kabhi yun b aa meri ankh mein meri nazar ko khabar na ho … mujy aik raat nawaz dey magar us k bhad subha na ho…. woh bara raheem-o-kareem hai mujy yeh sift b aata kary …. tujy bhulny ki dua karun aur meri dua mein asar na ho

ab hath duaa ko uthtey hain, Alfaaz kahin kho jatey hain,.. Bas dhyan tumhara rehta hai, Aur aansu behtey rehtey hain, Har khuab tumhara poora ho, …Uss Rabb ki minnat karti hun, Main aisi mohabbat karti hun, Tum kesi mohabbat kartey ho??

thahar jao k hairani to jaye tumhari shakl pahchani to jaye shab-e-gam tu hi mahman ban k aja hamare ghar ki wirani to jaye zara khul kar bhi ro lene do ham ko k dil ki ag tak pani ho jaye bala se tor dalo ainon ko kisi surat ye hairani to jaye

Denay wala dey ajab nishani gaya Mathay per ker tehrer gham ki kahani gaya Khushi’yan sari khod samayt ker ley gaya Meri ankh’on sey ker rawa’n pani gaya Heer chor ker chali gai ranjha ko Likh wo meri kitab per ye kahani gaya

Tujhy kia malum ye kia cheez hai Jis ki nahi us sey pocho maa kia cheez hai Tujhy to aurha deti hai raat ko kambal Jis ki nahi us sey pocho sardi kia cheez hai Us ka rutba hisab’on mein nahi ata Ye to khuda bhi nahi janta maa kia cheez hai

khyaal-e-tarky tammna na kar saky to bhi udassion ka madawa na kar saky to bhi kabhi wo waqat bhi aa ay k koee lamha-e-ash mery baghair gawara na kar sky to bhi khuda wo din na dikha ay tujhe k meri tarah meri wafa pay bharosa na kar saky to bhi

Kabi Wo Subha Na Aey Jo Tujhe Raas Na Ho Khuda Kare Ke Tera Dil Kabhi Udas Na Ho Tere Duaon Pe Barse Kabuliat Ke Barsat Jo Bujh Na Paey Tujhe Aesi Koi Piyas Na Ho Kabhi Who Khawab Na Dekhey Tere Ghazal Se Ankh Jis Ke Jism Per Tabeer Ka Libas Na Ho

Ankhoon Mein Nami Ka Raaz Rakhti Hoon Mein Tanhaiyon Se Dosti Ka Jawaz Rakht Hoon Woh Ager Chaly Mere Sath Do Qadam Phir Dekho Mein Kesi Perwaaz Rakhti Hoo Khawahishon Pe Daal Rakhi Hai Kamand Sabr Ki Dabaa Ke Dil Mein Jazboon Ki Awaaz Rakhti Hoon

Tmhari Yad Ka M0sam Kisi Pe Kese Khule, Humari Ankh Se Chalta K0i Malal Kahan, Aur Ab Ye Shehre Wafa Bhi Hy Ird Gird Boht, Hasen Hy L0g Mgr, Aina Misal KahaN, Hy Dil Usi Ka Muqadar Yunhi Bhatke Phire, Kisi Ki Zaat Mai Tujhsa Koi Kamal KahaN….

Muhabbat key safar mein aaj phir souchta hun kitney din huay hein tum ko dekha nahi goya kitney din huay hain khud ko mila nahi janey kab milo gay lekin Jab milo gay mein khod ko ainey mein dekhlun ga muhabbat key safar mein aaj phir sochta hun. . !

Zinda Hoon Mein Abhi, Ehsaas Toh Dialao Mujhe, Agar Muskuraata Nahi Toh, Koi Rulao Mujhe. Chal Pada Hoon Ajnabi Se Raahon Par, Kabhi Toh Aawaaz Dekar Bulao Mujhe. Intezaar Karti Rahi Meri Aankhen Unke Aane Ka, Ab Na Aayenge Woh, Koi Toh Samjhao Mujhe

Kesey koi chupaye anso, Akhir ankh me aye anso, Tujhko ye maloom nahi, Kitney rat bahaey anso, Dard ki lazzat or barhi, Jub anso me milaye anso, Main ne kajal saf kia, Or palkon pey sjaey anso, Us ney meri yad me rahi, kesey aj bahaye anso. Fatina Rahi

kabhi tum apni mohabat ka aitbaar to do main chahoon toot k tum ko ye ikhtiyaar to do guzerti hi nahi mujh se zindagi ye tanha sahara payar ka de ker isy guzerny to do main sochta hon tmhary baghair kia ho ga Dil o dimagh pe ik bojh hai isy utaar to do

Ye zindgi kitni mukhtasir hai Mohabbton ka Kathan safar hai Wafa ka naam-o-nishan nahi hai Magar mohabbat kahan nahi hai Suno zara …Mere jane jana Tum apni khushaal zindgi ka Sirf aik lamha Bus aik ghari mere naam kar do Mohabbat meri tamam kar do

Resham jesay kitney sawal’on key guchay hein.. Jo pardes sey ghar atey hi khul jatey hein Sochta hon mein Maa’n, mehboba aur bivi Ye teeno rishtey Apas mein jab mil jatey hein Jesay door kahi’n sehra mein Taza phool sey khil jatey hein