Aap Ko Dekh Kar Aap Ko Dekh Kar Dekhataa Rah Gayaa; Kyaa Kahun Aur Kahane Ko Kyaa Rah Gayaa; Unki Aankhon Se Kaise Chhalakane Lagaa; Mere Honthon Pe Jo Maajaraa Rah Gayaa; Aise Bichha De Sabhii Raah Ke Mod Par; Aakharii Ham-Safar Raastaa Rah Gayaa; Soch Kar Aao Kuu-e-Tamannaa Hai Ye

Dukh De Kar Dukh De Kar Sawal Karte Ho; Tum Bhi Ghalib Kamaal Karte Ho; Dekh Kar Puch Liya Haal Mera; Chalo Kuch To Khayaal Karte Ho; Shehar-e-Dil Mein Ye Udasiyan Kaisi; Ye Bhi Mujhse Sawaal Karte Ho; Marna Chahe To Mar Nahi Sakte; Tum Bhi Jeena Muhaal Karte Ho; Ab Kis Kis Kee Misaal Dun Tumko; Har Sitam Be-Misaal Karte Ho

Aah Ko Chahiye Ek Umr Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak; Kaun Jeeta Hai Tere Zulf Ke Sar Hone Tak; Aashiqii Sabr Talab Aur Tamannaa Betaab; Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-e-Jigar Hone Tak; Hum Ne Maana Ki Tagakul Na Karoge Lekin; Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak; Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Kuz-Marg-e-Ilaaj; Shamaa Har Rang Mein Jalati Hai Sehar Hone Tak

Mil Bhi Jate Hain To Mil Bhi Jate Hain To Katara Ke Nikal Jate Hain; Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain; Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Muhabbat Yaroo; Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain; Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda; Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain; Umr Bhar Jin Ke Vafaon Pe Bharosa Kije; Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain

Waqt Jab Raah Kee Deewar Hua; Koi Sailaab Numudaar Hua; Us Ne Pedon Se Hata Li Shakhein; Baag Mein Se Tu Kayi Baar Hua; Maine Jo Dil Mein Chupana Chaha; Mere Chehre Se Numudaar Hua; Sahili-Shaam Ka Faila Manzar; Kuch Lakiron Mein Giraftar Hua; Raat Ek Shakhs Bahut Yaad Aaya; Jis Ghadi Chaand Numudaar Hua

Tere Naam Se Mohabbat Tere Naam Se Mohabbat Kee Hai; Tere Ehsaas Se Mohabbat Kee Hai; Tum Pass Nahi Ho Mere Phir Bhi; Tumhari Yaad Se Mohabbat Kee Hai; Kabhi Tumne Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga; Maine Un Lamhaat Se Mohabbat Kee Hai; Tum Se Milna To Ek Khwaab Sa Lagta Hai; Maine Tumhare Intezar Se Bhi Mohabbat Kee Hai

Jag Mein Aakar Jag Mein Aakar Idhar Udhar Dekha; Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha; Jaan Se Ho Gaye Badan Khali; Jis Taraf Tune Aankh Bhar Dekha; Nala Fariyad Aah Aur Zaree; Aap Se Ho Saka So Kar Dekha; Un Labon Ne Kee Na Maseehayi; Hum Ne Sau-Sau Tarah Se Mar Dekha; Zor Aashiq Mizaaj Hai Koi; Dard Ko Kissa-e-Mukhtsar Dekha

Lagta Nahin Hai Dil Mera Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein; Kiski Bani Hai Aalam-e-Naa Paaidaar Mein; Kah Do In Hasraton Se Kahin Aur Jaa Basein; Itni Jagah Kahaan Hai Dil-e-Daagdaar Mein; Umar-e-Daraaz Maang Ke Laaye The Chaar Din; Do Aarzoo Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein; Kitna Hai Badnasib Zafar Dafan Ke Liye; Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Kuu-e-Yaar Mein

Tanhaiyon Mein Tanhaiyon Mein Khayaal Aata; Khayaalon Mein Wo Naam Chala Aata; Beqarar Dil Ko Qarar Nahi Aata; Milne Ka Humein Kyon Unko Khayaal Nahi Aata; Jaage Bhi Wo Soye Bhi Wo Ye Silsila Tham Hi Nahi Pata; Soche To Kya Soche Koi Vichar Aur Samajh Nahi Aata; Rab Se Aziz Wo Kaisa Saaya Hai Itna Kya Mann Ko Bhaya; Naam Lena Chahu Rab Ka Aur Uska Hi Naam Zubaan Pe Aa Jata

Baat Bas Se Nikal Chali Baat Bas Se Nikal Chali Hai; Dil Kee Halat Sambhal Chali Hai; Jab Junoon Had Se Badh Chala Hai; Ab Tabiyat Behal Chali Hai; Ashk Khoonaab Ho Chale Hain; Gham Kee Rangat Badal Chali Hai; Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamayein; Yaa Shab-e-Hizr Tal Chali Hai; Lakh Paigam Ho Gaye Hain; Jab Saba Ek Pal Chali Hai; Jao Ab So Raho Sitaro; Dard Kee Raat Dhal Chali Hai

Tujhey Is Say Kiya Aatish-E-Ishq Main Jal Jaon Tujhey Is Say Kiya; Mousam Ki Tarah Badal Jaon Tujhey Is Say Kiya; Chot Khaon Ya Zakham Lagay Ya Ahsas-E-Ghum Mein Tarpon; Mein Gir Jaon Ya Sanbhal Jaon Tujhey Is Say Kiya; Mussartaon Ko Daikh Ker Bay Qarar Ho Jaon; Ya Tofan-E-Ghum Say Behal Jaon Tujhey Is Say Kiya; Hansta Daikh Ker Hans Paron Rota Daikh Ker Ro Paron; Halat K Sanchay Mein Dhal Jaon Tujhey Is Say Kiya; Zararot Nahin Ab Kisi Hamsafar Ki Saaqi; Janib-E-Manzil Tanha Nikal Jaon Tujhey Is Say Kiya

Socha Nahi Achha Bura Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi; Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi; Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe; Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi; Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar; Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi; Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak; Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi; Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega; Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi; Ehsaas Kee Khushbu Kahan Aawaz Ke Jugnu Kahan; Khamosh Yaadon Ke Siwa Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi

Meri Zindagi To Firaaq Hai Meri Zindagi To Firaaq Hai Wo Azal Se Dil K Makeen Sahi; Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hon Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi; Hamein Jaan Deni Hai Ek Din Wo Kisi Tarah Wo Kahein Sahi; Hamein Aap Khinchein Daar Per Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi; Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashar Ho Hamein Intizaar Qabool Hai; Wo Kabi Mile Wo Kahin Mile Wo Kabi Sahi Wo Kahin Sahi; Na Ho Un Per Jo Mera Bus Nahi K Yeh Aashqi Hai Hawas Nahi; Mai Unhi Ka Tha Mai Unhi Ka Hoon Wo Mere Nahi To Nahi Sahi; Jo Ho Faisla Wo Sunaye Use Hashar Per Na Uthaye; Jo Kareinge Aap Sitam Wahan Wo Abhi Sahi Wo Yahin Sahi; Useh Dekhne Ki Jo Loo Lagi To NASEER Dekh Hi Leinge Hum; Wo Hazar Aankh Se Door Ho Wo Hazar Parda-Nasheen Sahi Translation: Firaaq: Sepration Nigah-E-Shoq: Eager Glance Rag-E-Jaan: A Jugular Vein Sar-E-Toor: Mount

Aalim-e-Mohabbat Aalim-e-Mohabbat Mein; Ik Kamaal Wehshat Mein; Be-Sabab Rafaaqat Ka; Dukh Uthaana Padta Hai; Titliyaan Pakadney Ko; Door Jana Padta Hai

Dil Se Teree Nigaah Dil Se Teree Nigaah Jigar Tak Utar Gayee; Donon Ko Ik Adaa Mein Razaamand Kar Gayee; Farda-O-Dee n Ka Tafarqa Yak Baar Mit Gaya; Kal Tum Gaye Ke Ham Pe Qayaamat Guzar Gayee; Maara Zamaane Ne Asadullah Khaa n Tumhe; Woh Walwale Kahaan Woh Jawaanee Kidhar Gayee