jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua yun bhi kam amez tha “Mohsin” wo is shahar k logon main lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua

Your Comment Comment Head Icon

Login