ohat masroof ho shayed, hamari yaad bhi tum ko, … nahi aksar satati ab, bichharnay tak say milnay ka, koi wada nahi kartay, koi khat bhi nahi llikhtay, gila karna tou chahtay hain, tumhari bay rukhi ka hum, mager is kay liye kuch waqt bhi darkaar hota hay, jo tum ko mil nahi sakta, bohat masroof ho shayed.

Esi dewaangi say kya hasil Quwat e fikar jis me ghat jaey Zindgi alam me att jaey Admi zindgi sy cut jaey …Esi dewangi say kya hasil Ishq to esi ho k jis ki chamak Fikar ko abshar e noor kar day Shisha e dil ko chur chur kar day Lekin 21v saddi ka dimag Andhi k rastay me chirag Pather ka phul rait ka bagh..

?”Thukra Kar Mohabat Meri Kahan Janay Ka Iraada He ? Mujhe Zindagi K Kis Morr Pe Lanay Ka Iraada He ? Ye Jo Ab Khafa Khafa Se Rehne Lagay Ho Ye Pyar Ka Urooj Hy Ya Chhor Janay Ka Iraada He Jatay Jatay Ye To Bata Jao Aey Jaan’e’Jahan !! Mere Pyar Me Kami Thi Ya Kisi Or Se Dil Lagina ka Iraada He.?

Suno Acha Nahin Lagta Kare Jab Tazkara Koi Kare Jab Tabsara Koi Tumhari Zaat Ko Khoojay Tumhari Baat Ko Soochay …Mujhay Acha Nahin Lagta Suno Acha Nahin Lagta Tumhari Muskurahat Per Hazaroon Loag Martay Hoon Tumhari Aik Aahat Par Hazaroon Dil Dharaktay Hoon Kise Ka Tum Pe Yuun Marna Mujhay Acha Nahin Lagta..

Yeh Duniya Hay Yahan, Tamasha Ho Bhi Sakta Hay, Abhi Jo Gham Humara Hay, Tumhara Ho Bhi Sakta Hay, Tum Apnay Aap Ko Har Giz, …Koi Ilzaam Mat Dena, Yeh Soda Hay Muhabbat Ka, Khasaara Ho Bhi Sakta Hay, Na Yeh Samjho K Hum Hi, Tumhari Aakhri Muhabbat Hain, Muhabbat Jurm Hay Aisa, Dobara Ho Bhi Sakta Hay….

Zraa thehro! K tum sy ek zaruri bat krni hai idher ao0! K rasty mje kharen h0na humen acha nahi lagta yahan betho0! …K baten hum tu hamesha tasali sy he krty hain hamen is tarah mat dekho! Nahi tu hum tumhary samne kuch keh na paen gy tu haan baat bus itni hai chal0o chor0o! Kabhi muka mila tu pher btaen gy..

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe

Kuch rah-e-ishq ki masti thi kch log thy hum diwany se jab sheher tera choor dia dil khoob laga virany main jo jan se bhi pyary thy wo loog nazer se door hue ik teez si dil main uthti hai ab yadon ko dohrany se aae mouat zara tu theher to ja akhir main usko dekh to lun bat faqat ik pal ki hai inkar nahi mar jany se

?~~Tum kyun bane the dil ka sahara jawab do Ab kahan hai wo pyar tumhara jawab do Kis ko tha naz apni adaon pe har ghari Kis ne kya wafa se kinara jawab do … Hum to seh na sakein ge judai ka gham Ye qaul tha tumhara ke humara jawab do Ik taraf zindagi ik taraf maut hai dost Ab kis taraf karun ishara jawab do~~

Jo mananay k fan se waqif hun, Wohi akser khafa hote hain.. Jo Baray ba-wafa se dikhte hain, Wo baray bewafa bhi hote hain.. Jo thehray hain zest ka hasil, Wohi lamhay saza bhi hote hain.. Hum ko itni khabar nahi hoti, Hum kesi ki dua bhi hote hain.. Jo bicharne ka weham rakhte hain, Wohi akser judaa bhi hote hain..

tum na dekha kidhr gaya taaray kis ki awaaz par gaya taaray ya kaheen shahr e aarzoo to nahee chaltay chaltay thehr gaya taaray aaj aasaar e subh sa pahla waadion ma utr gaya taaaray sahmay sahmay bujhey hua maghmoom sar jhukaayay guzar gaya taaray badr kch waan ki bhi hbr hay tumhain aanchaloon par bikhr gaya taaray

Mohabbat bhi akhir balaa ho gayi hai Chorr bhi do jo agar hataa ho gayi hai Marzz hai kaisa, na koi dawaa kaam aye Mere Allah yeh kaisi sazaa ho gayi hai Hai koi burayi, ya kisi naiki ka silaah hai koi dua, ya koi bad-dua ho gayi hai Koi dhong bhi nahin jo le ayi hai Khuda tak Barson ki nimaaz jo meri adaa ho gayi hai

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!

Na jenay ki khushi na marnay ka gham hua hai Bs tery sath chalny ka shouq hua hai Mara mara phirta hai in galiyon main Jisy tm ny apny shehr sy be-dakhal kai hai Kal mili thi wo raat ko khoab main Kehti hai bicharny ka tajrba kesa hwa hai Khoon ky ansoo rota hai raton ko jo Suna hai isy tum sy muhabbat nahi ishq hwa hai

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta Yak tarfa takazay to nibae nhai jate Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta, Ilzamm lagata wo bare sho se par, Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta, Kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka, Kuch khuwab mere khud me tabdeel wo karta..