Wo Kon Tha Jo Gaya Hai Udas Kar K Muje
Wo Kon Hai Jo Muj Mein Udas Rehta Hai

Hasne ko chand lamhe, rone ko umar sari
agar hai manjur to karlo ishq se yaari

Na mily Zahar to apna he Lahoo peety hain
Jaam khali nhe rahty kabhi SAQRATON k

Chala tha zikr apno ki be’wafai ka
So aa gya hai tumhara khyal waisay he.

Khamosh rah, Tanha Bait , Yaad kar us ko
Tune Ishq kiya ha Gunah chota nhi tera

Agar palak pe hai moti to ye nahin kaafi
Hunar bhi chahiye alfaaz me pironay Ka

Ab tanhai ka ye aalam hai GURTEJ
Koi hans k dekhe to Mohabbat ka Gumaan hota hai

Hichikyan hogai kyun aaj galy ka phanda
Haay! Kis vaada faramosh ko main yad aaya

Teri Nigah-e-naz me mera wujood be wujood
Meri Nigah-e-shoq me tery siwa koi nahe

Alvida hote hue unse koi nishani mangi
wo muskurakar bole judai kafi nahi hai kya

Hum to Aaghaz e Mohabbat me he loot gae GURTEJ
Log kahty hain anjam bura hota hai

Wo bewafa na tha younhe badnam hogya
Hazaron chahny waly thy kis kis se wafa krta

Zarurat To Usay Tab Bhi Na Thi Hamari
Bas Shoq Rakhte Thaey Wo Dilon Say Khelne Ka

Aansoo Muqadar hai to Kar lengy Gawara
Kashkol lye bheek na mangy gay Khushi k lye

Main Jab Bhi Toot ti Hun Tujhay Dhondti Hun
Tu Ny Ek Baar Kaha Tha na, Hum Ek Hain