Aisa Lagta Hai Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho; Ajnabi Jaise Ajnabi Tum Ho; Ab Koi Aarzoo Nahi Baki; Just-Ju Meri Aakhiri Tum Ho; Main Zameen Par Ghana Andhera Hun; Aasmano Kee Chandni Tum Ho; Doston Se Wafa Kee Ummeedein; Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho
Aisa Lagta Hai Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho; Ajnabi Jaise Ajnabi Tum Ho; Ab Koi Aarzoo Nahi Baki; Just-Ju Meri Aakhiri Tum Ho; Main Zameen Par Ghana Andhera Hun; Aasmano Kee Chandni Tum Ho; Doston Se Wafa Kee Ummeedein; Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho
Itni Muddat Baad Itni Muddat Baad Mile Ho; Kin Socho Mein Gum Rahate Ho; Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa; Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho; Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi; Itne Achchhe Kyon Lagte Ho; Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse; Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho
Udaasion Ka Samaa Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhod Gayi; Bahaar Ik Khaas Si Dilon Mein Chhod Gayi; Bichhad Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal; Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhod Gayi; Kahan Se Laa ye Ab Os Nigaah Ko Nasir; Jo Na-Tamaam Umangein Dilon Mein Chhod Gayi
Udaasion Ka Samaa Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhod Gayi; Bahaar Ik Khaash Si Dilon Mein Chhod Gayi; Bichar Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal; Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhod Gayi; Kahan Se Laa ye Ab Os Nigaah Ko Nasir; Jo Na-Tamaam Umangain Dilon Mein Chhod Gayi
Shaam Ko Sogwaar Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay; Ham Tera Intezaar Kartay Rahay; Tu Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof; Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay; Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein; Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay; Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha; Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay
Mohabbat Ka Junun Mohabbat Ka Junun Baqi Nahin Hai; Musalmanon Mein Khun Baqi Nahin Hai; Safen Kaj Dil Pareshan Sajda Bezuk; K Jazba-e-Andrun Baqi Nahin Hai; Ragon Mein Lahu Baqi Nahin Hai; Wo Dil Wo Awaz Baqi nahin Hai; Namaz-o-Roza-o-Gurbani-o-Haj; Ye Sab Baqi Hai Tu Baqi Nahin Hai
Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai; Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai; Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj; Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai; Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko; To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai; Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai Aksar; Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai
Koi Soorat Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai; Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai; Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj; Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai; Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko; To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai; Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai Aksar; Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai
Doosron Ko Hamari Doosron Ko Hamari Sazaayen Na De; Chandni Raat Ko Bad duyain Na De; Phool Se Aashiqui Ka Hunar Seekh Le; Titliyan Khud Rukein Gee Sadayen Na De; Motiyon Ko Chupaa Sipiyon Ki Tarah; Bewafaon Ko Apni Wafayen Na De; Main Bikhar Jaaon Aansuon Ki Tarah; Is Qadar Pyar Se Bad duyain Na De
Phool Sa Kuch Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi; Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi; Us Ki Zulfien Bahut Ghaneri Hain; Ek Shab Ka Qayam Or Sahi; Zindagi Kay Udaas Qissey Hain; Ek Ladki Ka Naam Or Sahi; Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlien; Qatal Ki Ek Sham Or Sahi; Kapkapati Hai Rat Seeney Me; Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi
Na Tha Kuch To Khuda Tha Kuch Na Hota To Khuda Hota; Dubooya Mujhko Honi Ne Na Hota Main To Kya Hota; Hua Jub Gam Se Yun Behis To Gum Kya Sar Ke Katne Ka; Gar Juda Na Hota Tan Se To Zannon Pur Dhara Hota; Hui Muddat Ki Ghalib Mar Gaya Pur Yaad Aata Hai; Woh Har Ek Baat Pe Kahena Ki Yoon Hota To Kya Hota
Jo Bhi Deewar Hai Raste Jo Bhi Deewar Hai Raste Mein Giraa Ke Ro Lein; Aao Ik Doojay Ko Seene Se Laga Ke Ro Lein; Saamne Tu Hai To Hum Dil Mein Bhi Ro Sakte Hain; Yu n Karein Hum Tujhe Baaton Mein Laga Kar Ro Lein; Tere Aaney Se Yeh Naraaz Raha Karte Hain; Jee Mein Hai Aaj Har Ik Gham Ko Manaa Kar Ro Lein
Jab Kisi Se Jab Kisi Se Koi Gila Rakhna; Samne Apne Aaina Rakhna; Yun Ujaalon Se Waasta Rakhna; Shama Ke Paas Hi Hawa Rakhna; Ghar Kee Taameer Chaahe Jaisi Ho; Is Mein Rone Ki Jagah Rakhna; Masziden Hain Namaaziyon Ke Liye; Apne Ghar Mein Kahin Khuda Rakhna; Milna-Julna Jahan Zaroori Ho; Milne-Julne Ka Haunsla Rakhna
Ek Khwaish Ek Khwaish Sarhaney Rakh Do Na; Aaj Mujh Pe Inayat Ker Do Na; Zara Chupkey Se Khamoshi Se; Tum Izhar-E-Mohabbat Ker Do Na; Khud Ko Ker K Deewana Sa; Mera Pyaar Amar Tum Ker Do Na; Main Pyaas Mein Duuba Sehra Hoon; Tum Mujh Ko Samandar Ker Do Na; Main Yun Hi Phirta Hoon Dar-Ba-Dar; Tum Khud Ko Manzil Ker Do Na
Zakham-e-Umeed Zakham-e-Umeed Bhar Geya Kab Ka; Qais To Apne Ghar Geya Kab Ka; Ab To Munh Apna Mat Dikhaao Mujhe; Naa-Siho Main Sudhar Geya Kab Ka; Aap Ab Puchne Ko Aaye Hain; Dil Meri Jaan Mar Geya Kab Ka; Aap Ik Aur Neend Le Lijiye; Kaafila Kooch Kar Geya Kab Ka; Mera Fehrist Se Nikaal Do Naam; Main To Khud Se Mukar Geya Kab Ka