Mein sarey zamany ki mukhalfat ker sakta agar tu sath nibhata Mein chaltey huay darya’on ko rok sakta agar tu sath nibhata Mein rotey ho’on ko hansa sakta agar tu sath nibhata Mein dukh dard bhula sakta agar tu sath nibhata Mein khod ko tabah honey sy bacha sakta agar tu sath nibhata

Suno acha nahi lagta! Kare jb tazkara koi kare jb tabsara koi tumhari zaat ko khojy tumhari bt ko sochy mjy acha nahi lagta suno acha nahi lagta! Tumhari muskurahat par hazaro log marty ho tumhari aik ahat par hazaro dil darakty ho kesi ka tum py mar jana mjy acha nahi lagta suno acha nahi lagta

~~Kuch is tarah se mein apni zindagi tamam kar dun Waqt e seher tum ko dekhun aur shaam kar dun Khwab mein bhi tere siwa koi dikhaee na de Umr bhar ke lye aankhon ko tera ghulam kar dun … Tere lehje ki khushboo se mehkein sada meri sansein Aur jitni hein meri sansein sab tere naam kar dun~~

Aaj kuch kami si hai tere baghair Na rang na roshni hai tere baghair, Waqt apni raftaar se chal raha hai Bas dharkan thami si hai tere baghair, Na baarish hai or na hi dhuwan Phir be dil mein tapish hai tere baghair, Bohat roka tha badal ko barasney se Phir b aankhon mein nami si hai tere baghai

Saadgi Mein Bhi, Kamaal Lagte Ho, Tum Mera Kitna, Khayaal Rakhte Ho, Laboon Par Aik Hi, Sawaal Hai Zaahir, Kaho Na Hum Se, Kitna Pyaar Karte Ho, Tumhaare Bin Zindagi To, Zindagi Hi Nahi, Dil Mein Jagah Itni, Khaas Rakhte Ho, Lagta Nahi Ye Dil, Ab Tum Bin, Jaana Qayamat Si, Misaal Rakhte Ho…

Muqaddar Aazmane Mein Zamane Beet Jate Hain Muradain Dil Ke Panay Main …… Zamane Beet Jate Hain Muhabbat Zindagi Mien Bari Mushkil Se Milti Hia Mager Us Ko Nibhane Main Zamane Beet Jate Hain Ager Ek Baar Aankhon Mien Achanak Aa Basay Koi Ussay Dil Se Bhulanay Mein Zamane Beet Jate Hain

~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~ Agar Be-gharz Ho Jazba Agar Manzil baney Rasta Agar Chahat k Pardey Main Koi Lalach Na Ho Lipta Agar Tum Sonp Do Sab Kuch Silay Main Kuch Na Maango Agar Sauda Na Ho Koi Mohabbat Bas Mohabbat Ho Tou Phir Ye Sukh Hi Deti Hy Kabhi Dukh Nahi Deti ~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~

-Dard Ke Baad Dua Na Ho Jaana, Dekh Lena, Saza Na Ho Jaana, Mushkile To Beshumar Aayengi, Thak Na Jaana, Juda Na Ho Jaana, Ishq Ki Intiha Nahi Hoti, Ishq Ki Intiha Na Ho Jaana, Zindagi Dard Se Ibarat Hai, Zindagi Se Khafa Na Ho Jaana, Ek Tumhi Ko Khuda Se Manga Hai, Tum Kahi Bewafa Na Ho Jaana..!!!

Yahan hr shaks hr pal hadsa honay sy drta hai, khilona hai jo mitti ka fana honay sy darta hai, mry dil k ksi konay mei ik masoom sa bacha, baron ki dkh kr duniya bara honay sy darta hai, ajab hai zindagi ki qaid mei duniya ka hr insan, …rihaai mangta hai aur reha honay sy darta ha….!!~~

Wo guzre baras ki pehli barsat, Jab me or Tum, Sath sat te, Wo suhani sham, …Jab Tum Bheegi bheegi si sharmai, Or thori thori ghabrai, Mere bohat pas ti, Muje Aaj bohat yaad aye, Wo guzri barish, Kyion ka, Us baras, Barsat ki pehli sham, Muje veeran kar gai, Barish jhal thal baras gai, Tum Bin.

Gham Gusaron Ka Kya Bharosa, Be-Saharon Ka Kya Bharosa, Chap Ke Baadal Ki Aot Mein Ro Lein, Chaand Taron Ka Kya Bharosa, Jangi Kismat Hizaan Ka Bojh Bane, In Baharon Ka Bharosa, Kab Kisi Aur Se Ho Pyar In Ko, Apne Pyaron Ka Kya Bharosa, Kal Thi Shamsheer Jin Ke Hathon Mein, Jaanisaron Ka Kya Bharosa..

Meri aankhon main Ansu aaye na hote, Wo humein dekh kar muskuraye na hote, Sochti hun aksar tanhai may main, Meri zindagi main kash wo aaye na hote, Na tarapte hum unke liye itna, Dil ne khawab unke sajaye na hote, Naa toot kar bikharti main is kadar, Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote….

ager tum paas hote tou karam ki inteha karte tumein palkoon pe rakhte hum tumein dil me basaty hum …ager tum rooth jaty tou tumein kitna manaty hum tumari galtiyoon ko b hansi me taal dete hum ager apni khata hoti tou khud he ko saza dete mager ye sab tou tb hota AGER TUM PAAS HOTE TOU….!!!!!!!!!

?”Bachpan Ke Dukh Bi Kitne Ache The, Tab To Sirf Khilone Tuta Karte The, Wo Khushiyan Bi Na Jane Kaise Khushiyan Thi, Titli Ko Pakad Ke Uchhla Karte The, Paoon Maar Ke Khud Barish Ke Pani Mae, Apna Aap Bhigoya Karte The, Ab To Ek Aansu Bi Rusva Kar Jata Hai, Bachpan Mein Dil Khol Ke Roya Karte The”

Mere wajood ki jaagir isne maangi hai ajab khuab ki taabir isne maangi hai iski kaid men rehti hun mai pehle bhi? naa jaane kiu zanzeer isne maangi hai gumaan hota hai bool sakta hai mujhe kiuki aaj meri tasweer isne maangi hai mere khuda mujhe iske naseeb men likh de ke mujhse meri hi taqdeer isne maangi hai..