi khuwahish nahi kerty kisi ik shakhs ki khatir sabhi se door ho jana kahan ki yeh mohabbat hai? mohabbat yeh nahi hoti muhabbat dil main hoti hai muhabbat aks hai rab ka kabhi yeh mer nahi sakti hamesha sath rehti hai hamesha sath chalti hai miley jo humsafr tum ko usi key sath chalna tum usey dharkan bana lena usey dil main basa lena mager qismet se larne ki lakeron se ulhahny ki kabhi koshish nahi kertey kabhi koshish nahi kertey….!

Mujhay bas itna kehna hai Kabhi main yaad aaoon to Kabhi tanhai ki raatain Tumhain ziada sataein to Kabhi titli na bolay to …Aur jugnoo lout jaye to Kabhi jab dil bhi bhar jaye Koi jab sunn na paye to Agar sab dost sathi bhi Jo tum se rooth jaaein to Kabhi jab khud se lar lar kar Thakan se choor ho jao Kabhi chahtay huay bhi khud akelay Ro na paao to Apni aankhon ko band karna Mujhay aawaz de dena Aur phir meray tasawwur se Jo chaho batain keh dena Meray kaandhay pe sir rakh kar Tum jitna chaho ro lena Phir khud main jab loat jao to Us he duniya chalay jana Magar bas itna kehna hai Ke jab bhi dukh ya khushiyon main Hamain dil se pukaro gay Hamain tum saath pao gay

Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi, Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi ! Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel, Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi ! Tere afsane to mai sunta raha Hun baaraha, Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi ! Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud, Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi ! Apani tamam shokh adaaon ke bawajud, Bahla saki na jee mera eek pal bhi zindagi ! Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud, Suraj ke bawajud andhera hai zindagi ! Barbaad hamko hona tha barbad ham huye, Duniya hai sari nek salahon is zindagi ! Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari, Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi !

May nigary fikro-nigha ko kabhi bhol kar bhi sada na doo ye ajeeb sharte wafa hoi ke jo tum kaho may wahi kaho   kai ajnabi teri rah may mery pas sy yon guzar gy jinhay dekh kar ye taradp hoi tera nam ly kar pukaro   meri arzo hy ke raat bas ek chandni raat may may kamoosh barf ki wadyon ki udas banho may so raho   ye hawa na jany kaha kaha bahry dophar may lieye phiry mery barge dil zara thehar ja tujhe ansoo sy may sench lo   kesi maslihat sy bahar khud mery lab ke pas thehar gy meri arzo thi khizan ke khuskh,udas honto ko choom lo   ye safeed phool ki chadren nam-e shabn-e ka buna kafan muje kuch na do yahi rehny do ke esi gali ki khak mai ho   may tu ansoo ka sakoot ho lab shu-aar muj ko sada na dy na kabeer ho,na nazeer ho na ma meer ho na basheer ho    

Qasam le lo…. Tumhare baad kisi ka khwaab dekha ho kisi ko hum ne chaha ho kisi ko hum ne socha ho kisi ki aarzoo ki ho kisi ki justujoo ki ho kisi ki rah dekhi ho kisi ka qurab manga ho kisi ko saath rakha ho kisi se aas rakhi ho koi umeed bandhi ho koi dil mai utaara ho koi tum se piyara ho koi Dil mai basaaya ho koi apna bnaya ho koi rootha ho to hum ne usay ro ro k manya ho december ki haseen rutt main kisi ka hijar jheela ho kisi ki yaad ka mousam mere aangan mai khela ho kisi se baat karne ko kabhi ye hont tarsay ho kisi ki bewafai par kabhi ye nain barsay ho kabhi raaton ko uth uth kar tere dukh mai na roye ho Qasam le lo Tumhare Baad Hum ik pal bhi soye ho Qasam le lo kabhi jugnu kabhi tara kabhi mahtaab dekha ho Qasam le lo Tumhare Baad Kisi ka khwaab Dekha ho Qasam Le Lo………

To tum ney teh ker liya hai jana’n! Key ab munasib ye hi hai key manzil ki khawahish ko Mita hi dal’ein Zamaney ki bhi ye hi khushi hai Isi rawish mein zindagi hai Suno! zamaney ko dosh denay ki rasam farsoda ho chuki hai Tum apney dil sey bhi kalam ker key poch lena Key is ki adarsh kiya hai’en? Abhi zamaney ney tum sey manzil ki aas cheni To kal ye tum sey kahey ga rasta hi chor do tum Kahey ga chehray sey apni ankh’on ko nochlo tum Kahey ga pathar key bot mein dharkan talash ker do To kiya karo gey?? Chalo ye na kahey to itna hi tum sey keh dey Key sans lena fazol hai ab Key tum is rayazat ko bhol jao Tum apni sans’on ko qatal kesay karo gey bolo? Suno! zamaney ko dosh denay ki rasam farsoda ho chuki hai tum asal mein wo sipahi ho, ain larney key waqt jis ko khayal aye key jang karney key sab tarekay hein yad us ko wo sarey hathiyar ley ker aya hai sath apney magar wo jaldi mein hosla ghar bhol aya khayal rakhna’ asas jewan ki manzil’on sey lagan hai jana’n! jo tum ney is ko ganwa diya to geo gey kesay?

Bahir ki awaz’ein sun’na chahti hun Lekin Meray andar shor bohat hai

Tumhari bazam e muhabbat me betha kab tha, Me aa gea tha tumhare salam ki khatir.

Chandni raat ki pheli hui tanhai mein. . ! Dil mein yaado’n ka dhuan ho to ghazal hoti hai. . !

Suna hay boht hi masroof rehtay hain ehl-e-Hussan, Sanwarny main, sataney main, kbi khud ko hum say chupaney

Muhabbat neend sey jagey huay toofan jesi hai Kisi simtey hoay heyjan jesi hai Muhabbat ko kabhi kamzor mat samjho