Humne Wajood Apna Kho Liya; Unka Wajood Apne Saath Jodte Jodte

Naa Jana Ki Duniya Se Jata Hai Koi; Bahut Der Ki Mehrban Aate Aate

Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Kee; Barri Arzoo Thi Hum Ko Mulaaqat Kee

Aah Hoti Mere Lab Par Na Yeh Nalah Hota; Ek Bhi Toone Jo Armaan Nikaala Hota

Tinkon Se Khelte Hi Rahe Aashiyan Mein Hum; Aaya Bhi Aur Gaya Bhi Zamana Bahaar Ka

Shayad Koi Tarash Kar Kismat Sawaar De: Yeh Soch Kar Hum Umar Bhar Pathar Baney Rahe

Woh Mera Sab Kuchh Hai Par Muqaddar Nahi; Kaash Woh Mera Kuchh Na Hota Par Muqaddar Hota

Mere Dil Ki Khawaishen Reh Reh Kar Poochengee Ek Din Uss Se; Kis Ko Aabad Kiya Hai Mujh Ko Barbaad Kar Ke

Hazaaron Khawahishein Aisi Ke Har Khawahish Par Dum Nikle; Bohut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kum Nikle

Tumhein Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil Se Bojh Utaar Do; Main Bahut Dino Se Udaas Hun Mujhe Koi Shaam Udhaar Do

Jab Bhi Main Tere Sammne Hota Hun; Na Jane Kyon Aisa Lagta Hain; Yeh Waqt Yahi Tham Jaye; Zamana Na Jane Kyun Itna Tez Bheta Hain

Meri Ibaadaton Ko Aise Qubool Ker Ae Mere Maalik; Ke Sajde Mein Main Sar Jhukaun; Toh Mujh Se Judda Har Rishton Ki Zindaagi Sawar Jaye

Sirf Chahne Se Mulaqat Nahi Hoti; Sooraj Ke Hote Raat Nahi Hoti; Hum Jise Chahete Hai Jaan Se Bhi Zyaadah; Saamne Hote Hain Par Baat Nahi Hoti

Gum Na Ho Wahan Jahan Ho Aafsana Apka; Khusiyan Dhundti Rahe Aashiyana Aapka; Wo Waqt Hi Na Aaye Jab Aap Udas Ho; Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Apka

Dil Se Tera Khayal Na Jaye To Kya Karu; Tu Hi Bata Tu Yaad Aaye To Kya Karu; Hasrat Ye Hai Ki Ek Nazar Tujhe Dekhun; Magar Kismat Woh Lamha Na Laye To Kya Karu