Gazab Kiya Tere Vaade Pe Aitbaar Kiya; Tamaam Raat Qayamat Ka Intezar Kiya; Hansa Hansa Ke Shab-e-Vasl Ashkbaar Kiya; Tasaliya Mujhe De De Ke Beqaraar Kiya; Hum Aise Mahv-e-Nazara Na The Jo Hosh Aata; Magar Tumhare Tagaful Ne Hoshiyar Kiya; Fasana-e-Shab-e-Gham Unko Ek Kahani Thi; Kuch Aitabaar Kiya Aur Kuch Na-Aitabaar Kiya; Ye Kisne Jalwa Hamare Sar-e-Mazaar Kiya; Ki Dil Se Shor Utha Haaye Beqaraar Kiya; Tadap Phir Ai Dil-e-Nadan Ki Gair Kehte Hain; Aakhir Kuch Na Bani Sabr Ikhtiyaar Kiya; Kuch Aage Daawar-e-Mahshar Se Hai Umeed Mujhe; Kuch Aap Ne Mere Kehne Ka Aitabaar Kiya

Tu Bhi Kisi Ka Pyar Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paye Khuda Kare; Tujh Ko Tera Nasib Rulaye Khuda Kare; Raton Mein Tujh Ko Neend Na Aaye Khuda Kare; Tu Dar-Ba-Dar Ke Thokaren Khaye Khuda Kare; Aaye Bahar Tere Gulistan Mein Bar Bar; Tujh Par Kabhi Nikhar Na Aaye Khuda Kare; Meri Tarah Tujhe Bhi Javani Mein Gham Mile; Tera Na Koi Sath Nibhaye Khuda Kare; Manzil Kabhi Bhi Pyar Ke Tujh Ko Na Mil Sake; Tu Bhi Dua Ko Hath Uthaye Khuda Kare; Tujh Par Shab-E-Visal Ke Raten Haram Hon; Shammen Jala Jala Ke Bujhaye Khuda Kare; Ho Jayen Bad-Duayen Meri Dosto Galat; Ab Un Pe Koi Harf Na Aaye Khuda Kare

Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho; Ye Zindagi To Hai Rehmat Ise Saza Na Kaho; Na Jaane Kaun Si Mazburiyon Ka Qaidi Ho; Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho; Tamaam Shehar Ne Nezon Pe Kyon Uchala Mujhe; Ye Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsa Na Kaho; Ye Aur Baat Ki Dushman Hua Hai Aaj Magar; Wo Mera Dost Tha Kal Tak Use Bura Na Kaho; Hamare Aib Humein Ungaliyon Pe Ginwao; Hamari Peeth Ke Peeche Humein Bura Na Kaho; Main Waqiyat Kee Zanjeer Ka Nahi Qayal; Mujhe Bhi Apne Gunahon Ka Silsila Na Kaho; Ye Shehar Wo Hai Jahan Rakshas Bhi Hai Rahat ; Har Ek Tarashe Hue But Ko Devta Na Kaho

Mujhe Khud Se Hain Shikayatein Mujhe Khud Se Hain Shikayatein Mujhe Zindagi Se Gila Nahi; Ki Jo Chaha Maine Woh Paa Liya Nahi Aisa Kuch Jo Mila Nahi; Mere Aas Paas Hai Roshni Mere Raaston Mein Chirag Hain; Yeh Tere Karam Ka Hai Mojza Meri Justuju Ka Sila Nahi; Teri Aankh Se Jo Haseen Ho Woh Nigah Jag Mein Bani Nahi; Tere Rukh Ko Jis Se Misaal Doon Koi Aisa Phool Khila Nahin; Yeh Jo Teri Zulf Ka Hai Hashiya Yeh Jo Tera Chehra Khushnuma; Koi Raat Aisi Siyaah Nahi Kisi Subah Mein Yeh Jilaa Nahin; Yeh Jo Mehr-o-Maa Kee Hain Halatein Yeh Jo Aainon Kee Hain Hairtein; Hain Azal Se Yeh Isi Tarah Koi Apni Jaa Se Hila Nahi

Shehar Mein Dhoond Raha Hun Shehar Mein Dhoond Raha Hun Ki Sahara De De; Koi Haatim Jo Mere Haath Mein Kasa De De; Pedh Sab Nange Faqiron Kee Tarah Sehme Hain; Kis Se Ummeed Ye Kee Jaye Ki Saya De De; Waqt Kee Sangjani Noch Gayi Sare Naqsh; Ab Woh Aaina Kahan Jo Mera Chehra De De; Dushmano Kee Bhi Koi Baat To Sach Ho Jaye; Aa Mere Dost Kisi Din Mujhe Dhokha De De; Main Bahut Jald Hi Ghar Laut Ke Aa Jaunga; Meri Tanhayi Yahan Kuch Dino Pehra De De; Jis Ne Katron Ko Bhi Mohtaz Kiya Mujh Ko; Wo Josh Mein Agar Aa Jaye To Dariya De De; Tum Ko Rahat Kee Tabiyat Ka Nahi Andaza; Woh Bhikari Hai Magar Maango To Duniya De De

Apni Madhosh Nigahon Apni Madhosh Nigahon Se Sawera Karna; Issi Veeran Shabistan Mein Ujala Karna; Tergi Rehti Hai Teri Shab-O-Roz Yahan; Tum Kisi Roz Yahan Aake Basera Karna; Woh To Phoolon Se Bhi Nazuk Hai Bahat Der Talak; Jab Bhi Dekho To Nazar Uski Utara Karna; Apni Zulfon Mein Chupalon Mujhko Udaas Hoon Main; Roshni Chubhti Hai Ankhon Mein Adhera Karna; Yoon To Har Din Teri Khushbu Se Jawan Rehta Hai; Ankh Lag Jaye To Khwabon Mein Bhi Aya Karna; Woh Kisi Roz Idher Se Bhi Guzar Sakti Hai; Tum Na Ik Pal Bhi Nazar Apni Hataya Karna; Tumne Baadal Ki Tarha Dhoop Chhupani Hai Aziz; Tum Har Ek Sham Use Chaand Dikhaya Karna

Tujh Se Gile Karun Tujh Se Gile Karun Tujhe Janaan Manaun Main; Ik Bar Apne Aap Mein Aao To Aaun Main; Dil Se Sitam Kee Be saro Kaari Hawaa Ko Hai; Woh Gard Udaa Rahi Hai Ki Khud Ko Ganwaun Main; Naadim Hun Woh Ki Jis Pe Nadaamat Bhi Ab Nahin; Woh Kam Hain Ki Apni Judai Kamaaun Main; Kyon kar Ho Apne Khawab Kee Aankhon Mein Wapsi; Kis Taur Apne Dil Ke Zamamun Mein Jaun Main; Ik Rang Si Kamaan Ho Khushbu Sa Ik Teer; Marham Si Ik Wardaat Ho Aur Zakham Khaun Main; Shikwa Sa Ek Dareecha Ho Nasha Sa Ek Sakoot; Ho Shaam Ek Sharab Si Aur Larr khraon Main; Phir Is Gali Se Apna Guzar Chahta Hai Dil; Ab Is Gali Ko Kaunsi Basti Se Laaun Main

Raat Aadhi Se Jyada Gayi Thi Sara Aalam Sota Tha; Naam Tera Le Le Kar Koi Dard Ka Maara Rota Tha; Charagaron Ye Taskin Kaisi Main Bhi Hun Is Duniya Mein; Unko Aisa Dard Kab Utha Jinko Bachana Hota Tha; Kuch Ka Kuch Keh Jata Tha Main Furkat Kee Betabi Mein; Sunane Wale Hans Padte The Hosh Mujhe Tab Aata Tha; Tare Aksar Doob Chale The Raat Ko Rone Walo Ko; Aane Lagi Thi Neend Si Kuch Duniya Mein Savera Hota Tha; Tark-e-Mohabbat Karne Walo Kaun Aisa Jag Jeet Liya; Ishq Ke Pehle Ke Din Socho Kaun Bada Sukh Hota Tha; Uske Aansu Kisne Dekhe Uski Aahein Kisne Suni; Chaman Chaman Tha Husn Bhi Lekin Dariya Dariya Rota Tha; Pichala Pahar Tha Hizr Kee Shab Ka Jagta Rab Sota Insan; Taaron Kee Chanv Mein Koi Firaq Sa Moti Pirota Tha

Rone Se Aur Ishq Mein Rone Se Aur Ishq Mein Bebaak Ho Gaye; Dhoey Gaye Hum Aise Ke Bas Paak Ho Gaye; Sarf-E-Bahaa-E-Main Hue Aalaat-E-Maikashi; The Yeh Hi Do Hisaab So Yoon Paak Ho Gaye; Ruswaa-E-Dahar Go Hue Aawaargi Se Tum; Baare Tabeeaton Ke Tau Chalaak Ho Gaye; Kahta Hai Kaun Naala-E-Bulbul Ko Be Asar; Parde Mein Gul Le Laakh Jigar Chaak Ho Gaye; Poochhe Hai Kya Wajood-O-Adam Ahl-E-Shauq Ka; Aap Apni Aag Ke Khas-O-Khashaak Ho Gaye; Karne Gaye The Us Se Taghaaful Ka Hum Gila; Ki Ek Hi Nigah Ke Bas Khaak Ho Gaye; Is Rang Se Uthai Kal Us Ne Asad Ki Naash; Dushman Bhi Jisko Dekh Ke Ghumnaak Ho Gaye Translation: Sarf-E-Bahaa-E-Main : Sold Everything Aalaat-E-Maikashi: Wine Naala-E-Bulbul: Nightingale Wajood-O-Adam Ahl-E-Shauq Ka: Lovers Passion

Jalwe Meri Nigah Mein Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-Makaan Ke Hain; Mujhe Se Kahan Chhipenge Woh Aise Kahaan Ke Hain; Karte Hain Qatal Woh Talab-e-Maghfarat Ke Baad; Jo The Duaa Ke Haath Wohi Imtehaan Ke Hain; Jis Din Se Kuchh Sharik Hui Meri Musht-e-Khaak; Us Roz Se Zameen Pe Sitam Aasmaan Ke Hain; Kaisa Jawaab Hazrat-e-Dil Dekheye Zaraa; Paighambar Ke Haath Mein Tukre Zabaan Ke Hain; Kya Iztaraab-e-Shauq Ne Mujh Ko Khajil Kiya; Woh Puchhte Hain Kaheye Iraade Kahaan Ke Hain; Aashiq Tere Adam Ko Gaye Kisqadar Tabaah; Puchha Har Ek Ne Yeh Musaafir Kahan Ke Hain; Har Chand Dagh Ek Hi Ayyar Hai Magar; Dushman Bhi Tau Chhate Hue Saare Jahaan Ke Hain Translation: Talab-e-Maghfarat = Strikes Iztaraab-e-Shauq = Commotion of Love Khajil = Embarrassment

Hans Ke Farmaate Hai Woh Hans Ke Farmaate Hai Woh Dekh Ke Haalat Meri; Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri; Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri; Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri; Main Ne Aaghosh-E-Tasawur Mein Bhi Kheincha Tau Kaha; Pis Gai Pis Gai Be Dard Nazaakat Meri; Yaar Pahlu Mein Hai Tanhaai Hai Kahdo Nikle; Aaj Kyon Dil Mein Chhipi Baithi Hai Hasrat Meri; Aaeena Subah-E-Shab-E-Wasl Jo Dekha Tau Kaha; Dekh Zaalim Yehi Thi Shaam Ko Surat Meri; Husan Aur Ishq Hum-Aaghosh Nazar Aa Jaate; Teri Taswir Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri; Kis Dhitaai Se Who Dil Chheen Ke Kahte Hai Amir; Who Mera Ghar Har Rahe Jis Mein Mohabbat Meri Translation: Aaghosh-E-Tasawur: Hug Tight Subah-E-Shab-E-Wasl: Union Night Hum-Aaghosh: Locked In Embrace

Badla Tere Sitam Ka Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare; Apna Hi Tu Farefta Hove Khuda Kare; Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur; Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare; Fikr-E-Maash Ishq-E-Butaan Yaad-E-Raftgaan; Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare; Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-E-Aashqi; Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare; Gar Ho Sharaab-O-Khilwat-O-Mahboob-E-Khub Roo; Zaahid Qasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho Tau Kya Kare; Khaakastr-O-Patang-O-Mashahd Meri Ki Khaak; Sham-O-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Ura Kare; Ai Waae Bar Aseer Ke Par Tor Kar Jise; Sayyaad Fasl-E-Gul Mein Chaman Se Riha Kare Translation: Farefta : Fall In Love With Own Face Fikr-E-Maash: Concerns Of Life Ishq-E-Butaan: Claims Of Love Yaad-E-Raftgaan: Remembering Those Bygone Rasm-E-Aashqi: Creed Of Love Sham-O-Shafaq : Dust Of Moth

Khabar Liaya Hai Hua Khabar Liaya Hai Hua Mere Us Yaar-e-Jaani Ka; Khushi Ka Waqt Hai Zaahir Karun Raaz-e-Mihaani; Mire Jeu Aarsi Mein Khayal Tuj Mukh Ka So Dista Hai; Kare O Khayal Munj Dil Mein Nishani Zar Fishani Ka; Chita Ho Ishq Ke Jungle Mein Baitha Hai Dari Le Kar; Liya Hai Jhaanp Son Aahu Naman Dil Mujh Ayyaani Ka; Khuda Ka Shuk: Hai Tuj Saltanat The Kaam Paya Hun; Dande Dushman Ke Mukh Par Peota Mai Arghawani Ka; Chhabeele Mast Saqi Ke Pichhein Dauren Sau Makhmuraan; Pila Do Mai Hawa Ab Tau Hua Hai Gul Fishani Ka; Do Tin Afsun Ke Baare The Haman Kon Kuch Nahin Dar Hai; Hamare Deewe Kon Hai Roshni Sahib Quraani Ka; Pare Dumbaal Mein Mere So Us Nainaan Ke Dumbaale; Khudaya Ishq Mushkil Hai Bharm Rakh Tu Maani Ka Translation: Yaar-e-Jaani = Darling Raaz-e-Mihaani = Unfold My Heart Ayyaani = Cunning Feats Arghawani: Colou

Jahan Weeraana Hai Jahan Weeraana Hai Pahle Kabhi Aabad Yaan Ghar The; Shaghaal Ab Hai Jahan Baste Kabhi Bashar Yaan The; Jahan Chatial Hai Maidan Aur Sarasar Ek Khaaristan; Kabhi Yaan Qasar-o-Oaiwan The Chaman The Aur Shajar Yaan The; Jahan Phirte Bagoole Hain Unraate Khak Sahra Mein; Kabhi Urti Thi Daulat Raqas Karte Seembar Yaan The; Jahan Hain Sang Reze The Yahaan Yaaqut Ke Taude; Jahan Kankar Pare Hain Ab Kabhi Rulte Gohar Yaan The; Jahan Sunsaan Ab Jungle Hai Aur Hai Sher-e-Khamoshan; Kabhi Kya Kya The Hangaame Yahan Aur Shor-o-Shar Yaan The; Jahan Ab Khak Par Hain Naqash-e-Paae-Aahu-e-Sahra; Kabhi Mahw-e-Tamasha Deeda-e-Ahl-Enazar Yaan The; Zafar Ahwaal Aalam Ka Kabhi Kuchh Hai Kabhi Kuchh Hai; Ke Kya Kya Rang Ab Hain Aur Kya Kya Peshtar Yaan The Translation: Shaghaal = Jackals Prowl And Roar Bashar = Human Sher-e-Khamoshan = Desolate Grave Naqash-e-Paae-Aahu-e-Sahra = Pug Prints Of The Desert Deer Mahw-e-Tamasha Deeda-e-Ahl-Enazar = Wise Discerning Folk

Zindagi Mein To Sabhi Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain; Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga; Tu Mila Hai To Ye Ehsaas Huaa Hai Mujhko; Ye Meri Umar Mohabbat Ke Liye Thhodi Hai; Ek Zara Sa Ghum-E-Dauraan Ka Bhi Haq Hai Jis Par; Maine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai; Tujh Pe Ho Jaaoonga Qurban Tujhe Chahoonga; Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga; Apne Jazbaat Mein Naghmaat Rachaane Ke Liye; Maine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaaya Hai Tujhe; Main Tasavvur Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon; Maine Kismat Ki Lakeeron Se Churaaya Hai Tujhe; Pyar Ka Banke Nigehbaan Tujhe Chaahoonga; Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga; Teri Har Chaap Se Jalte Hain Khayaalon Mein Chiraag; Jab Bhi Tu Aaye Jagaata Huaa Jaadu Aaye; Tujhko Chhulun To Aye Jaan-E-Tamanna Mujhko; Dair Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye; Tu Bahaaron Ka Hai Unwaan Tujhe Chaahoonga; Main To Marrkar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaaoounga Translation: Gham-e-dauraan: Period of sorrow Naghmaat: Melody Tasavvur: Contemplation Nigaahbaan: Guard Janitor Jaan-e-Tamanna: Hearts desire Unwaan: Form Headline Label Legend