Zakhm Jhele Daagh Zakhm Jhele Daagh Bhii Khaaye Bohat; Dil Lagaa Kar Ham To Pachhtaaye Bohat; Dair Se Suu-e-Haram Aaya Na Tuk; Ham Mizaaj Apnaa Idhar Laaye Bohat; Phuul Gul Shams-o-Qamar Saare Hii The; Par Hamen Unmen Tum Hii Bhaaye Bohat; Gar Bukaa Is Shor Se Shab Ko Hai To; Rovenge Sone Ko Hamsaaye Bohat; Miir Se Puuchha Jo Main Aashiq Ho Tum; Ho Ke Kuchh Chupke Se Sharmaaye Bohat

Kisi Ranjish Ko Hawa Do Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Mein Zinda Hoo Abhi; Mujhe Koi Ahsaas Dila Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi; Mere Rukane Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayegi; Fasale Aur Badha Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi; Zehar Peene Ki Toh Aadat Thi Zamanewalo; Ab Koi Aur Dava Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi; Chalti Raho Mein Yuhi Aankh Lagi Hai Faakir ; Bheed Logo Ki Hata Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi

Tere Sheher Teri Soch Se Nikal Jaungi; Kisi Udaas Sham Mein Dhal Jaungi; Tu Jo Mukar Geya Hai Har Baat Se Apni; Dekh Lena Ek Din Main Bhi Badal Jaungi; Mat Dikha Mujh Ko Apna Ye Masoom Chehra; Jab Ki Tu Janta Hai Main Pighal Jaungi; Chahe Laakh Tadpun Tere Intezar Mein; Mat Lout Ke Aana Main Sambhal Jaungi; Tera Hona Itna Zaroori To Nahi Hai; Main To Yaadon Ke Khilauno Se Behel Jaungi

Bahut Aaraam Karna Bahut Aaraam Karna Chahti Hun 894; Yahi Ek Kaam Karna Chahti Hun 894; Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai 894; Ise Neelaam Karna Chahti Hun 894; Main Apni Umar Ke Saaray 894; Asaasay Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun 894; Tumharay Khaim-e-Khushbuu Mein Reh Kar 894; Main Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun 894; Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai 894; Ise Naakaam Karna Chahti Hun

Ret Par Likh Kar Mera Naam Ret Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo; Aankhein Sach Bolti Hain Pyaar Chupaya Na Karo; Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain; Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo; Yeh Zaroori Nahi Har Shaks Maseeha Hi Ho; Pyaar Ke Zakham Amaanat Hain Dikhaya Na Karo; Shehar-e-Ehsaas Mein Pathraao Bahut Hai Mohsin ; Dil Ko Sheeshe Ke Jharokon Mein Sajaaya Na Karo

Ye Zamane Kee Wafaye Ye Zamane Kee Wafaye Mere Kaam Kee Nahi; Mujhe Uski Wafa Chahiye Kisi Aam Kee Nahi; Uski To Ek Muskurahat Bhi Anmol Thi; Ye Tamam Muskurahate Kisi Daam Ki Nahi; Mujhe Gham Hai To Uske Chale Jaane Ka; Parwah Mujh Par Lage Kisi Ilzaam Kee Nahi; Mera Haath Dekh Kar Rabb Ye Bola; Bahut Si Chahate Tere Liye Hai Baki; Lekin Tere Haath Mein Koi Bhi Lakir Uske Naam Kee Nahi

Log Har Mod Par Ruk-Ruk Ke Log Har Mod Par Ruk-Ruk Ke Sambhalte Kyon Hain; Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalte Kyon Hain; Main Na Juganu Hun Na Diya Hun Na Koi Tara Hun; Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hain; Neend Se Mera Taluq Hi Nahi Barson Se; Khwab Aa-Aa Ke Meri Chhat Pe Tehalte Kyon Hain; Mod To Hota Hai Jawani Ka Sambhalne Ke Liye; Aur Sab Log Yahin Aakar Phisalte Kyon Hain

Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain; Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain; Mutaribo Koi Achuta Nagma; Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain; Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar; Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain; Phir Patangon Mein Khudayi Jagi; Sholay Hashr-Numa Mangte Hain; Banda-Parwar Koi Khairat Nahi; Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain; Maikada Ho Ke Kaleesa Saghir ; Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain

Teri Gali Mein Main Na Chalun Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Sabaa Chale; Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale; Kis Kee Ye Mauj-e-Husn Hui Jalvagaar Ki Yun; Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale; Hum Bhi Jaras Kee Tarah To Is Qafile Ke Saath; Naale Jo Kuch Bisaat Mein The So Suna Chale; Keh Baithiyo Na Dard Ki Ahl-e-Wafaa Hun Main; Us Bewafa Ke Aage Jo Zikr-e-Wafaa Chale

Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain; Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain; Mutaribo Koi Achuta Nagma; Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain; Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar; Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain; Phir Patangon Mein Khudayi Jagi; Sholay Hashr-Numa Mangte Hain; Banda-Parwar Koi Khairat Nahi; Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain; Maikada Ho Ke Kaleesa Saghir ; Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain

Kahin Aah Ban Ke Kahin Aah Ban Ke Lab Per Tera Naam Aa Na Jaye; Tujhe Bewafa Kahoon Main Woh Muqaam Aa Na Jaye; Jise Sun Ke Toot Jaye Mera Aarzu Bhara Dil; Tere Anjuman Se Mujh Ko Woh Peyaam Aa Na Jaye; Woh Jo Manzilon Par Laa Kar Kisi Hamsafar Ko Lootein; Unhi Rehzanon Mein Tera Kahin Naam Aa Na Jaye; Isi Fikar Mein Hain Ghalat Yeh Nizaam Ke Bande; Jo Tamaam Zindagi Hai Woh Nizaam Aa Na Jaye

Dil Mein Hum Ek Hi Jazbe Ko Dil Mein Hum Ek Hi Jazbe Ko Samoyein Kaise; Ab Tujhe Paa Ke Yeh Uljhan Hai Ke Khoyein Kaise; Zehen Chhalni Jo Kiya Hai To Yeh Majboori Hai; Jitne Kaante Hain Woh Talwon Mein Piroyein Kaise; Hum Ne Maana Ki Bahut Dair Hai Hashar Aaney Tak; Chaar Janib Teri Aahat Ho To Soyein Kaise; Kitni Hasrat Thi Tujhe Pass Bitha Kar Rote; Ab Yeh Mushkil Hai Tere Samne Royein Kaise

Hoga Musafir Jo Hoga Musafir Jo Jahan Me Aayega; Safar Ka Jahan Muqaam Chor Jayega; Iss Safar Me Hote Hain Sath Musafir Bahut; Koi Kisi Ke Sath Naa Aaya Jayega; Jayenge Yeh Doulat Yahan Chor Kar Saare; Jism Ko Sirf Do Gazz Kafan Pehnaya Jayega; Sajaya Nahi Jayega Phir Heere Motiyoun Se; Zyada Se Zyada Haar-E-Gul Pehnaya Jayega; Ek Hi Baat Hai Sachi Har Damm; Ruhh Ka Sath Toh Rabb Hi Nibhayega

In Aankhon Se Din In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogii; Agar Zindagii Sarf-E-Jazbaat Hogii; Musaafir Ho Tum Bhii Musaafar Hain Ham Bhii; Kisii Mod Par Phir Mulaaqaat Hogii; Sadaaon Ko Alfaaz Milne Na Paayen; Na Baadal Ghirenge Na Barsaat Hogii; Chiraagon Ko Aankhon Men Mahfuuz Rakhnaa; Badii Duur Tak Raat Hii Raat Hogii; Azal Taa Abd Tak Safar Hii Safar Hai; Kahiin Subah Hogii Kahiin Raat Hogii

Apna Hissa Shumar Apna Hissa Shumar Karta Tha; Mujhse Itna Woh Pyaar Karta Tha; Woh Banata Tha Meri Tasveerein; Unse Batein Hazaar Karta Tha; Mera Dukh Bhi Khuloos-e-Niyat Se; Apna Dukh Hi Shumar Karta Tha; Such Samjhta Tha Jhooth Bhi Mera; Yun Mera Aitbaar Karta Tha; Pehle Rakhta Tha Phool Raaste Mein; Phir Mera Intezar Karta Tha; Aaj Pehlu Mein Wo Nahi Faraz ; Jo Mujh Pe Jaan Nisaar Karta Tha