Socha tha ke Aaj tere siwa kuch aur Sochu
SUBAH se SHAAM ho gayi AUR abhi tak isi SOCH Mein hoon Ke tere siwa kya Sochu
Socha tha ke Aaj tere siwa kuch aur Sochu
SUBAH se SHAAM ho gayi AUR abhi tak isi SOCH Mein hoon Ke tere siwa kya Sochu
Khayal Jiska Tha Mujhe Khayal Mein Mila Mujhe; Sawal Ka Jawab Bhi Sawal Mein Mila Mujhe; Kisiko Apne Amal Ka Hisab Kya Dete; Sawal Sare Galat The Jawab Kya Dete
Miley To Hazaro Loog They Zindagi Main yarooo
Wo Sab Se ALag Tha Jo Qismat Main Nahi Tha
Ek Khushi Dil Ne Kya Maang Li; Meri Har Khushi Ko Nazar Lag Gyi
Koi Mil Jaye Mujhe Tum Jaisa Ye Na-Mumkin Sahi; Lekin Tum Dhund Lo Hum Jaisa Itna Aasan Ye Bhi Nahi
Unka Bharosa Mat Karo Jinka Khayal Waqt Ke Sath Badal Jaye; Bharosa Unka Karo Jinka Khayal Vaise Hi Rahe Jab Aapka Waqt Badal Jaye
Bekhudi Besabab Nahin Ghalib; Kuchh Tau Hai Jiski Parda Daari Hai
Tum Par Beete Gi Toh Tum Bhi Jaan Jaoge Mohsin; Koi Nazar Andaz Kare Toh Kitna Dard Hota Hai
Lo Aaj Humne Tod diya Rishta-e-Umeed; Lo Ab Kabhi Gila Na Karenge Kisi Se Hum
Keh Do Usse Judai Aziz Hai To Rooth Jaayein Wo Jee Sakta Hain To Hum Mar Bhi Sakte Hain
Kisi Ne Humein Aashiq Kaha; Kisi Ne Humein Deewana Kaha; In Aankho Mein Aansu Tab Aaye; Jab Kuch Apno Ne Hi Humein Begana Kaha
Badla Jo Waqt Gehri Dosti Badal Gayi; Suraj Dhala To Saaye Ki Surat Badal Gayi; Ik Umar Tak Main Teri Zarurat Bana Raha; Fir Yun Hua Ki Teri Zarurat Badal Gayi
Zinda Rahe To Kya Hai Jo Mar Jayein Hum To Kya; Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jayein Hum To Kya; Hasti Hi Apni Kya Hai Zamane Ke Samne; Ek Khwab Hain Jahan Mein Bikhar Jayein Hum To Kya
Kuch Is Tarah Se Guzari Hai Zindagi Jaise; Tamaam Umar Kisi Dusre Ke Ghar Mein Raha
Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Me Sochunga; K Tujhko Yaad Rakhne Me Mai Kya-Kya Bhool Jata Hun