Soz Mein Bhi Wahi Ik Nagma Hai Soz Mein Bhi Wahi Ik Nagma Hai Jo Saaz Mein Hai; Fark Nazdeeq Kee Aur Door Kee Aawaz Mein Hai; Ye Sabab Hai Ki Tadap Seena-e-Har-Saaz Mein Hai; Meri Aawaz Bhi Shamil Teri Aawaz Mein Hai; Aashiqon Ke Dil-e-Majrooh Se Koi Puche; Wo Jo Ik Lutf Nigah-e-Galat-Andaaz Mein Hai; Gosh-e-Mushtaq Kee Kya Baat Hai Allaah-Allaah; Sun Raha Hun Main Jo Nagma Jo Abhi Saaz Mein Hai

Par Dil Ki Jan Lete Par Dil Ki Jan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair; Main Kyun kar Kahun Tum Ao K Dil Ki Kashish Se Wo; Ayenge Daure Ap Mere Ghar Kahe Bagair; Kya Tab Kya Majal Hamari K Bosa Len; Lab Ko Tumhare Lab Se Milkar Kahe Bagair; Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil; Rahta Nahin Hai Ashiq-e-Muztar Kahe Bagair; Taqdir K Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi; Dilawata Ai Zafar Hai Muqaddar Kahe Bagai

Deewar O Dar Se Utar Deewar O Dar Se Utar Kar Perchaiyan Bolti Hain; Koi Nahi Bolta Jab Tanhaiyan Bolti Hain; Pardesh Ke Raaston Mein Rookte Kahan Hain Musafir; Har Ped Kehta Hai Kissa Khamoshiyan Bolti Hain; Ek Bar To Zindagi Mein Milti Hai Sabko Haqumat; Kuch Din To Har Aaine Mein Sehzadiyan Bolti Hain; Sun ne Ki Mohlat Mile To Aawaz Hai Pathron Mein; Ujadi Hui Bastiyon Mein Aabadiyan Bolti Hain

Aap Ki Yaad Aatee Rahee Aap Kee Yaad Aatee Rahee Raatbhar; Chashma-Ye-Nam Muskuraatee Rahee Raatbhar; Raatabhar Dard Kee Shamaa Jaltee Rahee; Gam Kee Lau Thartharatee Rahee Raatbhar; Bansuri Kee Sureeli Suhanee Sadaa; Yaad Ban Ban Ke Aatee Rahee Raatbhar; Yaad Ke Chaand Dil Mein Utarate Rahe; Chaandni Jagmagaatee Rahee Raatbhar; Koi Diwaana Galiyon Mein Firtaa Rahaa; Koi Aawaz Aatee Rahee Raatbha

Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun; Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun; Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun; Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun; Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee; Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun; Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar; Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun; Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main; Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun; Hafeez Ahal-e-Zubaan Kab Maante The; Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun

Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Un Kee Yaad; Dard Ban Kar Chaa Rahi Hai Un Kee Yaad; Ishq Se Ghabra Rahi Hai Un Kee Yaad; Rukte-Rukte Aa Rahi Hai Un Kee Yaad; Wo Hanse Wo Zer-e-Lab Kuch Keh Uthe; Khwab Se Dikhla Rahi Hai Un Kee Yaad; Main To Khudari Ka Qayal Hun Magar; Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Un Kee Yaad; Ab Khyal-e-Tark-e-Rabt Zabt Hi Se Hai; Khud B Khud Sharma Rahi Hai Un Kee Yaad

Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun; Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun; Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun; Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun; Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee; Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun; Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar; Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun; Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main; Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun; Hafeez Ahal-e-Zubaan Kab Maante The; Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun

Riste Hue Zakhm Riste Hue Zakhm Kisko Dikhane Nikle; Haath Me Namak Liye Malham Lagane Nikle; Baroodi Surangon Se Uda Do Chuppi; Ajnabi Kaise Tere Gam Se Begane Nikle; Hum Se Bedari Ka Sabab Poochne Wale; Aankhon Se Meri Neend Churane Nikale; Sangshari Ka Ajab Shouq Wahan Ya Rabba; Unke Har Nishane Pe Meri Sou Jaanen Nikle; Meri Taqdeer Ke Sooraj Ko Jagane Wale; Kam Se Kam Jugnoo Se To Behtar Nikale

Teri Tarha Malal Mujhe Bhi Nahi Raha; Ja Ab Tera Khayal Mujhe Bhi Nahi Raha; Tu Ne Bhi Mausamon Kee Pazeerai Chhod Di; Ab Shauq-e-Mah-e-Visaal Mujhe Bhi Nahi Raha; Mera Jawab Kya Tha Tujhe Bhi Khabar Nahi; Yaad Ab Tera Sawaal Mujhe Bhi Nahi Raha; Jis Baat Ka Khayaal Na Tu Ne Kabhi Kiya; Us Baat Ka Khayal Mujhe Bhi Nahi Raha; Toda Hai Tu Ne Jab Se Mere Dil Ka Aaina; Andaza-e-Jamal Mujhe Bhi Nahi Raha

Is Se Pahle Ki Is Se Pahle Ki Bewafa Ho Jaayen; Kyuun Na Aye Dost Ham Judaa Ho Jaayen; Tuu Bhii Hiire Se Ban Gayaa Patthar; Ham Bhii Kal Jaane Kyaa Se Kyaa Ho Jaayen; Ham Bhii Majbuuriyon Ka Uzr Karen; Phir Kahiin Aur Mubtilaa Ho Jaayen; Ab Ke Gar Tuu Mile To Ham Tujhse; Aise Lipten Terii Qabaa Ho Jaayen; Bandagii Hamne Chhod Dii Faraaz; Kyaa Karen Log Jab Khudaa Ho Jaayen Translation: Qabaa = Dress

Ranj Ki Jab Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi; Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi; Chahye Paighambar Dono Taraf; Lutf Kya Jab Du-Ba-Du Honay Lagi; Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi; Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi; Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar; Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi; Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho; Phir Hamari Justajuu Honay Lagi; `Daagh` Itraaye Huey Phirtay Hain Aaj; Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi

Jahan Dariya Kahin Jahan Dariya Kahin Apne Kinare Chhod Dete Hai; Koi Uthta Hai Aur Toofan Ka Rukh Mod Deta Hai; Mujhe Be-Dast-o-Paa Kar Ke Bhi Khauf Us Ka Nahi Jata; Kahin Bhi Haadsa Guzre Wo Mujh Se Jod Deta Hai; Bichhad Ke Tujh Se Kuch Jaana Agar To Is Kadar Jaana; Wo Mitti Hun Jise Dariya Kinare Chhod Deta Hai; Mohabbat Mein Zara Si Bewafai To Zaruri Hai; Wahi Achha Bhi Lagta Hai Jo Vaade Tod Deta Hai

Teri Khushbu Ka Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai; Mujh Pe Ehsaan Hawa Karti Hai; Shab Kee Tanhai Mein Ab To Aksar; Guftagu Tujh Se Raha Karti Hai; Dil Ko Us Raah Pe Chalna Hi Nahi; Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai; Zindagi Meri Thi Lekin Ab To; Tere Kehne Mein Raha Karti Hai; Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh; Dil Ka Ehaval Kaha Karti Hai; Sham Padte Hi Kisi Shakhs Kee Yaad; Kucha-e-Jaan Mein Sada Karti Hai

Ranj Ki Jab Guftaguu Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi; Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi; Chahye Paighambar Dono Taraf; Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi; Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi; Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi; Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar; Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi; Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho; Phir Hamari Justajuu Honay Lagi; Daagh Itraaye Hue Phirtay Hain Aaj; Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi

Ab Khushi Hai Na Koi Gham Rulane Wala; Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala; Har Be-Chehra Si Ummeed Hai Chehra Chehra; Jis Taraf Dekhi Aane Ko Hai Aane Wala; Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha; Sara Ghar Le Geya Ghar Chhod Ke Jaane Wala; Door Ke Chaand Ko Dhundo Na Kisi Aanchal Mein; Ye Ujala Nahi Aangan Mein Samane Wala; Ek Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniya; Koi Jaldi Mein Koi Der Mein Jaane Wala