Khwab Ke Tarah Khwab Ke Tarah Bikhar Jane Ko Jee Chahata Hai; Aisi Tanhai Ki Mar Jane Ko Jee Chahata Hai; Ghar Ke Vahshat Se Larazata Hun Magar Jane Kyon; Sham Hoti Hai To Ghar Jane Ko Jee Chahata Hai; Doob Jaun Toh Koi Mauj Nishan Tak Na Bataye; Aisi Nadi Mein Utar Jane Ko Jee Chahata Hai; Kabhi Mil Jaye To Raste Ke Thakan Jag Pade; Aisi Manzil Se Guzar Jane Ko Jee Chahata Hai; Wohi Paiman Jo Kabhi Jee Ko Khush Aaya Tha Bahut; Usi Paiman Se Mukar Jane Ko Jee Chahata Hai

Your Comment Comment Head Icon

Login