Aankh hai bhari bhari aur tum Muskuraane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum Dil lagaane ki baat karte ho
Aankh hai bhari bhari aur tum Muskuraane ki baat karte ho
Mere haalaat aise hai Ke main kuch kar nahin sakta
Tadapta hai yeh dil lekin Main aahein bhar nahin sakta
Zakhm hai hara hara aur tum Chot khaane ki baat karte ho
Zindagi khafa khafa aur tum Dil lagaane ki baat karte ho

Dil wale toh aur bhi hongay tere shehar mein
mgr hmara andaz e waffa tumhe aksar yaad aayega

Maine Ek Kitaab Padi
Jiske Pehle Safaa Pe Likha Tha Aao Mohabbat Samjhe Or
Aakhri Safaa Pe Likha Tha Jo Samajh ke ki Jaye Wo Mohabbat Nahi Hoti Or
Aaj Tak Main Mohabbat Nahi Samajh Paaya Kyuki Mohabbat Jab Hoti Ha Toh Samajh Nahi Rehti Or
Jab Samajh Aati Hai Tab Mohabbat Nahi Rehti

Kash woh samjhte is dil ki tadap ko
To yun humein ruswa na kiya hota
Unki ye berukhi bhi manzoor thi hme
Bas ek baar humein samjh liya hota

Koi kar ja Bewafayi....kuj Geet Jholi paa de...
Mainu chad ja de ke dhokha...meri Zindagi bna de..

Nahi Hai Shikwa Mujhe Kisi ki Be Rukhi Se
Shayad Hamain Hi Nahi ata Dilon Main Ghar Banana

Tum NaY SamJha Hee Nahi Aur Na SamJhna Chaha
Hum ChahTe Bhi Kya The Tum SeY Tumhare SiVa

Dil Me Tamannaon Ko Dabana Seekh Liya
Gum Ko Ankhon Me Chhipana Seekh Liya
Mere Chahre Se Kahin Koi Baat Zaahir Na Ho
Daba Ke Hothon Ko Hamne Muskrana Seekh Liya

Kon Krta Hy Wafaon K Taqaazay Tum Se
Hum To Ek Jhooti Tasalli K Talabgaar Thay BasS