Meri Zindagi To Firaaq Hai Meri Zindagi To Firaaq Hai Wo Azal Se Dil K Makeen Sahi; Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hon Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi; Hamein Jaan Deni Hai Ek Din Wo Kisi Tarah Wo Kahein Sahi; Hamein Aap Khinchein Daar Per Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi; Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashar Ho Hamein Intizaar Qabool Hai; Wo Kabi Mile Wo Kahin Mile Wo Kabi Sahi Wo Kahin Sahi; Na Ho Un Per Jo Mera Bus Nahi K Yeh Aashqi Hai Hawas Nahi; Mai Unhi Ka Tha Mai Unhi Ka Hoon Wo Mere Nahi To Nahi Sahi; Jo Ho Faisla Wo Sunaye Use Hashar Per Na Uthaye; Jo Kareinge Aap Sitam Wahan Wo Abhi Sahi Wo Yahin Sahi; Useh Dekhne Ki Jo Loo Lagi To NASEER Dekh Hi Leinge Hum; Wo Hazar Aankh Se Door Ho Wo Hazar Parda-Nasheen Sahi Translation: Firaaq: Sepration Nigah-E-Shoq: Eager Glance Rag-E-Jaan: A Jugular Vein Sar-E-Toor: Mount

Your Comment Comment Head Icon

Login