Aansuon Ko Peena Purani Aadat Hai Meri
Mujhe Logon Ko Apna Gham Dikhana Nahi Aata
Aansuon Ko Peena Purani Aadat Hai Meri
Mujhe Logon Ko Apna Gham Dikhana Nahi Aata
Rone De Tu Aaj Humko Tu Aankhe Sujane De; Baho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jane De; Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya Woh Chhoot Jayega; Hai Itna Dard Ke Tera Daaman Bheeg Jayega
Jab Jab Aapse Milne Kee Umeed Nazar Aayi
Mere Paanv Mein Zanjeer Nazar Aayi
Gir Pade Aansu Aankh Se
Aur Har Ek Aansu Mein Aapki Tasveer Nazar Aayi
Betab Se Rehte Hain Teri Yaad Mein Aksar
Raat Bhar Nahi Sote Teri Yaad Mein Aksar
Jism Mein Dard Ka Bahana Sa Bana Kar
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Mein Aksa
Chup Hain Wo Kis Wajah Say Hamein MaLoom Nahi MaGar
DiL Doob Saa Jaata Hai Jab Wo Yaad Nahi Kartay
Kitne Tohfe Deti Hai Ye Mohabbat Bhi
Ruswai Alag Judai Alag Tanhai Alag
Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron mein
Safar hi safar likha hai hamsafar koi nahin
Kitaabain Bhi Bilkul Meri Tarha Hain
Alfaazon Sey Bharpoor Magar Khamosh
Wapsi Ka Safar Aab Mumkin Na Hoga; Hum Toh Nikal Chuke Hain Aankh See Aansu Ki Tarhan
SirF Din Nai Ab RAT Se DaR
Lagta He
Ghar H Kacha BARSAT Se Dar
Lagta He
kisiNe TohFe Me KHUN k Ansu
Diye
Ab Muje TohFo ki sougatSe Dar Lagta He
Hum Rone Pe Aa Jayein To Dariya Hi Baha Den
Shabnam Kee Tarah Se Humein Rona Nahi Aataa
Na Sath Hai Kisi Ka Na Sahara Hai Koi
Na Ham Hain Kisi Ke Na Hmara Hai Koi
Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai
Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai
Jo Aata Hai Khushi Ki Inteha Par
Bahut Roye The Us Aansu Ki Khati
Jo Aag Lagayi Thi Tum Ne Us Ko To Bujhaya Ashkon Ne
Jo Ashkon Ne Bhadkayi Hai Us Aag Ko Thanda Kaun Kare