Wo sarey jaha’n ki khushi’an Wo tera ik humsafar kehna Wo sarey zamaney ki mukhalfat wo tera ik qissa-e-muhabbat kehna tujhey chahney walo’n ki kami na thi wo tera ik tujh ko jan kehna kiun badal gaya hai ab tu meri jan kaha’n gaya wo tera ik mujh ko chand kehna

Kisi ki rah main ankhen bicha ker kuvh nahi milta ye dunya bewafa hai dil laga ker kuch nahi milta koi bhi loat ker ata nahin ansoo bahany se kisi ki yad main dil ko jala ker kuch nahi milta kisi k dil pe kia guzry kisi ko kia khaber iski kisi ko apna hal-e-dil suna ker kuch nahi milta

Ragon mein khoon khaya ja raha hai, Mujhe shayed bhulaaya ja raha hai, Parri aangan mein mere dhoop aese, Pas-e-deewar saaya ja raha hai, Milaawat jab se jazbon mein hui hai, Haqeeqat ko chupaaya ja raha hai, Arey kyun ro diye tum mujh pe aese, Mujhe to aazmaaya ja raha hai.. R N Khawa

Mera aaina Mera aks b, Mery mehrban ki nazar hua, Meri siskiyan Meri hichkiyan Meri arzu Meri justju Meri chshm-e-tar Mera hr safar Meri soch k sabhi zawiye Wo diye jo usne bujha diye Meri hastiyan Meri bastiyan Meri shairi Meri ragni Mery sath jin ka guzar hua MERE MEHRBAN KI NAZAR HUA

Hamara dosh hai mana Tum’hein apna jo hai jana Tumharey bin ye jewan marg jesa hai Hum’ein janat ka har gosha bhi goya narm jesa hai Haqeqat mein agar socho Muhabbat mein ana ka kam hi kia hai Chalo ab man bhi jao Key tum ko hum manatey hein Hum’ein tum sey muhabbat hai

Vaada kar lete hain nibhaana bhool jatey hain, Laga kar dil mein aag bhujaana bhool jatey hain, Mein to khoob tayaari karti hoon sab sajaaa kar, Magar woh ain’waqt per aana bhool jatey hain, Main jo yaad kar loon jawaab sab sawaalon ke, Imtihaan nahin lete aazmaana bhool jatey hain..

Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say, Main Bujhta Aik Chiragh Hoon, Mera Room Room Dard Dard, Meray Dukh Ka Sira Nahin, Meri Laghzishon Main Pali Barhi, Koi Khoi Kahani Bhi Hai, To Jo Sath Hai To Sukoon Naheen, To Jo Rooth Gia To Azab Hai, Meri Zindagi Hai Aik Goo Mago, Mujhay Roshni Milti Naheen

“Wafaa k Qaid Khano Mein Sazayen kab Badalti Hain Badalta Dil ka Mosam Hai Hawayen kab badalti Hain Libada Aurrh kr Gham ka Nikal jate Hain Sehra ko Jawab Aye k Na Aye Aadayen kab Badalti Hain Koi pa kr Nibhata Hai Koi kho kr Nibhata Hai Naye Andaaz Hote Hain Wafayen Kab Badalti Hain !!

Udas lamho!kabhi batao Key meray hath’on ki gham mein dobi hui lakeer’on mein Kiya khushi ki koi ghari hai? Kiya reyet ankh’on mein’ khar dil mein Thakan ka lejay sey aa lagi hai Udaas lamho! Mein thak gae hun Khushi ka thora sa dan dey do Mujhey muhabbat ka man dey do

Krb-e-takhliq paalty rahye dard ko ly main dhalty rahye phir na mohlat mily kabhi shayad dil ki hasrat nikalty rahye ibny aadum hy bhook sy bayhaal app kooton ko palty rahye hojo ylghar qarz kh-hon ki husan o khobi sy taalty rahye kaam aa-ain gay moflisi main Azeem khowty siky sanbhalty rahye

Musafir to bicharty hain rafaqt kb badlti hai? mohabat zinga rehti hai mohabat kab badalti hai? tmhi ko chahty hain hum tmhi se pyar kerty hain yehi barson se adat hai or adat kab badalti hai? kali ka phool banna aur bikher jana muqader hai yehi qanoon-e-fitret hai so fitret kab badalti haii?

Is ney pocha Kin shart’on pey piyar karo gey? Sath raho gey Mein ney kaha Piyar mein shart’ein kab hoti hein Han ik choti si khawahish hai Mujh sey ho sanjog tumhara kuch aisa Jesay beej, gulab aur khushbo ka Jesay ankh ki putli sey hai benai ka Jesay dil ki dharkan sey hai judai ka

Mohabbat Dukh Nahi Deti Ager Be-gharz Ho Jazba Ager Manzil Bane Rasta Ager Chahat k Parday Mein Koi Lalach Na Ho Lipta Ager TuM Sonp do Sub Kuch Silay Mein Kuch Nahi Mango Ager Sauda Na Ho Koi Mohabbat Bus Mohabbat Ho To Phir Ye Sukh He Deti Hai Kabhi bhi Dukh Nahi Deti Mohabbat Dukh Nahi Deti.

Phol sa kuch kalam or sahi ek ghazal os ke nam or sahi   Es ki zulfain bohat ganheri may ek shab ka qiyam or sahi   Zindagi ke udas qisay may ek lardki ka nam or sahi   Kurciyon ko sunaieye ghazlay katal ki ek sham or sahi   kapkapati hy raat seny may zehar ka ek jam or sahi

Gham e Aashqi Se keh Do Rah e Aam tak na Pahunche, Uthey Har Nigaah Lekin Koi Baam tak Na Pahunchey, Main Nazar Sey Pi Raha tha to Ye Dil ne Bad-Dua di, Uthey har Nigaah Lekin Koi Jaam tak Na Pahunchey, Yeh Adaaye Be-Niyaazi Tujhe Be Wafaa Mubarak, Mgar Aisi Be-Rukhi Kya k Salaam Tak Na Phunche,