Hasdeyan Nainan Nu Hasdeyan Nainan Nu Rona De Gaya; Vekho Ki Dil Da Parohna De Gaya; Akhaan Vich Jagraate Honthan Te Haawan; Eh Tohfa Pyar Da Saanu Sohna De Gaya; Maut Vi Nahi Aavndi Joona Vi Hoya Aukha; Eh Kaisa Rog Asaa Nu Jeon Joga De Gaya; Laare Lappe Laake Asaa Nu Raah Vich Chhad Ke; Hath Assade Udeekaan Da Khedona De Gaya; Hath Kar Gaya Assade Naal Oh Hass Hassa Ke; Haase Khoh Ke Asaa Nu Umran Da Rona De Gaya

Ashk Aankh Mein Phir Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai; Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai; Main Us Ke Khyaal Se Gurezaan; Wo Meri Sada Jhatak Raha Hai; Tahreer Usi Kee Hai Magara Dil; Khat Padhte Hue Atak Raha Hai; Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatein; Aur Zehn Kahaan Bhatak Raha Hai; Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar; Saahil Pe Thakaan Tapak Raha Hai; Ek Chaand Saleeb-E-Shaakh-E-Gul Par; Baali Kee Tarah Latak Raha Hai

Mujh Ko Baigana Mujh Ko Baigana Kar Gaye Mere Din; Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din; Ab Na Koi Din Mere Ghar Jayega; Jaanae Kis Ke Ghar Gaye Mere Din; Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat; Ki Mujh Hee Ko Bisaar Gaye Mere Din; Saari Raatein Gayin Meri Be-Haal; Mere Din Be-Asar Gaye Mere Din; Khosha Ab Intezar Hai Na Umeed; Yaar Yaaran Sudhar Gaye Ab Din; Ab Main Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein Mar Gaye Jon Mar Gaye Mere Din

Ye Jo Hai Hukm Mere Yeh Jo Hai Hukam Mere Pas Na Aaye Koi; Is Liye Ruth Rahe Hain Ki Manaye Koi; Tak Mein Hai Nigah-E-Shauq Khuda Khair Kare; Samane Se Mere Bachata Hua Jaye Koi; Hal Afalaq-O-Zamin Ka Jo Bataya Bhi To Kya; Baat Wo Hai Jo Tere Dil Ke Bataye Koi; Aapane dag Ko Muh Bhi Na Lagaya Afsos; Us Ko Rakhta Tha Kaleje Se Lagaye Koi; Ho Chuka Aish Ka Jalasa To Mujhe Khat Bheja; Aap Ke Tarah Se Mehaman Bulaye Koi

Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya; Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya; Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai; Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya; Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila; Manzil-E-Ishq Mein Har Gham Pe Rona Aaya; Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagri; Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya; Jab Hua Zikar Zamaane Mein Mohabbat Ka Shakeel ; Mujh Ko Apne Dil-e-Naqaam Pe Rona Aaya

Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya; Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya; Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai; Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya; Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila; Manzil-e-Ishq Mein Har Ghum Pe Rona Aaya; Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagari; Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya; Jab Hua Zikar Zamane Mein Mohabbat Ka Shakeel ; Mujh Ko Apne Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya

Yeh Kya Jane Maine Yeh Kya Jane Maine Jana Hai Jate Ho Khafa Hokar; Main Tab Janu Mere Dil Se Chale Jao Juda Hokar; Qayamat Tak Udegi Dil Se Uthakar Khak Aankhon Tak; Ishi Raste Gaya Hai Hasaraton Ka Kafila Hokar; Tumhin Ab Dard-E-Dil Ke Naam Se Ghabraye Jate Ho; Tumhin To Dil Mein Shayad Aaye The Dard-E-Ashiyan Hokar; Yoon Hi Hamdam Ghadi Bhar Ko Mila Karte To Bahatar Tha; Ke Dono Waqt Jaise Roz Milate Hain Juda Hoka

Ye Dil Mein Vasvasa Kya Pal Raha Hai; Tera Milna Bhi Mujh Ko Khal Raha Hai; Jise Maine Kiya Tha Be-Khudi Mein; Jabeen Par Ab Vo Sajda Jal Raha Hai; Mujhe Mat Do Mubarak-Baad-e-Hasti; Kisi Ka Hai Ye Saya Chal Raha Hai; Sar-e-Sahara Sada Dil Ke Shajar Se; Barasta Door Ik Badal Raha Hai; Fasad-e-Lagzish-e-Takhleeq-e-Aadam; Abhi Tak Haath Yazdaan Mal Raha Hai; Dilon Kee Aag Kya Kafi Nahi Hai; Jahanum Be-Zaroorat Jal Raha Hai

Ajnabi Khauf Fizaon Ajnabi Khauf Fizaon Main Basa Ho Jaise; Shahar Ka Shahar Hi Aseb Zada Ho Jaise; Rat Ke Pichle Pahar Ati Hain Avazain Si; Dur Shahara Main Koi Chikh Raha Ho Jaise; Dar-o-Divar Pe Chai Hai Udasi Aisi; Aj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise; Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar; Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise; Ab Agar Dub Gaya Bhi To Marunga Na Kamal; Bahte Pani Pe Mera Nam Likha Ho Jaise

Tum Nahin Gham Nahin Tum Nahin Ghum Nahin Sharab Nahin; Aisi Tanhaee Ka Jawab Nahin; Gahe-Gahe Ise Padha Keejay; Dil Se Behatar Koi Kitaab Nahin; Jane Kis Kis Ki Maut Aayee Hai; Aaj Rukh Pe Koi Naquab Nahin; Wo Karam Ungliyon Pe Ginte Hain; Zulaam Ka Jinke Kuchh Hisab Nahin; Tum Nahin Ghum Nahin Sharab Nahin; Aisi Tanhaee Ka Jawab Nahin Translation: Gahe-Gahe: At Times Sometimes Now And Then Karam: Benevolence Benignity

Ik Baar Ik Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do; Kitna Hai Mujh Se Pyar Likh Do; Kat Ti Nahi Yeh Zindagi Ab Tere Bin; Kitna Karoon Aur Intzaar Likh Do; Taras Rehy Hain Bari Mudat Se; Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do; Deewanay Ho Jayein Jisay Parh Ke Hum; Kuch Aisa Tum Mere Naam Likh Do; Zayada Nahi Likh Sktay To Mat Likho; Mohabbat Bharay Lafz 2 4 Likh Do; Ik Baar Likho Mohabbat Hai Tum Se; Phir Yehi Jumla Baar Baar Likh Do

Mohabbaton Mein Dikhave Kee Dosti Na Mila; Agar Gale Nahi Milata To Haath Bhi Na Mila; Gharon Pe Naam The Naam Ke Saath Ahude The; Bahut Talaash Kiya Koi Aadmi Na Mila; Tamaam Rishton Ko Main Ghar Pe Chhod Aaya Tha; Phir Iske Baad Mujhe Koi Ajnabi Na Mila; Bahut Ajeeb Hai Ye Kurbaton Kee Doori Bhi; Wo Mere Saath Raha Aur Mujhe Kabhi Na Mila; Khuda Kee Itni Badi Kayanaat Mein Maine; Bas Ek Shakhs Ko Maanga Mujhe Wahi Na Mila

Yeh Dil Kabhi Na Muhabbat Ye Dil Kabhi Na Muhabbat Mein Kamayab Hua; Mujhe Kharab Kiya Aap Bhi Kharab Hua; Ajal Men Zist Mein Turabat Men Hashr Mein Zalim; Tere Sitam Ke Liye Main Hi Intakhab Hua; Nigah-E-Mast Ko Saqi Ke Kon De Ilzam; Mera Nasib Ki Rusava Mera Shabab Hua; Hamare Ishq Ke Das-Bis Ne Bhi Dad Na Di; Kisi Ka Husn Zamane Mein Intakhab Hua; Fana Ka Dawa Hazaron Ko Tha Zamane Mein; Habab Ne Mujhe Dekha To Aab-Ab Hua

Wafa Ke Khwab Wafa Ke Khwab Muhabbat Ka Aasara Le Ja; Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya Le Ja; Maqam-E-Sud-O-Ziyan Aa Gaya Hai Phir Janan; Yeh Zakhm Mere Sahi Tir To Utha Le Ja; Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yahi Karam Tera; Ki Bund Bund Ata Kar Ghata Ghata Le Ja; Gurur-E-Dost Se Itna Bhi Dilshikasta Na Ho; Phir Uth Ke Samane Daman-E-Iltaja Le Ja; Nadamaten Hoon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai; Faraz Jaan Ke Evaz Aabaru Bacha Le Ja

Tumne To Keh Diya Tumne To Keh Diya Ki Mohabbat Nahi Mili; Mujhko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili; Neendo Ke Des Jaate Koi Khawab Dekhte; Lekin Diya Jalane Se Fusat Nahi Mili; Tujhko To Khair Shahar Ke Logo Ka Khauf Tha; Aur Mujhko Apne Ghar Se Ijajat Nahi Mili; Phir Ikhtilaf-e-Rai Ki Surat Nikal Padi; Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili; Be-zar Yun Hue Ki Tere Ahad Mein Humein; Sab Kuch Mila Sukun Kee Daulat Nahi Mili