garmi hasratein nakam se jal jate hain, hum chiragoon ki tarha shaan se jal jate hain, jis aag mein jalti hai shama numaish ke liye , hum usi aag mein gumnaam se jal jate hain, jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath, jaane kyon log mere naam se jal jate hain.

“Mere wajood me WAFA ki roshni utar de. Phr itna piyar de k mujh ko chahato me maar de. Boht uddas tha so utth k tere pas agaya. Kuch aisi baat kr jo dil ko chain or qarar de. Suna he teri 1 nazar sanwarti he zindagi. Jo ho sakey to aaj meri zindagi sanwar de.

Wafa k qaid khano men sazain kb badlati hen, Badalta dil ka mosam he hawain kb badalti hen. Meri sari duain us se hi mansoob rehti hen, Muhbt agr ho sachi to duain kb badalti hen. Koi pa kr nibhata he koi kho kr nibhata he, Naye andaz hote hen wafain kb badalti hen.

Tum mujhay ZINDAGI kehtay ho… Mujhe yaqeen hai.. Mgr mairi aik khawhish hai… K is ZINDAGI k ba’d… Mujhe aik aur ZINDAGI milay.. Ta K main dekh sakun.. K TUM..!! Meri ZINDAGI se.. Kisi aur ZINDAGI tk fasla.. Kitne arsay men ta’e Krtay ho.

Jatey jatey woh mujhe achi nishani day gaya umr bhar dohraoN ga, aisi kahani day gaya Us say maiN kuch pa sakooN aisi kahaN umeed thi gham bhi woh shayad baraye meharbani day gaya khair maiN piyasa raha par usne itna to kia meri palkoN ki qitaroN ko woh pani day gaya

Har Baar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum Har Baar Tum Se Mil Ke Bicharta Raha Hun Mein Tum Kon Ho Ye Khud Bhee Nahee Jaanti Ho Tum Mein Kon Hun Ye Khud Bhee Nahee Jaanta Hun Mein Tum Mujh Ko Jaan Kar Hee Padi Ho Azaab Mein Aur Is Tarah Khud Apni Sazaa Ban Gayaa Hun Mein

ae khuda karde us shaks ke hawale mujhko, Ke apne seene se wo ek baar laga le mujhko, Bikhar gai hun mein toot kar kai tukroon mein, De usse taufeeq ke aake sambhale mujhko, Ya tu uska saath aata kar mujhko umr bhar ke liye, Ya tu chup chap apne paas bula le mujhko ..

Ye Ishq-o-Muhabbat ki Riwayat bhi Ajab hai Paana bhi Nhi hai,Usey Khona bhi Nhi hai Lipta hai Tere Dil Se Kissi Raaz Ki Surat Woh Shakhs Ke Jisko Tera Hona bhi Nhi hai Jis Shakhs Ki Khatir Tera Ye Haal hai Mohsin… …Uss Ne Tere Marr Janey Pe Rona bhi Nhi hai

Tum ko zabt kerna hai Zabt bhi kamal ka Neend sey nedhal ho Dard be-misal ho Jag ker bta dena Zakhm zakhm ho jao Phir bhi muskura dena Tum ko sabar kerna hai Khod pey jabar kerna hai Khar khar kerna hai Intezar kerna hai Is gulab lamhey ka Aitbar jo dey ga Ikhteyar jo dey ga

Chalo aao Mohabbat ki Nae Bunyaad Rakhty hain Khud Paaband Rehty Hain Usay Aazad Rakhty hain Humary Khoon Mei Rab Ne Yehi Taseer Rakhi hy Buraai Bhool Jaty Hain Achai Yaad Rakhty hain Mohabbt Mei Kahin Humse Gustakhi na Ho jaye Hum Apna har Qadam us k Qadam k Baad Rakhty hain

Zindgi ik sawal labon pe goya adhoora sa nainon ka khwab kuch mukammal kuch pura sa suno safer-e-zindagi main hum safer milen ge kabhi gum kabhi khushi k phool khilen ge zindgi imtihan, bhi azmaesh bhi apnon k liye khoon-e-dil de ker jity hain yahan Tooty sapnoon k liye…

Zara Udas hun Lekin Zara Masroor bhi hun Tumhare paas hun shayad, shayad Door bhi hun Yun Pathreele Raston Pe Chalna Shoq nehi Mera Kuch Muaamla Chahat ka he Kuch Majboor bhi hun Mohabbat Ho Gai Tum se, Bus itni Khata he Meri Maana k Mujrim hun magar Be-qasoor bhi hun…

Samny Manzil Thi or Peechay Us Ki Awaz “Rukta to Safar jata,Chalta To Bichar jata “manzil ki b hsrat thi or us se muhabat b “ae dil ye bta mujh ko us waqat kidhr jata “muddat ka safar b tha or brson ki shanasai “rukta to bkhar jata chlta to me marjata.

Kese koi chupaaye aansuu, Aakhir aankh main aaye aansuu, Tujh ko yeh maloom nahin, Kitne raat bahaaye aansuu, Dard ki lazat aur barhi, Jab aansuu main milaye aansuu, Mene kaajal saaf kiya, Aur palkon pe sajaye aansuu, Us ne meri yaad main Rahi, Kese aaj bahaaye aansuu.. Fatima Rahi

Hua Jo Kuch’ Bhulana Chahiye Tha, Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha, Ye Saara Bojh Mere Sir Pe Kiyon Hai, Usay Bhi Gham Uthana Chahiye Tha, Kis Qadar Guroor Tha Mujhe Us Per, Pyar Se Beth Kar Manaana Chahiye Tha, Mujhe Paa Kar Usey Kya Chain Milta, Jisey Saara Zamaana Chahiye Tha..