Agr hum Tmhen hum se muhbt hai Tmhary saray jazbon ko Humari he zarorat hai …Tumhari sab wafaein Bas humari amanat hain Tu phr dunya he janat hai Isi janat mei rehna hai Agrchay mukhtasr c hai Mgr janat tu janat hai…

Suno! Tum Azm Walay Ho Bala Ka Zabt Rakhtay Ho Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga …Magar Dekho ……Jisay Tum Chhoray Jatay Ho Usay Tou Theek Se Shayad Bichharna Bhi Nahi Aata Suno! Tum Azam Walay Ho Usay Matt Chhor Ke Jao..

Zamana isey lakh bura kahey Lekin wo bura nahi hai Is dil mein kuch aas baki hai Abhi ye sara jala nahi hai Milna hai isay kabhi lekin Wo abhi mila nahi hai Jis sey zamana dekhta hai isey In ankh’on sey to dekhta hi nahi hai

Dil is pey fida hai Wo jism mein rooh ki tarha hai Wo aay to Laut ati hein Is dil mein Bahar’ain Ye bhi nahi key Wo chaley to kehkash’an chalney lagay Ye bhi nahi key Wo asmaan ki pari hai Bas Hai bhi wo Ek Aam si larki

Gulab’on ko kabhi chuna kabhi khushbo ban jana Aur ankh’on key mundair’on per Chamaktey jugno’on ko wasal ki tasweer dikhlana Aur is mein gum sa ho jana Agarchey khawab tha lekin hum’ein tabeer lagta tha

Gungunatey Hue Aanchal Ki HawaDe Mujhko Ungliyan Phair K Baalon Me Sula De Mujhko Yaad Kr K Mujhe Takleef Hi Hoti Ho Gi Aik Qissa Hun Purana Sa, Bhula De Mujhko Doobte Doobte Aawaz Teri Sun Jaon Aakhri Baar Tu Sahil Se Sada De Mujhko

Mera naam tak jo na ley saka Jo mujhe Qarar na dey saka Jisey ikhtiyaar to tha magar Mujhe apna pyaar na dey saka Wohii shakhs merii talash hy Wohii dard merii hayat hy… Jo Chala gaya mujhe chhor kar Wohii aaj tak mere pass hy..

Sulagti Raat Ghani Chandni Si Hoti Hai Tumhare Sath Ye Duniya Nayi Si Hoti Hai Gale Mein Uske Khuda Ki Ajeeb Barkat Hai Wo Bolta Hai To Ik Roshni Si Hoti Hai Kiran Nikalne Se Pehle Gulab Dekhe Hai Tumhari Yaad Mein Wo Tazgi Si Hoti Hai

Hum to yun apni zindagi se mile Ajnabi jaise ajnabi se mile Har wafa aik jurm ho goya Dost kuch waise berukhi se mile Phool hi phool hum ne mange the Daag hi daag zindagi se mile Hum to yun apni zindagi se mile Ajnabi jaise ajnabi se mile

Hamain ab khud ujarna aa gaya hai, Kisi ko bewafa kehte nahi Hum, Humain bhe ab badalna aa gaya Hai, Kisi ki yaad mai rote nahi Hum, Humain chup chaap Jalna aa gaya Hai, Gulabon ko Tum apne pas rakho, Humain kanton pe Chalna aa gaya Hai!?

Ae Baad-e-Saba Us Nagar Main ja Usay Itna Bata Ek Dost Tera Kehta Hy Sada Mujhy Apna Bana Chahat Ko Jaga Ae Jaan-e-Ghazal Teri Baat Azal Tere Hont Kanwal Teri Aankh Ghazal Ae Jaan-e-Wafa Khud Tu Hi Bata Kab Tere Siwa Mujhe Chain Mila ? ???

Tu ny jo kaha tha ky mjhy bhool jao mery samny ainda zindagi mein mat ana mjhy panay ka khuwab zindagi sy nikal daina tjhy bhool jany pr mera khod pr ikhtiyar nahi hai ye dunia chor dun ga hamesha ki trha mein tera maan nahi tor’on ga

Suno !! ek kaam karna Chand se kuch miti lana Aur us se do butt banana. ek tere jaisa! … ek mere jaisa! Phir un butto ko toor dena. Phir un se do butt banana Ta k tujh main kuch Main reh jaon Aur Mujh main kuch Tu reh jaye…. !!~~

“Zinda”hain jis ki AAS pe wo b rula gya Bandhan wafa k toor k sare chala gya Khud hi to ki thi usne Mobabat ki IBTIDA Hathoo me hath de k khud hi churra gya Kar di jis k liye hamne Tabah zindagi Ulta wo Bewafai ki Tuhmat laga gya

Kaho agar to bhula doon tum ko, Sab kuch bataa kar rulaa doon tum ko, Bohat dushwaar guzrey ga mujh per, Kaho agar to sazaa doon khud ko, Kyun ab roz roz ka rona rahe aakhir, Aj hi kyun na mitaa doon dukh ko, Kaho agar to bhulaa doon tum ko..