Achha Lagta Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath; Jaise Koi Subhaa Jurari Ho Kissi Haseen Shaam Ke Saath
Achha Lagta Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath; Jaise Koi Subhaa Jurari Ho Kissi Haseen Shaam Ke Saath
Tumhari Mohabbat Ka Pyaasa Hu Isliye Haath Fayla Diya Maine; Warna Hum To Khud Ki Zindagi K Liye Bhi Duaa Nahi Karte
Kuch kahe to vo bolate hai bahut bolate ho
Chup rahe to puchte hai naraz ho
Dil ki baat kaise kahe
Izhaar karne se kahte hai majak karte ho
Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milenge; Kahin Zyada To Kahin Kam Milenge; Aitbaar Zara Soch Kar Karna; Mumkin Nahin Har Jagah Tumhe Hum Milenge
Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai; Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai; Mein Tujhse Door Kaisa Hoon Tu Mujhse Door Kaisi Hai; Yeh Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai
Mujshe Mat Puch Ki Kyun Aankhein Jhuka Li Maine; Teri Tasveer Thi Inn Aankhon Mein Woh Tujhi Se Chupa Li Maine
Chaandni Raat Ke Khamosh Sitaron Ki Qasam; Dil Mein Ab Tere Siwa Koi Bhi Aabad Nahi
Ek ada aapke dil churane ki ek ada aapke dil me bus jane ki Chehra apka chand sa aur ek zid hamari chand pane ki
Yeh Darya Ishq Mein Qadam Zara Soch Ke Rakhna; Ish Mein Utarne Wale Ko Kinara Nahi Milta
Paas Hote Hai Jab Wo Mere To Koi Mozu-E-Guftagoo Nahi; Door Hote Hai To Har Guftagoo Unhi Ke Liye Hai
Humne Hamare Ishq Ka Izhaar Yoon Kiya; Phoolon Se Tera Naam Pathron Pe Likh Diya
Jaan Tujh Par Nisaar Karta Hoon; Main Nahin Jaanta Dua Kya Hai
Kis Qadar Maasoom Sa Lehja Tha Unka Faraz ; Dheere Se Jaan Keh Kar Humein Bejaan Kar Gaya
Agar Hota Hain Itefaaq To Kuch Yoon Kyu Nahi Hota; Woh Chale Ush Raah Pe Jo Mujh Pe Khatam Ho
Hamaari Sanso Mein Ek Aahat Apki Bhi Hai; Dil Ki Dhadkno Mein Ek Gungunahat Apki Bhi Hai; Anjaan Hai Aap Shayad Iss Raaz Se; Ki Hamaari Hansi Mein Ek Muskrahat Apki Bhi Hai