Janey Kis Daur Mein Jaye Gi Yeh Aadat Meri; Roothna Us Se Aur Auron Se Ulajhtey Rehnaa

Naadani Kee Hadh Hai Zara Dekho To Unhein; Mujhe Kho Kar Wo Mere Jaisa Dhoondh Rahe Hain

Tum Bhi Ho Beete Hue Waqt Ki Tarah Hu-B-Hu; Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai Khud Aana To Hai Nahi

Yeh Dil Bura Sahi Magar Sar-e-Bazaar To Na Keh; Aakhir Tu Is Makaan Mein Kuch Din Raha To Hai

Ussh Ki Mohabbat Ka Silsila Bhi Kya Ajeeb Tha; Apna Bhi Na Banaya Or Kisi Ka Hone Bhi Nhi Diya

Jitni Shiddat Se Mujhe Zakham Diye Hain Us Ne; Itni Shidat Se Toh Maine Usey Chahaa Bhi Nhi Tha

Meri Bahaduri Ke Kisse Mashoor The Shehar Mein Tujhe Kho Jaane Ke Darr Ne Mujhe Qayar Bana Diya

Hum bhi bikne gaye the bazaar-e-ishq mein Kya pata tha wafa karne walon ko log khareeda nahi karte

Taqdeer Kya Likhun Mukaddar Ke Samne; Qatil Ne Qatl Kar Diya Mere Ghar Ke Samne; Sari Basti Jalti To Afsos Na Hota; Tanha Mera Hi Ghar Jalta Rha Samundar Ke Samne

Qasam De Ke Apni Tujhe Rok Ley Ga; Teri Laghzishon Pe Tujhe Tok De Ga; Tu Murr Murr Ke Piche Kise Dekhta Hai; Tera Kaun Hai Jo Tujhe Rok Le Ga Translation: Laghzishon = Deviating

Mukhliss Har Kisi Ke Sath Rehta Hun; Shayad Issi Liye Udaas Rehta Hun

Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki; Barri Arzoo Thi Hum Ko Mulaaqat Ki

Ab Aur Nahi Hoti Isjq Kee Ghulami; Yaaro Keh Do Use Ho Jaye Jiska Hona Hai

Arz Sirf Itna Hai Dosti Ke Baare Mein; Aadmi Galat Samjha Aadmi Ke Baare Mein

Majlis Mein Mere Zikr Ke Aate Hi Uthe Woh; Badnami-e-Ushshaq Ka Ezaz To Dekho