Tu Bhi Nahi Mai Bhi Nahi Galatiyon Se Juda Tu Bhi Nahi Mai Bhi Nahi; Dono Insaan Hain Khuda Tu Bhi Nahi Mai Bhi Nahi; Tu Mujhe Or Mai Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar; Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi � Mai Bhi Nahi; Galat Fahmiyon Ne Kar Di Dono Mai Paida Dooriyan; Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi � Mai Bhi Nahi

Teri Doli Uthi Teri Doli Uthi Meri Mayyat Uthi; Phool Tujh Par Bhi Barse Phool Mujh Par Bhi Barse; Farq Sirf Itna Sa Tha Tu Saj Gayi Mujhe Sajaya Geya; Tu Bhi Ghar Ko Chali Main Bhi Ghar Ko Chala; Farq Sirf Itna Sa Tha Tu Uth Ke Gayi Mujhe Uthaya Geya; Mehfil Wahan Bhi Thi Log Yahan Bhi The; Farq Sirf Itna Sa Tha Unka Hasna Wahan Inka Rona Yahan; Qazi Udhar Bhi Tha Maulvi Idhar Bhi Tha; Do Bol Tere Padhe Do Bol Mere Padhe; Tera Nikah Padha Mera Janaaza Padha; Farq Sirf Itna Sa Tha Tujhe Apnaya Geya Mujhe Dafnaya Geya

Pani Aankh Mein Bhar Kar Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai; Ab Bhi Jalta Shehar Bachaya Ja Sakta Hai; Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Nakam Mohabbat; Lekin Iss Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai; Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedien; Iss Chashme Mein Zeher Milaya Ja Sakta Hai; Mujh Gumnaam Se Puchte Hain Farhaad-o-Majnoon; Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai; Yeh Mehtab Yeh Raat Kee Peshani Ka Ghav; Aisa Zakham To Dil Par Khaya Ja Sakta Hai; Phata Purana Khwaab Hai Mera Phir Bhi Tabish ; Iss Mein Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai

Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi; Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi; Jalwa-e-Husn-e-Azal The Woh Dayaar; Jin Ke Ab Naam-o-Nishaan Yaad Nahi; Koi Ujala Sa Bhalaa Sa Ghar Tha; Kis Ko Dekha Tha Wahan Yaad Nahi; Yaad Hai Zeena-e-Pechaan Us Ka; Dar-o-Deewar-e-Makaan Yaad Nahi; Yaad Hai Zamzama-e-Saaz-e-Bahaar; Shor-e-Awaaz-e-Khizaan Yaad Nahi

Kasam De Ke Apni Tujhe Rok Lega; Teri Laghzishon Pe Tujhe Tok Dega; Tu Murr Murr Ke Peeche Kise Dekhta Hai; Tera Kaun Hai Jo Tujhe Rok Lega Translation: Laghzishon = Deviating

Zoph Aata Hai Zoph Aata Hai Dil Ko Thaam To Lo; Boliyo Mat Magar Salaam To Lo; Kaun Kehta Hai Bolo Mat Bolo; Haath Se Mere Ek Jaam To Lo; Inhin Baaton Pe Lautata Hun Main; Gaali Phir De Ke Mera Naam To Lo; Ek Nigaah Par Bike Hain Insha Aaj; Muft Mein Mol Ek Gulam To Lo

Yaad Nahi Kya Kya Yaad Nahi Kya Kya Dekha Tha Sare Manzar Bhool Gaye; Ush Ke Galiyon Se Jab Laute Apna Bhi Ghar Bhool Gaye; Khub Gaye Pardes Ki Apne Divar-O-Dar Bhool Gaye; Shish-Mahal Ne Aisa Ghera Matti Ke Ghar Bhool Gaye; Tujh Ko Bhi Jab Apni Qasamen Apne Wade Yaad Nahi; Hum Bhi Apne Khwab Teri Aankhon Mein Rakh Kar Bhool Gaye; Mujh Ko Jinhone Qatl Kiya Hai Koi Unhen Batalaye `Nazeer`; Meri Lash Ke Pehlu Mein Wo Apna Khanjar Bhool Gaye

Chamakte Chaand Ko Chamakte Chand Ko Tuta Hua Tara Bana Dala; Meri Aawargi Ne Mujhko Aawara Bana Dala; Bada Dilkash Bada Rangeen Hai Yeh Shehar Kehte Hain; Yahan Par Hain Hazaron Ghar Gharon Mein Log Rehte Hain; Mujhe Is Shehar Ne Galiyon Ka Banjara Bana Dala; Main Is Duniya Ko Aksar Dekh Kar Hairaan Hota Hun; Na Mujhse Ban Saka Chhota Sa Ghar Din Raat Rota Hun; Khuda Ya Tune Kaise Ye Jahan Sara Bana Dala; Mere Malik Mera Dil Kyun Tadapta Hai Sulagta Hai; Teri Marzi Teri Marzi Pe Kiska Zor Chalta Hai; Kisi Ko Gul Kisi Ko Tune Angara Bana Dala; Yehi Aagaz Tha Mera Yehi Anjaam Hona Tha; Mujhe Barbaad Hona Tha Mujhe Nakaam Hona Tha; Mujhe Taqdeer Ne Taqdeer Ka Mara Bana Dala Translation: Dilkash: Adorable Attractive Aagaz: Begining

Aankh Se Aankh Aankh Se Aankh Milata Hai Koi; Dil Ko Khinche Liye Jata Hai Koi; Va-e-Hairat Ke Bhari Mehfil Mein; Mujh Ko Tanha Nazar Aata Hai Koi; Chahiye Khud Pe Yakeen-e-Kaamil; Haunsla Kis Ka Badhata Hai Koi; Sab Karishmat-e-Tasavur Hai Shakeel ; Varna Aata Hai Na Jata Hai Koi

Raaz-e-Ulfat Chhupa Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia; Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia; Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai; Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia; Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay; Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia; Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne; Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia; Faiz Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki; Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia

Raah Aasaan Raah Aasaan Ho Gayi Hogi; Jaan Pehchaan Ho Gayi Hogi; Phir Palat Kar Nigah Naahi Aayi; Tujh Pe Kurbaan Ho Gayi Hogi; Teri Zulfon Ko Chedati Thi Saba; Khud Pareshaan Ho Gayi Hogi; Maut Se Tere Dardmandon Kee; Mushkil Aasaan Ho Gayi Hogi; Un Se Bhi Chheen Loge Yaad Apni; Jinka Imaan Ho Gayi Hogi

Ik Jaagda Ik Jaagda Dukhi Bimar Rati; Ya Jaagda Choor Te Thug Rati;Ya Jaagda Pehredar Rati; Ya Jaagda Ishq Di Ramz Wala; Ya Jaagda Yaar Da Yaar Rati; Waris Mian Sub So Jande; Bus Jagda Ik Parwardigar Rati

Sadiyon Se Ik Sadiyon Se Ik Sapna Hai; Kaho Pura Karo Gey Tum; Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch; Kaho Aisa Karo Gey Tum; Nhi Kuch Or Tamanna Ab; Ke Bus Mere Ho Jao Tum; Kabhi Na Chor Ke Jao Gey; Kaho Aisa Karo Gey Tum; Faqt Ik Lafz Sunne Ko; Kai Barson Se Tarse Hain; Mujhe Apna Bana Lo Tum; Kaho Aisa Karo Gey Tum

Woh Kuch Gehri Soch Mein Aise Doob Geya Hai; Baithe Baithe Nadi Kinare Doob Geya Hai; Aaj Kee Raat Na Jaane Kintni Lambi Hogi; Aajka Suraj Shaam Se Pehle Doob Geya Hai; Woh Jo Pyasa Lagta Tha Sailab-Zada Tha; Paani Paani Kehte Kehte Doob Geya Hai; Shor To Yun Utha Tha Jaise Ik Toofan Ho; Sanaate Mein Jaane Kaise Doob Geya Hai; Aakhiri Khawhish Poori Kar Ke Jeena Kaisa; Anees Bhi Sahil Tak Aa Ke Doob Geya Hai

Khushi Mili To Ye Aalam Khushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-Hawasi Ka; Ki Dhyan Hi Na Raha Gham Kee Be-Libasi Ka; Chamak Uthe Hain Jo Dil Ke Kalas Yahan Se Abhi; Guzar Hua Hai Khayalon Kee Dev-Dasi Ka; Guzar Na Jaa Yun Hi Rukh Pher Kar Salaam To Le; Humein To Der Se Daawa Hai Roo-Shanasi Ka; Khuda Ko Maan Ki Tujh Lab Ke Choomane Ke Siva; Koi Ilaaj Nahi Aaj Kee Udasi Ka; Gire Pade Hue Patton Mein Shehar Dhoodhta Hai; Ajeeb Taur Hai Iss Junglon Ke Baasi Ka