Hans Ke Farmaate Hai Woh Hans Ke Farmaate Hai Woh Dekh Ke Haalat Meri; Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri; Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri; Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri; Main Ne Aaghosh-E-Tasawur Mein Bhi Kheincha Tau Kaha; Pis Gai Pis Gai Be Dard Nazaakat Meri; Yaar Pahlu Mein Hai Tanhaai Hai Kahdo Nikle; Aaj Kyon Dil Mein Chhipi Baithi Hai Hasrat Meri; Aaeena Subah-E-Shab-E-Wasl Jo Dekha Tau Kaha; Dekh Zaalim Yehi Thi Shaam Ko Surat Meri; Husan Aur Ishq Hum-Aaghosh Nazar Aa Jaate; Teri Taswir Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri; Kis Dhitaai Se Who Dil Chheen Ke Kahte Hai Amir; Who Mera Ghar Har Rahe Jis Mein Mohabbat Meri Translation: Aaghosh-E-Tasawur: Hug Tight Subah-E-Shab-E-Wasl: Union Night Hum-Aaghosh: Locked In Embrace

Your Comment Comment Head Icon

Login