Ranjish Hii Sahii Ranjish Hii Sahii Dil Hii Dukhaane Ke Liye Aa; Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa; Kuchh To Mere Pindaar-e-Mohabbat Kaa Bharam Rakh; Tuu Bhii To Kabhii Mujhko Manaane Ke Liye Aa; Pahle Se Maraasim Na Sahii Phir Bhii Kabhii To; Rasm-O-Rah-E-Duniaa Hi Nibhaane Ke Liye Aa; Kis Kis Ko Bataayenge Judaai Ka Sabab Ham; Tuu Mujh Se Khafaa Hai To Zamaane Ke Liye Aa; Ek Umar Se Huun Lazzt-e-Giryaa Se Bhii Mahruum; Ae Raahat-e-Jaan Mujhko Rulaane Ke Liye Aa; Ab Tak Dil-e-Khushfaham Ko Tujh Se Hain Ummiide; Yah Aakhrii Shamaen Bhii Bujhaane Ke Liye Aa Translation: Pindaar = Pride Maraasim = Relations Giryaa = Weeping Crying

Qurbaton Men Bhii Judaaii Qurbaton Men Bhii Judaaii Ke Zamaane Maange; Dil Vo Be-Mehar Ki Rone Ke Bahaane Maange; Ham Na Hote To Kisii Aur Ke Charche Hote; Khilqat-e-Shahar To Kahne Ko Fasaane Maaange; Yahii Dil Thaa Ki Tarastaa Thaa Maraasim Ke Liye; Ab Yahii Tark-e-Taalluq Ke Bahaane Maange; Apnaa Ye Haal Ki Jii Haar Chuke Lut Bhii Chuke; Aur Mohabbat Vahii Andaaz Puraane Maange; Zindagi Ham Tere Daaghon Se Rahe Sharminda; Aur Too Hai Ki Sadaa Aaina-Khaane Maange; Dil Kisii Haal Pe Qaanay Hi Nahiin Jaan-e-Faraaz; Mil Gaye Tum Bhii To Kyaa Aur Na Jaane Maange Translation: Qurbat = Closeness Khiqat = People Inhabitants Maraasim = Relations

Dil Hii To Hai Dil Hii To Hai Na Sang-o-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyuun; Royenge Ham Hazaar Baar Koii Hamen Sataaye Kyuun; Dair Nahiin Haram Nahiin Aastaan Nahiin; Baithe Hain Rahguzar Pe Ham Ghair Hamen Uthaaye Kyuun; Qaid-e-Hayaat-o-Band-e-Gham Asl Men Donon Ek Hain; Maut Se Pahale Aadmii Gham Se Najaat Paaye Kyuun; Jab Voh Jamaal-e-Dil-Faroz Surat-e-Meher-Neemroz; Aap Hii Ho Nazara-Soz Parde Men Munh Chhupaaye Kyuun; Dashna Ghamza Jaansitaan Naavak-e-Naaz Be-Panaah; Teraa Hii Aks-e-Rukh Sahil Saamne Tere Aaye Kyuun; Ghaalib-e-Khastaa Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain; Roiye Zaar Zaar Kyuun? Kiijiye Haay Haay Kyuun Translation: Dair = Temple

Maa ke anchal me Aaj Naa Jane Kyun Rone Ka Mann Kiya; Maa Ke Anchal Me Sar Chhupa Ke Sone Ka Mann Kiya; Duniya Ki Is Bhag Daud Me Koh Chuka Tha Riste Sab; Aaj Phir Un Riston Ko Ek Sire Se Sanjone Ka Mann Kiya; Kisi Din Kisi Bheed Me Dekhi Thi Kisi Ki Ankhen; Aaj Fir Un Ankhon Me Khone Ka Mann Kiya; Roj Sapno Se Baatein Karta Tha Main; Aaj Na Jane Kyun Unse Muh Modne Ka Man Kiya; Jhooth Bolta Hoon Apne Aap Se Roj Main; Aaj Na Jane Kyun Khud Se Ek Sach Bolne Ka Mann Kiya; Dil Todta Hoon Sab Ka Apni Baaton Se Main; Aaj Na Jane Kyun Ek Toota Hua Dil Jodne Ka Mann Kia; Aaj Naa Jane Kyun Rone Ka Mann Kiya; Maa Ke Anchal Me Sar Chhupa Ke Sone Ka Mann Kiya

Ab Ke Yun Bhi Teri Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai; Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai; Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa t Aai; Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai; Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin; Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai; Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni; Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai; Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa; Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa N Tooti Hai; Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein; Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai; Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu Mohsin ; Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai

Kab Woh Zahir Hoga Aur Kab Woh Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe; Jitni Bhi Mushkil Mein Hun Aasan Kar Dega Mujhe; Roo-b-Roo Kar Ke Kabhi Apne Mehakte Surkh Honth; Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe; Rooh Phoonkega Mohabbat Kee Mere Paikar Mein Woh; Phir Woh Apne Samne Be-Jaan Kar Dega Mujhe; Khwahishon Ka Khoon Bahega Sar-e-Bazar-e-Shauq; Aur Mukammal Be-e-Sar-o-Saman Kar Dega Mujhe; Munahadim Kar Dega Aa Kar Sari Tameeraat-e-Dil; Dekhte Hee Dekhte Veeran Kar Dega Mujhe; Ek Naa-Maujudgi Reh Jayegi Charon Taraf; Rafta Rafta Iss Qadar Sunsaan Kar Dega Mujhe; Ya To Mujh Se Woh Chuda Dega Ghazal-Goyi Zafar Ya Kisi Din Sahab-e-Deevaan Kar Degaa Mujhe

Luft Voh Ishq Men Paaye Luft Voh Ishq Men Paaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai; Ranj Bhii Aise Uthaaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai; Muskuraate Hue Voh Majma-e-Aghyaar Ke Saath; Aaj Yuun Bazm Men Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai; Kaaba-o-Dair Men Pathraa Gayii Donon Aankhen; Aise Jalve Nazar Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai; Dostii Men Terii Dar-Parda Hamaare Dushman; Is-Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai; Inhii Qadmon Ne Tumhaare Inhii Qadmon Kii Qasam; Khaak Men Itne Milaaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai; Daagh-e-Vaarafta Ko Ham Aaj Tere Kuuche Se; Is Tarah Khiinch Ke Laaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai Daagh Dehlvi Translation: Aghyaar = Strangers Rivals Dair = Temple Monastery

Hum Nahin Kehte Hamari Hum Nahin Kehte Hamari Teri Duniya Ho Jaye; Itne Rangon Mein Koi Rang Toh Apna Ho Jaye; Ishq Woh Turfa-Balaa Hai Ke Kare Jis Ki Talb; Us Ko Maloom Na Ho Sheher Mein Charcha Ho Jaye; Do Sitaron Ko Jo Dekhoon Teri Ankhein Ban Jayein; Chand Ko Dheyan Mein Laaon Tera Chehra Ho Jaye; Har Dora Hai Yeh Nigehbaan Khari Hai Kismat; Kaise Mumkin Hai Ke Har Shasks Ka Socha Ho Jaye; Hum Ko Har Bazm Mein Har Haal Mein Sach Kehna Hai; Sheher Ka Sheher Khafaa Hota Hai Acha Ho Jaye; Ishq Woh Kaar-e-Musalsal Hai Nahin Jis Ki Akheer; Us Ki Taufiq Hai Jis Shakhs Se Jitna Ho Jaye; Husn Ki Ankh Woh Tahsees Talb Hai Amjad; Bheed Ho Charon Taraf Aur Koi Tanha Ho Jaye

Ek Moamma Hai Samajhne Ka Ek Moamma Hai Samajhne Ka Na Samjhaane Kaa; Zindagii Kaahe Ko Hai Khwaab Hai Diivaane Kaa; Khalq Kahtii Hai Jise Dil Tere Diivaane Kaa; Ek Gosha Hai Yeh Duniyaa Isii Viiraane Kaa; Mukhtasar Qissa-e-Gham Ye Hai Ki Dil Rakhta Huun; Raaz-e-Kaunain Khulaasa Hai Is Afsaane Kaa; Tumne Dekhaa Hai Kabhii Ghar Ko Badalte Hue Rang; Aao Dekho Na Tamaasha Mere Gham-Khaane Kaa; Dil Se Ponhchii To Hai Aankhon Men Lahuu Kii Buunden; Silsila Shiishe Se Miltaa To Hai Paimaane Kaa; Hamne Chhaanii Hai Bohat Dair-O-Haram Kii Galiyaan; Kahiin Paaya Na Thikaana Tere Diivaane Ka; Har Nafs Umr-e-Guzishtaa Ki Hai Mayyat Faani; Zindagi Naam Hai Mar Mar Ke Jiye Jaane Kaa

Kah Rahi Hai Hashar Mein Kah Rahi Hai Hashar Mein Woh Aankh Sharmaai Hui; Haae Kaise Is Bhari Mahfal Mein Ruswaai Hui; Aaeene Mein Har Ada Ko Dekh Kar Kahte Hain Woh; Aaj Dekha Chaaheye Kis Kis Ki Hai Aai Hui; Kah Tu Ai Gulcheen Aseeraan-e-Qafas Ke Waaste; Tor Lun Do Chaar Kalian Main Bhi Murjhaai Hui; Main Tau Raaz-e-Dil Chhipaaun Par Chhipa Rahne Bhi De; Jaan Ki Dushman Yeh Zaalim Aankh Lalchaai Hui; Ghamza-o-Naaz-o-Ada Sab Mein Hai Haya Ka Lagaao; Haae Re Bachpan Keh Shokhi Bhi Hai Sharmaai Hui; Wasl Mein Khali Hui Aghiyaar Se Mahfal Tau Kya; Sharm Bhi Jaae Tau Mein Jaanun Keh Tanhaai Hui; Gard Uri Aashiq Ki Turbat Se Tau Jhunjala Ke Kaha; Wah Sar Charhne Lagi Paaon Ki Thukraai Hui

Aa Jayen Ham Nazar Aa Jayen Ham Nazar Jo Koi Dam Bahut Hai Yan; Mohlat Basan-e-Barq-o-Sharar Kam Bahut Hai Yan; Yak Lahza Sina Kobi Se Fursat Hamein Nahin; Yani Ki Dil Ke Jane Ka Matam Bahut Hai Yan; Ham Rah Rawan-e-Rah-e-Fana Der Rah Chuke; Waqfa Basan-e-Subh Koi Dam Bahut Hai Yan; Hasil Hai Kya Siwaye Tarai Ke Dahar Mein; Uth Asman Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yan; Is Butkade Mein Mani Ka Kis Se Karen Sawal; Adam Nahin Surat-e-Adam Bahut Hai Yan; Ajaz-e-Isawi Se Nahin Bahs Ishq Mein; Teri Hi Bat Jan-e-Mujassim Bahut Hai Yan; Mere Hilak Karne Ka Gam Hai Abas Tumhen; Tum Shad Zindagani Karo Gam Bahut Hai Yan; Shayad Ke Kam Subh Tak Apana Khinchena Mir; Ahawal Aj Sham Se Darham Bahut Hai Yan

Aadam Ka Jism Kab Aadam Ka Jism Kab Ke Anaasir Se Mil Bana; Kuchh Aag Bach Rahi Thi So Aashiq Ka Dil Bana; Sar Garam-E-Nala In Dinon Main Bhi Hoon Andleeb; Mat Aashian Chaman Mein Mere Mutsil Bana; Jab Teesha Kohkan Ne Liya Haath Tab Yeh Ishq; Bola Ke Apni Chhati Pe Dharne Ko Sil Bana; Jis Teergi Se Roz Hai Ushaaq Ka Seaah; Shaaid Usi Se Chehre-E-Khubaan Pe Til Bana; Lab Zindagi Mein Kab Mile Us Lab Se Ai Kalaal; Saagar Hamaari Khaak Ko Math Karke Gil Bana; Apne Hunar Dikha Denge Hum Tujhko Sheesha Gar; Toota Hua Kisi Ka Agar Hum Se Dil Bana; Sun Sun Ke Arz-E-Haal Mera Yaar Ne Kaha; Sauda Na Baaten Baith Ke Yaan Mutsil Bana Translation: Andleeb = Nightingale Chehre-e-Khubaan = Beauty s Face Arz-e-Haal = Tale Of Woe

Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai; Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai; Kisi Ki Yaad Mein Jo Zindagi Hum Ne Guzaari Hai; Hamein Woh Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai; Woh Aayein Ru-Ba-Ru Hum Dastaan Apni Sunayein Ge; Kuch Apna Dil Jalayein Ge Kuch Unnko Aazmayein Ge; Dabe Paaon Hamein Aa Kar Kisi Ka Gud-Gudaa Dena; Woh Apna Rooth Jana Aur Woh Unnka Manaa Lena; Woh Manzar Jhaankte Hain Aaj Bhi Yaadon Ki Chilman Se; Bhula Sakta Hai Kaise Koi Woh Anzaad Bachpan Ke; Hamein Aata Nahi Hai Pyar Mein Be-Aabru Hona; Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafaa Mein Surkhuroo Hona; Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Maang Bhar Dein Ge; Yeh Dil Kya Cheez Hai Hum Jaan Bhi Qurbaan Kar Dein Ge

Toote Teri Nigah Se Toote Teri Nigah Se Agar Dil Habaab Ka; Paani Bhi Phir Piein To Maza Hai Sharaab Ka; Dozakh Mujhe Qabool Ai Munkir-O-Nakeer; Lekin Nahin Dimagh Sawaal-O-Jawab Ka; Tha Kis Ke Dil Ko Kashmkash-E-Ishq Ka Dimagh; Yaarab Bura Ho Deeda-E-Khana-Kharaab Ka; Zahid Sabhi Hai Neimat-E-Haq Jo Hai Aql-O-Sharb; Lekin Ajab Maza Hai Sharaab-O-Kabaab Ka; Ghaafil Ghazab Se Ho Ke Karam Par Na Rakh Nazar; Pur Hai Sharar-E-Baraq Se Daaman Sahaab Ka; Qatra Gira Tha Choo Ke Mere Ashk-E-Garam Se; Darya Mein Hai Hanzooz Phaphola Habaab Ka; Sauda Nigah-E-Deeda-E-Tahqiq Ke Hazur; Jalwa Har Ek Zarre Mein Hai Aaftaab Ka Translation: Dozakh: Suffer In Hell Munkir-O-Nakeer: Angels Divine Sharar-E-Baraq: Vernal Cloud Rain And Fire Combine

Chaand Sitaron Se Kya Puchu Kab Din Mere Firte Hain; Wo To Bechare Khud Hain Bikhari Dere-Dere Firte Hain; Jin Galiyon Mein Hum Ne Sukh Kee Sej Pe Raate Kaati Thi; Un Galiyon Mein Vyakul Hokar Saanjh Savere Firte Hain; Roop-Saroop Kee Jot Jagana Is Nagari Mein Zokhim Hai; Chaaro Khunt Bagule Ban Kar Ghor Andhere Firte Hain; Jin Ke Shaam-Badan Saaye Mein Mera Man Sustaya Tha; Ab Tak Aankhon Ke Aage Wo Bal Ghanere Firte Hain; Koi Humein Bhi Ye Samjha Do Un Par Dil Kyon Reejh Geya; Teekhi Chitwan Baanki Shab Wale Bahutere Firte Hain; Is Nagri Mein Baag Aur Ban Ki Yaaro Leela Nayari Hai; Panchi Apne Sar Pe Uthakar Apne Basere Firte Hain; Log To Daman Si Lete Hai Jaise Ho Jee Lete Hain; Abid Hum Deewane Hain Jo Baal Bikhere Firte Hain