Kasam Hai Aapke Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee; Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee; Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah; Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee; Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka; Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee; Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar; Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee; Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan; Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee; Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai Josh ; Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee

Dil Ke Dariya Ko Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai; Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai; Uss Tak Aati Hai To Har Cheez Thehar Jati Hai; Jaise Pana Hi Use Asal Mein Mar Jana Hai; Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai; Dil Ko Rukna Hai Ki Taron Mein Thehar Jana Hai; Kaun Ubharte Hue Mehtab Ka Raasta Roke; Uss Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sehar Jana Hai; Main Khila Hun To Isi Khak Mein Milna Hai Mujhe; Wo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai; Wo Tere Husn Ka Jadu Ho Ki Mera Gum-e-Dil; Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai

Yahi Nahi Koi Toofaan Meri Talaash Mein Hai; Ki Mausam-e-Gham-e-Janaa Meri Talaash Mein Hai; Visaal-Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai; Sitara-e-Shab-e-Hijra Meri Talaash Mein Hai; Main Faisale Kee Ghadi Se Guzar Chuki Hun Magar; Kisi Ka Deedaa-e-Hairan Meri Talaash Mein Hai; Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai; Ki Ek Karya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai; Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun; Mui Charag Saar Unvan Meri Talaash Mein Hai; Ye Kaisa Khwab Tha Dhadka Sa Lag Geya Dil Ko; Ki Ek Shakhs Pareshan Meri Talaash Mein Hai

Aik Qatra Malaal Bhi Aik Qatra Malaal Bhi Boya Nahin Gaya; Woh Khauf Tha Ke Logon Se Roya Nahin Gaya; Yeh Sach Hai Ke Teri Bhi Neendein Ujadd Gayin; Tujh Se Bichad Ke Hum Se Bhi Soya Nahin Gaya; Us Raat Tu Bhi Pehle Sa Apna Nahin Laga; Us Raat Khul Ke Mujhse Bhi Roya Nahin Gaya; Daman Hai Khushk Ankh Bhi Chup Chaap Hai Bohat; Laddiiyon Mein Aansuyon Ko Piroya Nahin Gaya; Alfaaz Talkh Baat Ka Andaaz Sard Hai; Pichlaa Malaal Aaj Bhi Goya Nahin Gaya; Ab Bhi Kahin Kahin Pe Hai Kalakh Lagi Huyi; Ranjish Ka Daagh Theek Se Dhoya Nahin Gaya

Tumhara Pyaar Mere Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai; Koi Hisaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai; Bichartey Waqt Jo Tum Saunp Kar Gaye The Mujhe; Woh Intezar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai; Tu Khud Hee Jaanay Kahin Door Kho Geya Hai Magar; Teri Pukaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai; Main Jab Bhi Nikla Mere Paon Chhaid Daalay Ga; Jo Khaar Zaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai; Main Ab Bhi Girte Hue Paanion Ki Qaid Mein Hun; Ik Aabshaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai; Koi Gumaan Mujhe Tum Se Door Kaise Kare; Ki Aitbaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Aa Jayen Hum Nazar To Aa Jayen Hum Nazar To Koi Dum Bahut Hai Yan; Mohlat Basan-e-Barq-o-Sharar Kam Bahut Hai Yan; Yak Lahza Sina Kobi Se Fursat Humein Nahin; Yani Ki Dil Ke Jane Ka Matam Bahut Hai Yan; Hum Rah Rawan-e-Rah-e-Fana Der Rah Chuke; Waqfa Basan-e-Subh Koi Dam Bahut Hai Yan; Hasil Hai Kya Siwaye Tarai Ke Dehar Mein; Uth Aasman Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yan; Mere Hilak Karne Ka Gum Hai Bas Tumhein; Tum Shad Zindagani Karo Gum Bahut Hai Yan; Shayad Ke Kam Subh Tak Apna Khinchena Mir ; Ahawal Aaj Sham Se Darham Bahut Hai Yan

Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain; Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain; Hadis-e-Yaar Ke Unavan Nikharane Lagte Hain; To Har Harim Mein Gesu Sanwarne Lagte Hain; Har Ajnabi Humein Mehram Dikhai Deta Hai; Jo Ab Bhi Teri Gali Se Guzarne Lagte Hain; Saba Se Karte Hain Gurbat-Nasib Zikr-e-Vatan; To Chashm-e-Subah Mein Aansu Ubharne Lagte Hain; Wo Jab Bhi Karte Hain Is Nutq-o-Lab Kee Bakhiyagari; Faza Mein Aur Bhi Nagme Bikharne Lagte Hain; Dar-e-Qafas Pe Andhere Kee Mohar Lagti Hai; To Faiz Dil Mein Sitare Utarane Lagte Hain

Apni Nazroon Se Jo Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana; Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana; Saink roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke; Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana; Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai; Muhjey Insaan Samja Khud Ko Farishta Na Bana; Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey; Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana; Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon; Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana; Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain; Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana

Mujh Se Kafir Ko Mujh Se Kafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya; Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka To Khuda Yaad Aaya; Mere Dil Pe To Hai Ab Tak Tere Gham Ka Saya; Log Kehte Hain Naya Daur Naye Dukh Laya; Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai; Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqabil Paya; Charagar Aaj Sitaron Kee Kasam Kha Ke Bata; Kis Ne Insaan Ko Tabasum Ke Liye Tadpaya; Log Hanste Hain To Iss Soch Mein Kho Jata Hun; Mauj-e-Sailab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya; Uss Ke Andar Koi Fankaar Chupaa Baitha Hai; Jaante Bhujhte Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya

Saanson Kee Hararat Se Pighal Jaane Ka Mausam; Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaane Ka Mausam; Hum Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz; Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaane Ka Mausam; Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Thehar Geya Hai; Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaane Ka Mausam; Ai Shehar Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum; Aaya Hi Nahi Dil Ke Sambhal Jaane Ka Mausam; Ye Shehar-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par; Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaane Ka Mausam; Chehre Pe Agarche Hain Mere Subah Ka Ujaala; Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaane Ka Mausam

Saanson Kee Hararat Se Pighal Jaane Ka Mausam; Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaane Ka Mausam; Hum Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz; Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaane Ka Mausam; Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Thehar Geya Hai; Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaane Ka Mausam; Ai Shehar Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum; Aaya Hi Nahi Dil Ke Sambhal Jaane Ka Mausam; Ye Shehar-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par; Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaane Ka Mausam; Chehre Pe Agarche Hain Mere Subah Ka Ujaala; Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaane Ka Mausam

Dil Jal Raha Tha Gham Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha; Jab Tak Raha Main Saath Mere Yeh Hunar Raha; Subah-e-Safar Ki Raat Thi Taare The Aur Hawa; Saaye Sa Ek Der Talak Baam Par Raha; Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi; Par Main Bula Raha Tha Jise Bekhabar Raha; Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi; Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha; Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua; Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai Yehi Dil Mein Dar Raha; Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha Munir ; Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha

Dil Jal Raha Tha Gham Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha; Jab Tak Raha Main Saath Mere Yeh Hunar Raha; Subah-E-Safar Ki Raat Thi Taare The Aur Hawa; Saaye Sa Ek Der Talak Baam Par Raha; Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi; Par Main Bula Raha Tha Jise Bekhabar Raha; Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi; Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha; Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua; Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai Yahi Dil Mein Dar Raha; Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha Munir ; Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha

Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe; Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe; Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe; Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe; Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi; Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe; Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut; Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe; He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus; Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe; Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon; Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe

Aah Ko Chaahiye Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hote Tak; Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hote Tak; Kaun Jeetaa Hai Teri Zulf Ke Sar Hote Tak; Dil Ka Kyaa Rang Karun Khoon-e-Jigar Hote Tak; Dekhen Kya Guzre Hai Qatre Pe Guhar Hote Tak; Garmi-e-Bazm Hai Ik Raqs-e-Sharar Hote Tak; Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Jooz Marg Ilaaj; Hum Ne Maana Ki Tagaful Na Karoge Lekin; Partav-e-Kur se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taalim; Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hote Tak; Main Bhi Hun Ek Inaayat Ki Nazar Hote Tak; Yak Nazar Besh Nahin Fursat-e-Hasti Gaafil