Chand Sa Tera Masoom Chehra Tu Haya Kee Ek Murat Hai; Tujhe Dekh Ke Kaliyan Bhi Sharmaye Tu Itni Khoobsurat Hai

Teri Nazron Ki Nazakat Pe Hum Naaz Karte Hain; Ae Sanam Hum Teri Har Adaa Se Pyaar Karte Hain

Unhe Koi Aur Bhi Chahe Iss Baat Se Hum Thoda-Thoda Jalte Hein; Par Faqr Hai Hume Iss Baat Ka Ke Sab Hamaari Pasand Pe Hi Marte Hein

Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti; Kaash Aapse Mulakat Hamaari Na Hoti; Sapno Mein Hi Dekh Lete Hum Aapko; To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti

Jis Waqt Khuda Ne Tumhe Banaya Hoga; Ek Saroor Sa Uska Dil Pe Chaya Hoga; Pehle Socha Hoga Tujhe Jannat Mein Rakh Luon; Phir Usse Mera Khayal Aaya Hoga

Taras Gaye Aap Ke Deedar Ko; Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai; Humse Khush Naseeb To Hai Aapke Ghar Ka Aaina; Jo Har Roz Aapke Husn Ka Deedar Karta Hai

Tum bilkul chand🌜ki tarah ho
Ñoor bhi utna,
guRoor bhi utNa
Aur dooR bhi utna. Right na👉

Tere Husan Ko Pardey Ki Zarurat Hi Kya Hai; Kaun Hosh Main Rehta Hai Tujhe Dekhne Ke Baad

Apne Haseen Hontho Ko Kisi Parde Mein Chipa Liya Karo; Hum Zara Gustakh Log Hain Nazron Se Chum Liya Karte Hain

Koi Shayar Koi Faqir Ban Jaye; Apko Jo Dikhe Khud Tasveer Ban Jaye; Na Phoolon Ki Jarurat Na Kaliyo Ki; Aap Jaha Pair Rakh Do Wahi Kashmeer Ban Jaye

Tum Haqeeqat Nahi Ho Hasrat Ho; Jo Mile Khawab Mein Wahi Daulat Ho; Kis Liye Dekhti Ho Tum Yeh Aaina; Tum To Khud Se Bhi Jyada Khoobsurat Ho

Uthti Nahi Hai Aankh Kisi Aur Ki Taraf; Paband Kar Gayi Hai Kisi Ki Nazar Mujhe

Kisi ko chaho to itna chaho ki....
Ki wo kis or ko chahane ki soch bi na sake

Meri Chahat Agar Dekhni Hai To,,
Mere Dil Ko Dil Se Laga..!!
Agar Tere Dil Ki Dharkan Na Badh Jaye,
To Meri Mohabbat Ko Thukra Dena.!

Subah aakhe kholne se pahle ham uski tasvir dikhte h
Or bagwan ka nam lene se pahle uska nam lete h