Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho; Ye Zindagi To Hai Rehmat Ise Saza Na Kaho; Na Jaane Kaun Si Mazburiyon Ka Qaidi Ho; Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho; Tamaam Shehar Ne Nezon Pe Kyon Uchala Mujhe; Ye Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsa Na Kaho; Ye Aur Baat Ki Dushman Hua Hai Aaj Magar; Wo Mera Dost Tha Kal Tak Use Bura Na Kaho; Hamare Aib Humein Ungaliyon Pe Ginwao; Hamari Peeth Ke Peeche Humein Bura Na Kaho; Main Waqiyat Kee Zanjeer Ka Nahi Qayal; Mujhe Bhi Apne Gunahon Ka Silsila Na Kaho; Ye Shehar Wo Hai Jahan Rakshas Bhi Hai Rahat ; Har Ek Tarashe Hue But Ko Devta Na Kaho

Your Comment Comment Head Icon

Login