TumhEn jO yaad rakha hai yEhi apni mOhabbaT hai mOhabbaT kar nE waLoOn ki mOhabbaT kab badaLti hai …… jO diL main naQaSsh hO jayE niGhaaOon main simaT aayE aLaamaT hai yE ChahaT ki ChahaT kab badaLti hai Tumhi kO chahatE hain hum Tum hi sE piyaar kartE hain yE barsOon ki Aadat hai Aadat kab badaLti hai…

Jo mananay k fun se waqif hun, Wohi aksar khafa hotey hain.. Jo Baray ba-wafa se dikhte hain, Wo baray bewafa bhi hotey hain.. Jo thehray hain zest ka hasil, Wohi lamhay saza bhi hotey hain.. Hum ko itni khabar nahi hoti, Hum kesi ki dua bhi hotey hain.. Jo bicharney ka weham rakhte hain, Wohi aksar judaa bhi hotey hain..

Paraaye ghar ki beti jal rahi hai, Acha moqa hai! Bujha do piyas sholo’n ki, Kanaster daal do us per Sulagtey bainn sun kar ab nahi’n bedaar ho gi woh Kahani so gai, Phoolo’n ki chaadar daal do us per Ek strature k pahiye ghoomtey hain burn unit mein Ye manzer dhaanp do, Acha sa manzer daal do us per. . !

Jahan jahan barsaat uterti daikhi hai, Her sou teri yaad bikherti daikhi hai, Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha, Aur phir iss dil se dunya darti dekhi hai, Dil ke gehray sannatay main raaton ko, Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai, Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi, Hum ne apni aankhon marti dekhi hai…

Insan main haiwaan* yahan bhi hai wahan bhi hai, Allah nigehbaan yahan bhi hai wahan bhi hai, Khoon-khawaar darindon ke faqat naam alag hain, Har sheher beyaabaan yahan bhi hai wahan bhi hai, Naaron ka sakoon, waadon ke ghar, khawbon ki khushiyan, Bazaar main samaan yahan bhi hai wahan bhi hai.. (haiwaan;animal) Nida Fazli

Wo Pani Ki Lehron Pe Kya Likh Raha Tha.. Khuda Jane Hurf-e-Dua Likh Raha Tha.. Likhe The Jisne Wafa Ke Maane Aadhure.. Woh Shakhs Pyar Ki Inteha Likh Raha Tha.. Zara Uski Aankh Se Aanso Na Nikle.. Woh Shakhs Jab Zindagi Ko Saza Likh Raha Tha.. Mohabbat Mein Nafrat Mili Thi Usse Bhi.. Woh Har Shakhs Ko Bewafa Likh Raha Tha..

Apni palkain woh band rakhta hai, Jaane kesi pasand rakhta hai, Khud ko kehta hai aasmaan paima’n, Itni oonchi kamand rakhta hai, Maara jaye ga dekhna aik din, Kyun dil-e-dardmand rakhta hai, Sath wale khafaa, khataa yeh hai, Kyun iraadey buland rakhta hai, Dhoop se saamna na ho jaye, Ghar ke darwaze band rakhta hai..

Bolay tou lafz baes e ilzam ho gaey Hum chup rahe tou or b bdnaam ho gaey, thy tand -o-tez kis qadar apni yeh zindagy Kitnay he hadsaat sare shaam ho gaey, Chahat k chaar harf ksi nay jo keh diye Hum dil ko paas rakhnay mein nakaam ho gaey, Baithay jo aa k hum tou wo uth kr chalay gaey Aisay he waqiyat mein hum aam ho gaey,

Jab Dour Ufaq Pr Lali Ho Jab Sham Udasi Wali Ho Jab Zabt Ka Bandan Tuta Ho Jab Aas Ka Daman Chuta Ho Jab Darshan Pyas Bujate Hon ……Jab Mosam Geet Sunate Hon Jab Kan Hon Tarse Baton Ko Jab Nend Na Aaye Raton Ko Jab Ankon Mai Jugrate Hon Jab Apne Dard Statay Hon Tub Yad Bohat Tum Atay Ho Tub Yad Bohat Tum Atay Ho..

Koii Mousam Ho Wasl o Hijar Ka Hum Yaad Rakhtay Hain Teri Baaton Say Is Dil Ko Bohat Aabad Rakhtay Hain Kabhi Dil Kay Sahifay Per Tujhay Tasveer Kartay Hain Kabhi Palkon Ki Cha’on Main Tujhay Zanjeer Kartay Hain Kabhi Khowabeda Shaamon Main Kabhi Barish Ki Raaton Main Koii Mousam Ho Wasl o Hijar Ka Hum Yaad Rakhtay Hain

Mere Zindgi Ka Bhi Ek Ajeeb Fasana Hai. Who na karta apna na hone deta bighana hai. Rooz milta hai dhiro batein karta hai. Magr os k dil mein kise aur ka tikana hai. Dukhe hota hai to mujhe apno k dukh sunata hai. …Phr mera dil mujh se larta hai. Aryan tujhe bhi to ek wada nibhana hai. Tu ne har hal mein ose hansana hai

Kisi Poorey Chaand Ki Raat Me Kabhi Tou Ho Mere Saath Me Teri Haseen Aankho’n Ki Roshni Chaand Ko Bhi Maat De Kho Jao’n Teri Aankho’n Mein Khushbu-e-Wafa Ban Kr Bas Jao’n Teri Saanso’n Me Sahil-e-Mohabbat Per Hum Chalty Jaye’n Duur Tk Ho Tera Haath Mere Haath Me Kisi Poore Chaand Ki Raat Me

mujhy kinare ki kab tamana hai tera zaroori hai paar jana magaer ye deiko k aaj darya chadha howa hai bipharte darya ki sorkh mojain bata rahi hain khiraj mangy hai aaj darya mari jo mano too aisa kar loo mujhy sharik e safar bana loo khiraj mangy jo tum se darya mujhy bhanwar mein utaar deina tera zaroori hai paar jana…

Aur phir tuut ja? Khiloney muskara Kisi se dil laga Aur phir tuut jaa Khushi dhunde ga tu Mileen ge lakh gham Tujhay thukrayeen ge Yeh pathar k sanam Yeh dhokah tu bhi kha Kisi ko aazmaa Aur phir tuut jaa Mile gi aik din Mohabbat ki saza Urye ga rang bhi Jale ga dil tera Yaqeen kar pyaar ka Yeh sadma bhi utha Aur phir tuut jaa

Shaam ki palkon pe larazty rehna. Doob jay jo ye manzar to barasty rehna. Uski adat wohi har baat adhoori karna, Aur phir baat ka mafhoom badalty rehna. … Aag se seekh liya hai ye qareena hum ne, Bujh bhi jana to bohat dair sulagtay rehna. Jaanay kis umr mein jaaygi ye aadat uski, Roothna khud se to auron se ulajhty rehna