Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Nahaa Kar Dekho; Zindagi Kya Hai Kitabon Ko Hataakar Dekho

Khuda Kare Kissi Ko Judai Na Mile; Wah Wah Khuda Kare Kissi Ko Judai Na Mile; Aur Jo Group Message Na Kare Usse Thand Me Rajai Na Mile

Inn Baadlon Ka Mizaaj Bhi Mere Mehboob Jaisa Hai; Kabhi Toot Ke Barasta Hai Kabhi Be-rukhi Se Guzar Jat Hai

Kaale Badal Jaise Gori Ka Ghunghat; Ek Chhupaye Barkha Aur Doosra Dulhan; Na Barsein Badal Na Uthe Ghunghat; Hum Pyaase Idhar Bhi Aur Udhar Bhi

Yuhin Shaakh Se Patte Gira Nahi Karte; Bichad Ke Log Bhi Zyaada Jiya Nahi Karte Jo Aane Waale Hain Mausam Unka Ehatraam Karo; Jo Din Guzar Gaye Unko Gina Nahi Karte

Nafrat Ki Dhoop Me Barsat Se Pehle; Halaat Na The Aese Teri Mulaqat Se Pehle; Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete The; Hum Bhi Kitne Saada The Muhabbaton Ke Tajurbat Se Pehle

Na Muskurane Ko Jee Chahta Hai; Na Khane-Peene aur Na Hi Sone Ko Jee Chahta Hai; Yeh Garmi Abb Bardasht Karni Hai Badi Mushkil; Abb To Paharon Pe Chale Jane Ko Jee Chahta Hai

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay; Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay; Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye; Keh Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

Chottiyan Chhuu Kar Guzarte Hain Baraste Kyon Nahin; Baadlon Ki Ek Surat Aadmi Jaisi Bhi Hai