Dheere Se Sarakti Hai Raat Dheere Se Sarakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Kee Tarah; Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Kee Tarah; Baad Muddat Usko Dekha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga; Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Geya Baadal Kee Tarah; Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jagauonga; Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Geya Woh Kal Kee Tarah; Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs Wasi Aur Main Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Use Kisi Pagal Kee Tarah

Your Comment Comment Head Icon

Login