Khud Ko Kyon Jism Ka Zindani Kare; Fikar Ko Takht-e-Sulemani Kare; Der Tak Baith Ke Soche Khud Ko; Aaj Fir Ghar Mein Biyabani Kare; Apne Kamre Mein Sajaye Aafaq; Jalsa-e-Be-Sar-o-Samani Kare; Umar Bhar Sher Kahe Khoon Thuke; Muntkhib Rasta-e-Nuksani Kare; Khud Ke Liye Mol Le Izhar Ka Karz; Dusron Ke Liye Aasani Kare; Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhe; Harf-e-Na-Gufta Ko La-Sani Kare; Kimiyakari Hai Fan Apna Saaz ; Aag Ko Baithe Hue Paani Kare

Your Comment Comment Head Icon

Login