Gabbar ke adde par Dhiskyon dhiskyaon Gabbar: Yeh bhi bach gaya Tera kya hoga Kaaliya? Kaaliya: Mujhe mat maro sardaar maine aapka namak khaya hai Gabbar: Safed namak ya kala namak? Kaaliya: Safed Gabbar: Iodine tha kya usame? Kaaliya: Haan Gabbar: Free flowing hai kya? Kaaliya: Jee haan Gabbar: ISI mark hai kya? Kaaliya: Haan Gabbar: Dukan se liya ya Super Market se ya sarkaari depot se? Kaaliya: Gaon walo ne diya tha sardaar Gabbar: MRP dekha tha kya? Kaaliya: Haan Gabbar: Expiry date bhi dekhi thi kya? Kaaliya: Haan sardaar Gabbar: Tata tha ya Captain Cook? Kaaliya: Sardar main Namak Haram hoon mujhe goli mar do

Your Comment Comment Head Icon

Login