Koii Us Shahar Mein Koii Us Shahar Mein Kab Thaa Uskaa; Use Yah Zom Ki Rab Thaa Uskaa; Uskii Rag Rag Men Utartii Rahii Aag; Uske Andar Hii Ghazab Thaa Uskaa; Vahii Silsila-e-Taar-e-Nafas; Vahii Jiine Kaa Sabab Thaa Uskaa; Sidq-Zaada Thaa Voh Shahzaada Kamaal; Bas Yahii Naam-O-Nasab Thaa Uskaa Translation: Zo m = Pride Sidq =Truth

Wo Jazbon Ki Wo Jazbon Ki Tijaraat Thi; Yeh Dil Kuch Or Samjhana Tha; Useh Hashne Ki Aadat Thi Ye Dil Kuch Or Samjha Tha; Wo Aksar Mere Kandhe Par Sar Rakh Ke Kahein Kho Sa Jata Tha; Useh Khud Sy Mohabat Thi; Yeh Dil Kuch Or Samjha Tha; Ush Ne Kaha Aaoo Aake Nai Dunia Basate Hai; Useh Soojhi Shararat Thi; Yeh Dil Kuch Or Samjha Tha

Khauf Ki Shab Khauf Ki Shab Mein Honth Seenay Se; Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se; Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam; Dekhna Hai Ose Qareenay Se; Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha; Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se; Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi; Warna Kia Khauf Os Safeenay Se; Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai; Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se

Zindagi Is Tarah Zindagi Is Tarah Guzarate Hain; Karz Hai Aur Use Utarate Hain; Wasl Pe Shart Baandh Lete Hain; Aur Yeh Shart Roz Haarte Hain; Aaino Mein To Aks Hai Khud Ka; Log Patthar Yeh Kisko Maarte Hain; Kitne Dil Is Mein Gundh Lete Hain; Zulf-e-Khugar Ko Jab Swarate Hain; Ek Baazi Pe Bhool Mat Jana; Pesh-e-Fatah Bhi Log Haarte Hain

Phool Sa Kuch Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi 894; Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi 894; Us Ki Zulfein Bahut Ghaneri Hain 894; Ek Shab Ka Qayam Or Sahi 894; Zindagi Kay Udaas Qissey Hain 894; Ek Ladki Ka Naam Or Sahi 894; Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlein 894; Qatal Ki Ek Sham Or Sahi 894; Kapkapati Hai Raat Seeney Mein 894; Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi

Itni Muddat Baad Itni Muddat Baad Mile Ho; Kin Socho Mein Gum Rahate Ho; Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa; Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho; Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi; Itne Achchhe Kyon Lagte Ho; Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse; Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho Translation: Hijr= Separation Absence From One s Country Qisse= Anecdote Story Tale Quarre

Kahan Dil Qaid Se Kahan Dil Qaid Se Chhoota Hua Hai; Abhi Tak Shehar Se Rootha Hua Hai; Hum Kaise Kahe Iss Dil Ko Sacha; Hamare Samne Jhoota Hua Hai; Ksi Ka Kuch Nahi Yahan Par; Yeh Sab Samaan Loota Hua Hai; Tumhare Dil Mein Meri Chahaton Ka; Koi To Beej Sa Phoota Hua Hai; Kisi Ke Naam Lag Jaayein Balaa Se; Yeh Dil Phele Se Hee Toota Hua Hai

Ashk Aankh Mein Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai; Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai; Main Uss Ke Khayaal Se Gurezaan; Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai; Tehreer Ussi Ki Hai Magar Dil; Khat Padhte Hue Atak Raha Hai; Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatein; Aur Zehen Kahan Bhatak Raha Hai; Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar; Sahil Pe Thakan Tapak Raha Hai

Rukne Ka Samay Guzar Geya Hai; Jana Tera Ab Thehar Geya Hai; Rukhsat Kee Ghadi Khadi Hai Sar Par; Dil Koi Do-Neem Kar Geya Hai; Maatam Kee Fazaa Hai Shehar-e-Dil Mein; Mujh Mein Koi Shakhs Mar Geya Hai; Bujhne Ko Hai Phir Se Chashm-e-Nargis; Phir Khwaab-e-Sabaa Bikhar Geya Hai; Bas Ek Nigaah Kee Thi Us Ne; Saraa Chehra Nikhar Geya Hai

Jab Bhi Dil Khul Ke Jab Bhi Dil Khul Ke Roye Honge; Log Aaraam Se Soye Honge; Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil; Hum Toh Kya Aap Bhi Roye Honge; Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kya Kya; Phool Kaanton Mein Piroye Honge; Woh Safeenay Jinhein Toofan Na Mile; Na-Khudaon Ne Duboyein Honge; Kya Ajab Hai Woh Mile Bhi Hon Faraz; Hum Kisi Dhyaan Mein Khoye Honge

Tute Hue Dilon Tute Hue Dilon Ke Dua Mere Sath Hai; Duniya Teri Taraf Hai Khuda Mere Sath Hai; Aawaz Ghungharuon Ke Nahi Hai To Kya Hua; Sagar Ke Tutane Ke Sada Mere Sath Hai; Tanhai Kis Ko Kahate Hain Mujhko Pata Nahi; Kya Jane Kis Hasin Ke Dua Mere Sath Hai; Paimana Samane Hai To Kuch Gham Nahi Nizam; Ab Dard-E-Dil Ke Koi Dawa Mere Sath Hai

Aate Jaate Mujhe Ilzaam Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao; Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao; Damm Nikal Jaye Jo Uth Ker Shab-E-Tunhaai Main; Mujh Ko Wapis Dil-E-Nakaam To Dete Jao; Main Kisi Aur Ka Ehsaan Naheen Lay Sakti; Meri Qismat Mera Anjaam To Dete Jao; Phool Mehkaon -k- Daaman Main Sajaon Kante; Mere Hisse Ka Mujhe Kaam To Dete Jao

Aate Jaate Mujhe Ilzaam Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao; Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao; Damm Nikal Jaye Jo Uth Ker Shab-E-Tunhaai Main; Mujh Ko Wapis Dil-E-Nakaam To Dete Jao; Main Kisi Aur Ka Ehsaan Naheen Lay Sakti; Meri Qismat Mera Anjaam To Dete Jao; Phool Mehkaon -k- Daaman Main Sajaon Kante; Mere Hisse Ka Mujhe Kaam To Dete Jao

Kabhi Kisi Ko Kabhi Kisi Ko Muqamal Jahan Nahin Milta; Kahin Zamin To Kahin Aasmaan Nahi Milta; Jise Bhi Dekhiye Vo Apne Aap Mein Gum Hain; Zubah Mili Hain Magar Humzubah Nahin Milta; Bujha Saka Hain Bhala Kaun Waqt Ke Shole; Ye Aisi Aag Hain Jisme Dhuan Nahin Milta; Tere Zahan Mein Aisa Nahin Ki Pyar Na Ho; Zahan Umeed Ho Iski Wahan Nahin Milta

Koi Keh De Koi Keh De Mere Dil Ki Baat Unse; Har Taraf Se Hui Dil Ki Maat Unse; Jaan-Pehchan Hi Kara De Gar Koi; Ek-Ek Lamhe Ki Ho Shuruaat Unse; Log Puchte Hain Muskuraht Ki Wajah; Hamne Kaha Hui Hai Mulakat Unse; Khoya Hua Raha Main Aaz Talak; Ab Mila Do Mere Jazbaat Unse; Karenge Chand Se Kuchh Baatein Hum Bhi; Milte Hue Dekha Hai Har Raat Unse