To tum ney teh ker liya hai jana’n! Key ab munasib ye hi hai key manzil ki khawahish ko Mita hi dal’ein Zamaney ki bhi ye hi khushi hai Isi rawish mein zindagi hai Suno! zamaney ko dosh denay ki rasam farsoda ho chuki hai Tum apney dil sey bhi kalam ker key poch lena Key is ki adarsh kiya hai’en? Abhi zamaney ney tum sey manzil ki aas cheni To kal ye tum sey kahey ga rasta hi chor do tum Kahey ga chehray sey apni ankh’on ko nochlo tum Kahey ga pathar key bot mein dharkan talash ker do To kiya karo gey?? Chalo ye na kahey to itna hi tum sey keh dey Key sans lena fazol hai ab Key tum is rayazat ko bhol jao Tum apni sans’on ko qatal kesay karo gey bolo? Suno! zamaney ko dosh denay ki rasam farsoda ho chuki hai tum asal mein wo sipahi ho, ain larney key waqt jis ko khayal aye key jang karney key sab tarekay hein yad us ko wo sarey hathiyar ley ker aya hai sath apney magar wo jaldi mein hosla ghar bhol aya khayal rakhna’ asas jewan ki manzil’on sey lagan hai jana’n! jo tum ney is ko ganwa diya to geo gey kesay?

Your Comment Comment Head Icon

Login