Badla Tere Sitam Ka Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare; Apna Hi Tu Farefta Hove Khuda Kare; Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur; Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare; Fikr-e-Maash Ishq-e-Butaan Yaad-e-Raftgaan; Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare; Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-e-Aashiqui; Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare; Gar Ho Sharaab-o-Khilwat-o-Mahboob-e-Khub Roo; Zaahid Kasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho To Kya Kare; Khaakastr-o-Patang-o-Mashahd Meri Ki Khaak; Sham-o-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Uda Kare; Ai Waae Bar Aseer Ke Par Tod Kar Jise; Sayyaad Fasl-e-Gul Mein Chaman Se Riha Kare

Your Comment Comment Head Icon

Login