Wafa Ke Khwab Muhabbat Wafa Ke Khawab Muhabbat Ka Aasara Le Ja; Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya Le Ja; Maqam-E-Sud-O-Ziyan Aa Gaya Hai Phir Janan; Yeh Zakhm Mere Sahi Tir To Utha Le Ja; Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yahi Karam Tera; Ki Bund Bund Aata Kar Ghata Ghata Le Ja; Gurur-E-Dost Se Itna Bhi Dilshikasta Na Ho; Phir Uth Ke Samane Daman-E-Iltaja Le Ja; Nadamaten Hon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai; Faraz Jan Ke Evaz Aabaru Bacha Le Ja

Ajnabi Khauf Fizaon Mein Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise; Shehar Ka Shehar Hi Aseb Zada Ho Jaise; Raat Ke Pichle Pahar Aati Hain Aawazein Si; Door Sehra Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise; Dar-o-Deewar Pe Chayi Hai Udasi Aisi; Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise; Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar; Dukh To Chehre Kee Lakiron Pe Saja Ho Jaise; Ab Agar Doob Geya Bhi To Marunga Na Kamal Bahte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise

Ajnabi Khauf Fizaon Main Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise; Shahar Ka Shahar Hi Aseb Zada Ho Jaise; Raat Ke Pichle Pahar Aati Hain Awazein Si; Dur Shahara Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise; Dar-O-Deewar Pe Chayi Hai Udaasi Aisi; Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise; Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar; Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise; Ab Agar Dub Gaya Bhi To Marunga Na Kamal ; Bahte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise

Koi Din Gar Zindgaani Koi Din Gar Zindgaani Aur Hai; Apne Ji Mein Hum Ne Thaani Aur Hai; Aatish-E-Dozakh Mein Yeh Garmi Kahaan; Soz-E-Ghumhaae nihaani Aur Hai; Baarha Dekhi Hain Unki Ranjishen; Par Kuchh Ab Ke Sargaraani Aur Hai; De Ke Khat Munh Dekhta Hai Naama Bar; Kkujchh Tau Paighaam -E-Zabaani Aur Hai; Qaata-E-Aamaar Hain Aksar Najoom; Woh Balaa -E-Aasmaani Aur Hai; Ho Chukin Ghalib Balaaen Sab Tamaam; Ek Marg-E-Naagahaani Aur Hai

Khuda Yaad Aa Gaya Mujh Ko Shikast-E-Dil Ka Maza Yaad Aa Gaya; Tum Kyon Udas Ho Gae Kya Yaad Aa Gaya; Kehne Ko Zindagi Thi Bahut Mokhtasir Magar; Kuch Yoon Basar Hoi K Khuda Yaad Aa Gaya; Barse Bagaer Hi Jo Ghatta Aa Kya Nigal Gai; Ek Bewafa Ka Ahad-E-Wafa Yaad Aa Gaya; Yoon Chonk Uthe Wo Soon Kar Mera Shikwa; Jaise Unhein Bhi Koi Gila Yaad Aa Gaya; Hairat He Tum Ko Dekh Kar Misjid Main Ae Ghalib; Kiya Baat Ho Gai Jo Khuda Yaad Aa Gaya

Yun Saja Chaand Ki Chalka Yun Saja Chaand Ki Chalka Tere Andaaz Ka Rang 894; Yun Fazaa Mehaki Ki Badla Mere Humaraaz Kaa Rang 894; Saya-­e­-Chashm Mein Hairaan Rukh­-e­-Raushan Ka Jamaal 894; Surkhi-­e­-Lab Pe Pareshaan Teri Aawaaz Ka Rang 894; Bepiye Hon Ki Agar Lutf Karo Aakhir­-e­-Shab 894; Sheesha­-e­-May Mein Dhale Subah Ke Aagaaz Ka Rang 894; Chango-­Nay Rang Pe The Apane Lahoo Ke Dam Se

Bol Ki Lab Aazaad Bol Ki Lab Aazaad Hain Tere; Bol Zubaan Ab Tak Terii Hai; Teraa Sutvaan Jism Hai Teraa; Bol Ki Jaan Ab Tak Terii Hai; Dekh Ki Aahan-Gar Kii Dukaan Men; Tund Hain Sho le Surkh Hai Aahan; Khulne Lage Quflon Ke Dahaane; Phailaa Har Ek Zanjiir Kaa Daaman; Bol Yah Thoraa Waqt Bohat Hai; Jism-o-Zubaan Kii Maut Se Pahle; Bol Ki Sach Zindaa Hai Ab Tak; Bol Jo Kuchh Kahnaa Hai Kah Le Translation: Sutvaan= Delicate Aahan = Iron

Yeh Hadasa To Kisi Din Yeh Hadasa To Kisi Din Guzarne Wala Tha; Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha; Tere Salook Teri Aagahi Kee Umr Daraz; Mere Aziz Mera Zakham Bharne Wala Tha; Bulandiyon Ka Nasha Toot Kar Bikharne Laga; Mera Jahaz Zameen Par Utarne Wala Tha; Mera Naseeb Mere Haath Kaat Gaye Varna; Main Teri Maang Mein Sindoor Bharne Wala Tha; Mere Chirag Meri Shab Meri Munderein Hain; Main Kab Shareer Hawaon Se Darne Wala Tha

Zulaam Hai Gar Na Zulaam Hai Gar Na Do Sakhun Ki Daad; Qahar Hai Gar Karo Na Mujhko Payaar; Aapka Banda Aur Phiroon Nanga; Aap Ka Naukar Aur Khaaoon Udhaar; Meri Tankhwah Kijeye Maah Ba Maah; Ta Na Ho Mujhko Zindagi Dushwaar; Khatam Karta Hoon Ab Dua Pe Kalaam; Shaairy Se Nahin Mujhe Sarokaar; Tum Salaamat Raho Hazaar Baras; Har Baras Ke Hon Din Pachaas Hazaar Translation: Qahar Hai Gar Karo: How Terrible Shaairy Se Nahin: Poetic Meeds

Kal Yeh Likhti Theen Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi; Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do; Main Safaayi Koi Doon Ga Na Wazaahat Dunga; Tum Ko Wapis Main Tumhari Yeh Amaanat Dunga; Phir Kabhi Tumse Na Milne Kee Zamanat Dunga; Bas Tumhein Tark-e-Marasim Pe Yeh Zehmat Dunga; Tum Ho Bechain To Main Bhi Koi Masroor Nahin; Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi; Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do

Shayad Aaghaz Hua Phir Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka; Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka; Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare; Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka; Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon; Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka; Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun; Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka; Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai Shakeel ; Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Har Ek Baat Pe Kahate Ho Tum Ki Tu Kyaa Hai; Tumhi Kaho Ke Ye Andaaz-E-Guftagu Kyaa Hai; Ragon Mein Daudte Phirane Ke Ham Nahi Qaayal; Jab Aankh Hi Se Na Tapkaa To Phir Lahuu Kyaa Hai; Chipak Rahaa Hai Badan Par Lahuu Se Pairaahan; Hamari Jeb Ko Ab Haajat-E-Rafuu Kyaa Hai; Jalaa Hain Jism Jahaan Dil Bhii Jal Gayaa Hogaa; Kuredte Ho Jo Ab Raakh Justajuu Kyaa Hai Translation: Haajat-E-Rafuu: Mending Justajuu: Desire

Shayad Aaghaz Hua Phir Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka; Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka; Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare; Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka; Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon; Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka; Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun; Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka; Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai Shakeel ; Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka

Khud Ko Kyon Jism Ka Zindani Kare; Fikar Ko Takht-e-Sulemani Kare; Der Tak Baith Ke Soche Khud Ko; Aaj Fir Ghar Mein Biyabani Kare; Apne Kamre Mein Sajaye Aafaq; Jalsa-e-Be-Sar-o-Samani Kare; Umar Bhar Sher Kahe Khoon Thuke; Muntkhib Rasta-e-Nuksani Kare; Khud Ke Liye Mol Le Izhar Ka Karz; Dusron Ke Liye Aasani Kare; Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhe; Harf-e-Na-Gufta Ko La-Sani Kare; Kimiyakari Hai Fan Apna Saaz ; Aag Ko Baithe Hue Paani Kare

Chup Ke Se Usne Jo Khud-Numai Kee; Intiha Thi Ye Dilrubi Kee; Mail-e-Ghamza Hai Wo Chashm-e-Siyaah; Ab Nahi Khair Parsayi Kee; Hum Se Kyonkar Wo Aastana Chhute; Muddaton Jis Pe Jabha-Sai Kee; Dil Ne Barson Ba-Justju-e-Kamaal; Koocha-e-Ishq Mein Gadaai Kee; Daam Se Un Ke Chutna To Kahan; Ya Hawas Bhi Nahi Rihai Kee; Ho Ke Nadim Wo Baithe Hain Khamosh; Sulh Mein Shan Hai Ladai Kee; Us Taghaful-Shiar Se Hasrat ; Hum Mein Taqat Nahi Judai Kee