Aap Duniya Bhar Se Aap Duniya Bhar Se Ulfat Kijiye; Mujh Ko Mera Dil Inayat Kijiye; Zabt Se Kya Khoon-e-Hasrat Kijiye; Ek Nala Kar Ke Fursat Kijiye; Joaf Kehta Hai Ki Manzil Door Hai; Shauq Kehta Hai Kee Himmat Kijiye; Gark Hi Hona Thaa Manzoor-e-Khuda; Na-Khudaa Kee Kya Shikayat Kijiye; Hazraat-e- Natiq Jahan Tak Ho Sake; Apne Dil Mein Zabt-e-Ulfat Kijiye

Tere Ishq Ke Tere Ishq Ke Intaha Chahata Hun; Meri Sadagi Dekh Kya Chahata Hun; Sitam Ho Ki Ho Vada-E-Behijabi; Koi Baat Sabr-Azama Chahata Hun; Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko; Ki Main Aap Ka Samana Chahata Hun; Koi Dam Ka Mehaman Hun Ae Ahal-E-Mahafil; Chirag-E-Sahar Hun Bujha Chahata Hun; Bhari Bazm Mein Raz Ke Baat Kah Di; Bada Be-Adab Hun Saza Chahata Hun

Baat Karni Mushkil Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi; Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi; Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar; Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi; Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu; Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi; Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai Zafar Se Har Baar; Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi

Tu Nahi To Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Mein Kya Reh Jayega; Door Tak Tanhaiyon Ka Silsila Reh Jayega; Dard Kee Sari Tahe Aur Saare Guzre Hadse; Sab Dhuan Ho Jayenge Ek Waakiya Reh Jayega; Yun Bhi Hoga Wo Mujhe Dil Se Bhula Dega Magar; Ye Bhi Hoga Khud Usi Mein Ek Khala Reh Jayega; Dayre Insan Ke Inkar Ke Iqrar Kee Sargoshiya; Ye Agar Kabhi Toote To Fasla Reh Jayega

Nikli Mohabbat Kee Jo Baat Nikli Mohabbat Kee Jo Baat To Tum Yaad Aa Gaye; Uthe Dil Mein Wo Jazbat To Tum Yaad Aa Gaye; Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko; Hui Jab Phir Pyaar Ki Barsat To Tum Yaad Aa Gaye; Yun To Dil Mera Bebas Na Rehta Tha; Badle Jab Halaat To Tum Yaad Aa Gaye; Sone-Chandi Se Sazi Rehti Thi Kalai Meri; Khali Dekhe Jab Apne Haath To Tum Yaad Aa Gaye

Mil Bhi Jate Hain Toh Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jate Hain; Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain; Hum Abhi Tak Hain Giraftar-E-Muhabbat Yaaro; Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain; Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda; Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain; Umar Bhar Jin Ke Wafaon Pe Bharosa Kije; Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain

Na Socha Na Samjha Na Socha Na Samjha Na Seekha Na Jana; Mujhe Aa Geya Khud-Ba-Khud Dil Lagana; Zara Dekh Kar Apna Jalwa Dikhana; Simat Kar Yahin Aa Na Jaye Zamana; Zubaan Par Lagi Hain Wafaon Kee Muhrein; Khamoshi Meri Keh Rahi Hai Fasana; Gulon Tak Lagayi To Aasaan Hai Lekin; Hai Dushwaar Kaanton Se Daaman Bachana; Karo Laakh Tum Matam-e-Naujawani; Pa Meer Ab Nahi Aayega Wo Zamana

Khuda Hum Ko Khuda Hum Ko Aisi Khudayi Na De; Ki Apne Siwa Kuch Dikhayi Na De; Khatawar Samjhey Gi Duniya Tujhe; Ab Itni Zayada Safai Na De; Hanso Aj Itna Ki Is Shor Me; Sada Siskiyon Kee Sunayi Na De; Ghulami Ko Barkat Samjhney Lagein; Aseeron Ko Aisi Rihayi Na De; Khuda Aise Ehsas Ka Naam Hai; Rahe Sahmne Aur Dikhayi Na De; Mujhe Aisi Jannat Nahi Chahiye; Jahan Se Madina Dikhayi Na Dey

Labon Ki Sarsarahat Labon Ki Sarsarahat Ke Baad Choor Hone Tak; Main Tujhko Is Tarah Chahun Ke Meri Saans Ruk Jaye; Khataon Par Khataein Hon Na Ho Kuch Baat Kehne Ko; Main Tujh Mein Yun Sama Jaon Ke Meri Saans Ruk Jaye; Na Himmat Tujh Mein Ho Baqi Na Himmat Mujh Mein Ho Baqi; Magar Itna Qareeb Aaon Ke Meri Saans Ruk Jaye; Tere Honthon Ko Jab Rakhon Main Apne Honth Kuch Aise; Yaa Teri Pyaas Bujh Jaye Yaa Meri Saans Ruk Jaye

Mujh Ko Baigana Kar Gaye Mujh Ko Baigana Kar Gaye Mere Din; Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din; Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga; Jaane Kis Ke Ghar Gaye Mere Din; Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat; Ki Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din; Saari Raatein Gayin Meri Be-Haal; Mere Din Be-Asar Gaye Mere Din; Khosha Ab Intezar Hai Na Umeed; Yaar Yaaran Sudhar Gaye Ab Din; Ab Main Bas Reh Geya Hun Raaton Mein; Mar Gaye Jon Mar Gaye Mere Din

Ek Baar Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do; Kitna Hai Mujh Se Pyaar Likh Do; Kat Ti Nahi Yeh Zindagi Ab Tere Bin; Kitna Karoon Aur Intezar Likh Do; Taras Rahi Hun Badi Muddat Se; Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do; Deewane Ho Jayein Jise Padh Ke Hum; Kuch Aisa Tum Mere Naam Likh Do; Zayada Nahi Likh Sakte To Mat Likho; Mohabbat Bhare Lafz Do Chaar Likh Do; Ek Baar Likho Mohabbat Hai Tum Se; Phir Yehi Jumla Baar Baar Likh Do

Meri Aankhon Ko Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi; Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi; Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi; Mere Baare Mein Poochta Hee Nahi; Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain; Haan Magar Dil Mein Haunsla Hee Nahi; Ham Chale Us Ki Bazm Se Uth Kar; Aur Wo Hai Ki Rokta Hee Nahi; Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi; Chup Ke Pathar Hai Bolta Hee Nahi; Main To Us Ki Talaash Mein Guum Hun; Wo Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi

Jab Agle Saal Jab Agle Saal Yahi Waqt Aa Raha Hoga; Ye Kaun Jaanta Hai Kaun Kis Jagah Hoga; Tu Mere Saamne Baitha Hai Aur Main Sochta Hun; Ki Aate Lamhon Mein Jeena Bhi Ik Saza Hoga; Yahi Damakte Hue Pal Dhuan Dhuan Honge; Yahi Chamakta Hua Din Bhujha Bhujha Hoga; Isi Jagah Jahaan Aaj Mil Ke Baithe Hain; Isi Jagah Par Khuda Jaane Kal Kya Hoga; Bichhadne Wale Tujhe Dekh Kar Sochta Hun; Tu Phir Milega To Kitna Badal Geyaa Hoga

Woh Chandni Ka Badan Woh Chandni Ka Badan Khushabuon Ka Saya Hai; Bahut Azeez Hume Hai Magar Paraya Hai; Utar Bhi Aao Kabhi Aasman Ke Zeene Se; Tumhein Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai; Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se; Khudaa Kisi Kee Mohabbat Pe Muskuraya Hai; Use Kisi Kee Mohabbat Ka Aitbar Nahi; Use Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai; Tamam Umar Mera Dum Uske Dhuein Se Ghuta; Woh Ik Chirag Tha Maine Use Bujhaya Hai

Taskeen Na Ho Jis Se Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo; Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo; Tum Ne Bhi Suni HoGi Bari Aam Kahawat Hai; Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo; Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye; Sur Hi Na Mile Jis Mein Wo Saaz Badal Dalo; Dushman Ke Iradon Ko Hai Zahir Agar Karna; Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo; Ay Dost Karo Himmat Kuch Door Savera Hai; Agar Chahte Ho Manzil To Parwaaz Badal Dalo