Jalwe Meri Nigah Mein Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-Makaan Ke Hain; Mujhe Se Kahan Chhipenge Woh Aise Kahaan Ke Hain; Karte Hain Qatal Woh Talab-e-Maghfarat Ke Baad; Jo The Duaa Ke Haath Wohi Imtehaan Ke Hain; Jis Din Se Kuchh Sharik Hui Meri Musht-e-Khaak; Us Roz Se Zameen Pe Sitam Aasmaan Ke Hain; Kaisa Jawaab Hazrat-e-Dil Dekheye Zaraa; Paighambar Ke Haath Mein Tukre Zabaan Ke Hain; Kya Iztaraab-e-Shauq Ne Mujh Ko Khajil Kiya; Woh Puchhte Hain Kaheye Iraade Kahaan Ke Hain; Aashiq Tere Adam Ko Gaye Kisqadar Tabaah; Puchha Har Ek Ne Yeh Musaafir Kahan Ke Hain; Har Chand Dagh Ek Hi Ayyar Hai Magar; Dushman Bhi Tau Chhate Hue Saare Jahaan Ke Hain Translation: Talab-e-Maghfarat = Strikes Iztaraab-e-Shauq = Commotion of Love Khajil = Embarrassment

Your Comment Comment Head Icon

Login