Qadam Qadam pe tha ik Marhala mein kya karta Taweel hota gaya Faasla main kya karta Ghum-e-Hayat Ghum-e-ishq aur Ghum-e-Ehbaab Ulajh gaya tha har ik Silsila Main kya karta Wo Aansuon ki Zubaan jante na they Mujhe Bayaan ka na tha Hausla Main kya karta..!

Maray chara gar!!! maray dard ki tujay kaya khabar tu maray safar ka shareek hai nahi hamsafar!!! maray hath sy taray hath tak wo jo hath bhar ka tha fasla kai mosmoon my badal gaya….. issay napteyy,issay kat’tay MARA SARA WAQAT NIKAL GAYA,,,

Mai Kaise Rok Dun Apne Thirakte Kadamon Ko; Ishara Hai Unka Abhi Nachte Raho. Muddaton Baad Unhein Mudke Dekhna Bhi Kya; Ger Wo Dekh Bhi Rahe Hon To Karna Bhi Kaya. Khuda Ne Tere Lawon Ko Kya Haseen Mod Diya Hai; Kayamat Ko Hi Jaise Khula Chhod Diya Hai.

nahi ye kaam akal walon ka, pyaar ker lain to sochna kya hai, tujh ko dekha to ishq ker bethay, nahi dekha bhala bura kya hai, bina teray mai laash jesi hoon, mai nahi jaanti kaza kya hai, tujhko dekhain to jaan lain gy sb, pyaar kya hota hai wafa kya hai

Hai Ajab Pagal Si Main Bhi Hoon Usay Misron Mein, Shairon Mein To Main Youn Yaad Rakhti Hoon Khawabon Kay Jazeeron Par …Usay Aabaad Rakhti Hoon Barah-e-Raast Kehnay Say Magar Haan Main Bhi Darti Hoon Ajab Pagal Sa Larka Hai Ajab Pagal Si Main Bhi Hoon

Tere chahat ka sila yaad nahi, Yaad hai jurm saza yaad nahi, Torr kar humsafri ka rishta Wo kaha chhor gaya yaad nahi, Apne girnay ka sabab yaad hai, Lakin… kis bulandi se gira yaad nahi, Yaad hai uska bicharna hum ko, Phir humain jo b mila yaad nahi..

Mere Be-Rabt khayalat Mai Kya Rakha Hy, Mai To Pagal Hon Meri Baat Mai Kya Rakha Hy, Baandh Rakha Hai Teri Yaad Ne Maazi Se Mujhe, Warna Guzrey Howey Lamhaat Mai Kya Rakha Hy, Tu Jo Mil Jaye To Or KHUDA Se Kiya Mangon, Tu Alag Ho To Meri Zaat Mai Kya Rakha Hy

Woh jis pe umar lagi mujhe bananey mein, Usi ka hath hai shamil mujhe mitaney mein, Har aik morr pe us ne daghaa diya mujh ko, Jisey main apna samjhta raha zamaney mein, Ajeeb hai ke yeh khud hi bhujana chahti hai, Razaa hawaa ki thi shamil diya jalaney mein..

Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna! Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna! BachAa K Rakhna Mohabat Ko Sazishon Se! Wafa Ki DoLat Jafa Na Loote KhayaL Rakhna! Jo Ho Mohabat To ranjishon Se Guraez Karna! Kisi Ka Nazuk Sa DiL Na Toote KhayaL Rakhna.

Huahishoon ka lasha hai Zindagi tamasha hai Toot jata hai sada Jo bhi but tarasha hai Dil na jaanay anbasaat Dard hi shanasa hai Mil kay bhi milta nahi Bohat usay talasha hai Na zindagi sa hai gila Na tum sa koi aasha hai Pyar waday or wafa Sara kuch tamasha hai

Chalo is shart per piyar ka aghaz keraty hein Agar tum munharif ho jao chahat sey, jaza pao Magar ye jurm sarzad ho kabhi mujh sey To meray hath sey jewan ki rekha youn metay Is ka neshan tak be-nishan thehary Dil-o-jan khak ho jain Ye ankh’ein rakh ho jain

Buht tote hoe hein hum abi dastak nahi dena humari ankh ha purnam abi dastak nahi dena mere yaro abi kuch din mere ahwal matt pocho abi dil mein ha uska gham abi dastak nai dena Shab-e-tanhaie mein tarpna ha buht mujko abi ha dard kuch madham abi dastak nahi dena

Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye, Is Say Behtar Hai K? Har Baat Bhula Di Jaye.. Mai Ne Apno K? Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya, Dil K? Angan Mai B? Dewaar Utha Di Jaye.. Mai Ne Yaroon K? Bhicharne Say Ye Seekha ?MOHSIN? Apne Dushman Ko B? Jeene Ke Dua Di Jaye?

Mein ik pal bhi ghar sey nikl’on To wo mujh sey pocha kerti thi Tum kahan gaye thay Kis sey milney gaye thay Kia kam tha tujh o Aisey be-wajha Ghar sey na nikla karo Zamana bohat kharab hai Aaj teen shab bad Jab mein ghar lauta to Yaad aya Wo pocha kerti thi

Woh Jab Bhi Mujh Se Milti Thi.! Har Bar Masomiyat Se Mujh Se Pucha Karti Thi.! K Tum Mere Hi Ho Na… ?? Aur Main Har Bar Us K Chehre Ko Apne Haathon Se Cho Kar Qasam Khaya Karta Tha.! Per Kash.! Maine Ek Bar Us Sy Pocha Liya Hota.! K Tum Meri Hi HO Na…!!