Sun To Sahi Jahaan Main Sun To Sahii Jahaan Main Hai Teraa Fasanaa Kyaa; Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya; Zina Saba Kaa Dhundati Hai Apni Musht-e-Khaak; Baam-e-Baland Yaar Ka Hai Astana Kya; Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Ruuh Ko; Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya; Betaab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem; Mahmaan Saray-e-Jism Ka Hoga Ravana Kya

Yeh Aur Baat Teri Gali Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Ayen Hum; Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chod Jayen Hum; Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye; Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayen Hum; Be noor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Ki Fizaa; Tareek Raston Par Kahin Kho Na Jayen Hum; Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai; Jaalib Chalo Kahin Se Usey Dhoond Ke Layen Hum

Mohabbaton Mein Agar Mohabbaton Mein Agar Koi Rasm O Raah Naa Ho; Sakoon Tabaah Naa Ho Zindagi Gunaah Naa Ho; Kuch Aetedaal Bhi Laazim Hai Dill Lagi Key Liea; Kissi Sey Pyaar Agar Ho To Bepanaah Naa Ho; Iss Ehtyaat Sey Mai Terey Saath Chalta Hoon; Teri Nigaah Sey Aagey Meri Nigaah Naa Ho; Mera Wajood Hai Sachaaion Ka Aaina; Yeh Aur Baat Keh Mera Koi Gawaah Naa Ho

Mohabbaton Mein Agar Koi Mohabbaton Mein Agar Koi Rasm O Raah Na Ho; Sakoon Tabaah Nah Ho Zindagi Gunaah Na Ho; Kuch Aetedaal Bhi Laazim Hai Dil Lagi Key Liey; Kissi Sey Pyaar Agar Ho To Bepanaah Na Ho; Iss Ehtyaat Sey Mai Terey Saath Chalta Hoon; Teri Nigaah Sey Aagey Meri Nigaah Na Ho; Mera Wajood Hai Sachaaion Ka Aaina; Yeh Aour Baat Keh Mera Koi Gawaah Nah Ho

Is Se Pehle Ke Is Se Pehle Ke Bewafa Ho Jayein; Kyun Na Ay Dost Hum Judaa Ho Jayein; Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar; Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein; Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzar Karein; Phir Kahein Aur Mubtila Ho Jayein; Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse; Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein; Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai Faraz; Kya Karein Jab Log Khudaa Ho Jayein

Iss Se Pehle Ki Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein; Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein; Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar; Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein; Hum Bhi Majboorion Ka Uzar Karein; Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein; Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse; Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein; Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai Faraz ; Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein

Baat Karni Mushkil Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi; Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi; Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar; Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi; Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu; Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi; Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai Zafar Se Har Baar; Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi

Ye Haqiqat Hai Yeh Haqiqat Hai Ki Hota Hai Asar Baton Mein; Tum Bhi Samajh Jaoge Do Char Mulaqaton Mein; Tum Se Sadiyonki Vafaon Ka Koi Nata Na Tha; Tum Se Milane Ke Lakiren Thi Mere Hathon Mein; Tere Vadon Ne Hamein Ghar Se Nikalne Na Diya; Log Mausam Ka Maza Le Gaye Barasaton Mein; Ab Na Suraj Na Sitare Na Shaman Na Chand; Apne Zakhmon Ka Ujala Hai Ghani Raton Mein

Mil Bhi Jate Hain Mil Bhi Jate Hain To Katara Ke Nikal Jate Hain; Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain; Hum Abhi Tak Hain Giraftar-E-Muhabbat Yaaro; Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain; Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda; Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain; Umar Bhar Jin Ke Wafaon Pe Bharosa Kije; Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain

Yeh Aur Baat Teri Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Aayein Hum; Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chorr Jayein Hum; Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye; Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayein Hum; Be noor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Kee Fizaa; Tareek Raaston Par Kahin Kho Na Jayein Hum; Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai; Jaalib Chalo Kahin Se Usse Dhoond Kar Layein Hum

Iss Se Pehle Ki Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein; Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein; Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar; Hum Bhei Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein; Hum Bhi Majboorion Ka Uzaar Karein; Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein; Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse; Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein; Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai Faraz ; Kya Karein Jab Log Khudaa Ho Jayein

Tum Bhi Khul Jaoge Do Tum Bhi Khul Jaoge Do Char Mulaqaton Mein; Tum Se Sadiyonki Vafaon Ka Koi Nata Na Tha; Tum Se Milane Ke Lakiren Thi Mere Hathon Mein; Tere Vadon Ne Hamen Ghar Se Nikalne Na Diya; Log Mausam Ka Maza Le Gaye Barasaton Mein; Ab Na Suraj Na Sitare Na Shaman Na Chand; Apne Zakhmon Ka Ujala Hai Ghani Raton Mein; Tum Bhi Khul Jaoge Do Char Mulaqaton Mein

Abke Khafa Hua Hai Itna Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho; Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho; Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal; Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho; Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai; Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho; Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod; Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho

Abke Khafa Hua Hai Itna Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho; Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho; Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal; Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho; Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai; Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho; Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod; Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho

Apna Deewana Bana Kar Le Jaye; Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye; Roz Buniyad Uthata Hun Nayi; Roz Sailab Baha Kar Le Jaye; Husn Walon Mein Koi Aisa Ho; Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye; Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi; Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye; Kise Maloom Kahan Kaun Kise; Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye; Aftab Ek To Aisa Ho Kahin; Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye