Thak gaya hu roti k piche bhag bhag kar
thak gaya hu soti raato me jaag jaag kar
kash mil jaye vahi bita hua bachpan
jab maa khilati thi bhag bhag kar
aur sulati thi jaag jaag ka

Labbo pe uske kabhi Baddua nahi hoti
Bas ek Maa hai jo Kabhi khaffa nahi hoti

MAA tab bhi roti thi jab beta pet me laat maarta tha
MAA tab bhi roti thi jab beta gir jaata tha
MAA tab bhi roti thi jab beta bukhaar ya sardi me tadapta tha
MAA tab bhi roti thi jab beta khaana nahi khaata tha
Aur MAA aaj bhi roti hai Jab beta KHAANA nahi deta

Maa Phele Aanso Aate The Aur Tum Yaad Aati Thi
Aaj Tu Yaad Aati Hai Aur Aaso Nikel Aate Hai Maa

Maa Teri Yaad Satati Hai, Mere Paas Aa Jaao
Thak Gaya Hoon, Mujhe Apne Aanchal Mein Sulao
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao

Tere Bina Main Ye Duniya Chhod To Du
Pr Uska Dil Kaise Dukha Du Jo Roz Darwaze Pr Khadi Kehti Hai
Beta Ghar Jaldi Aa Jana

Kabhi Maa Ko Na Dekhu To Chain Nahi Aata Hai
Dil Na Jane Kyu Maa Ka Naam Sochte Hi Behel Jata Hai
Kabhi Muskra De To Lagta Hai Zindgi Mil Gayi Mujhko Nayi
Kabhi Dukhi Ho To Dil Mera Bhi Dukhi Ho Jata Hai

Mat kahiye mere saath Rahti hai MAA
Kahiye ki MAA k saath Rahte hai HUM

Neend Apni Bhula K Sulaya Hum Ko Aanson Apnay
Gira K Hansaya Hum KoDard Kabhi Na Dena Un
Hastiyon Ko Allah Ne Maa Baap Banaya Jinko

Maa ke doodh mein toh dum hota hi hai
chahe woh Hindustan ki ho ya Pakistan ki

Umar Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmatgar Rhi
Main Teri Khidmat Ke Qabil Jb Howa Tu Chal Basi maa

Maa Baap Ke Aankon Me Do Baar Aaso Aate Hai
Ladki Ghar Chode Tab Aur Ladka Muh Mode Ta

Gutno Se Rengate Rengate Kab Pairon Par Khaad Huaa
Teri Mamta Ki Chhav Mein Jaane Kab Bada Huaa
Kala Teeka Doodh Malayi Aaj Bhi Sab Kuchh Vaisa Hai
Main Hi Main Hu Har Jagah Pyar Yeh Tera Kaisa Hai
Seedha Sadha Bhola Bhala Main Hi Sabse Achha Hu
Kitna Bhi Ho Jaau Bada Maa Main Aaj Bhi Tera Bachha Hun

Ek Maa Pathar Ubalti Rahi Raat Bhar
Bachee Fareb Kha Ke So Gaye

Maa Teri Yaad Satati Hai, Mere Paas Aa Jaao
Thak Gaya Hoon, Mujhe Apne Aanchal Mein Sulao
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao !!!