Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin; Aadat Jo Padh Gayi Thi Tere Intezar Kee

Intezaar To Bahut Tha Humein; Lekin Aaye Na Woh Kabhi; Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate; Agar Hota Unhe Bhi Intezaar Kabhi

Mohabbat Ka Imtihan Aasan Nahi; Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi; Muddatein Beet Jati Hain Kisi Ke Intezar Mein; Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Kaam Nahi

Kehte to tum theek magar ab raha nahi jata,
Ye dard dooriyo ka ab saha nahi jata.

Teri mahar ka kya hai barosa
kab kaha par ye ho jaye
issi aas me hum bhi hai
shayad hum par bhi ho jaye

Palkon Pe Ruk Gaya Hai Samundar Khumaar Ka; Kitnaa Ajab Nashaa Hai Tere Intezaar Ka

Intezar Rehta Har Shaam Tera; Yaadein Katati Hain Le-Le Kar Naam Tera; Muddat Se Baithe Hain Yeh Aas Paale Dil Mein; Ki Aaj Aayega Koi Lekar Paigaam Tera

Bas Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do; Kitna Hai Mujh Se Pyaar Likh Do; Kat Ti Nahi Ab Yeh Zindagi Bin Tere; Aur Kitna Karun Main Intezar Likh Do

Jisne Haq Diya Muje Muskurane Ka; Ushe Shauk Hai Ab Muje Rulane Ka; Jo Lehron Se Cheen Kar Laya Tha Kinaro Par; Intzar Ha Use Ab Mere Dub Jane Ka

“Aansu na hote aankhon mein
to Aankhen Khubsurat na hoti,
Dard na hota duniya mein
to Khusiyon ki Kimat Na hoti,
Sab muraadein hoti puri Chahne se
to Khuda ki Zaroorat na hoti”

Dost wo nahi jo mushkil me kaam aaye,
Dost wo hai jiske saath rehte mushkil hi na aaye.

Jo Ho Sake Toh Chale Aao Aaj Meri Taraf; Mile Bhi Der Hui Aur Jee Bhi Udaas Hai

Zindagi Dene Vale Marta Chod Gaye
Apnapan Jatane Vale Tanha Chod Gaye
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki
Vo Jo Saath Chalne Vale Apna Rasta Mod Gaye…

Mujhe bahut yaad aata hai wo gujra jamana,
Unka dekhna, muskurana aur daud kar lipat jana.

Ye Na Thi Hamari Kismat Ke Visaal-e-Yaar Hota; Agar Aur Jeetey Rehtey Yehi Intezaar Hota